Monday, August 01, 2022

Nikkah ka taqadus aur tariqa kaar

Allah tala ne insan ki takhleeq kuch aise ki hai k wo logon se kat ker nahi reh sakta.. Zindagi mai insan k bohat se rishtay hotay hain jin mai maan baap, behan bhai,bachay, dost aur ahbab hotay hain.. Per miyan bv ka rishta sab se alag aur khoobsoorat hai.. Nikkah ek naye khandaan ki bunyaad hota hai.. Agar ikaaee mazboot ho gi to hi khandan mazboot ho ga.. Aur ek mazboot khandan hi ek sehat mand moashray ki bunyaad hai.. Aur sehat mand moashra qaumein tashkeel diya kerta hai.. Shadi k liye ap kis ka intekhab ker rahay hain aur kyun ker rahay hain is per ap ki anay wali zindagi ka dar o madar hota hai.. 
Islam nikkah k kuch asool aur tareeqay batata hai.. Jo mandarja zeil hain..

1.Nikkah k liye aise aadmi ya aurat ka intikhab kiya jaye jis ko Allah ki wahdaniyat per mukammal yaqeen ho.. Jaisa k Allah tala quran e pak mai fermatay hian

وَلَا تَنۡكِحُوا الۡمُشۡرِكٰتِ حَتّٰى يُؤۡمِنَّ‌ؕ وَلَاَمَةٌ مُّؤۡمِنَةٌ خَيۡرٌ مِّنۡ مُّشۡرِكَةٍ وَّلَوۡ اَعۡجَبَتۡكُمۡ‌ۚ وَلَا تُنۡكِحُوا الۡمُشۡرِكِيۡنَ حَتّٰى يُؤۡمِنُوۡا ‌ؕ وَلَعَبۡدٌ مُّؤۡمِنٌ خَيۡرٌ مِّنۡ مُّشۡرِكٍ وَّلَوۡ اَعۡجَبَكُمۡؕ اُولٰٓئِكَ يَدۡعُوۡنَ اِلَى النَّارِ  ۖۚ وَاللّٰهُ يَدۡعُوۡٓا اِلَى الۡجَـنَّةِ وَالۡمَغۡفِرَةِ بِاِذۡنِهٖ‌ۚ وَيُبَيِّنُ اٰيٰتِهٖ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمۡ يَتَذَكَّرُوۡنَ  ۞

Aur mushrik aurton se nikkah na kero yahan tak k wo. Iman le ayein.. Aur ek momin laundi mushrik aurat se behter hai khawa wo tumhein kitni hi pasand kyun na hon.. Aur na hi mushrik merdon se nikkah kero yahan tak wo iman le ayein aur ek momin ghulam mushrik merd se bohat behter hai khawa wo mushrik merd tumhein kitnay hi pasand kyun na hon.. Ye mushrik tumhein aag ki teraf bulatay hain aur Allah tumhein apnay hukam se jannat aur maghfirat ki teraf bulata hai aur apni ayatein khol ker logon k liye bayan kerta hai shayad k wo nasihat hasil kerein.. 

(surah baqra:221)

 Tauheed k baad jo doosri khoobi nikkah k liye dekhni chahiye wo deen hai.. Jaisa k hadith se sabit hai
Hazrat ibn e amar r. a se riwayat hai k nabi kareem s. a. w ne irshad fermaya k sari dunniya mata hai aur dunniya ki behtreen mataa naik aurat hai.. 

(Musnad e ahmad :6279)

Hazrat khadija r.a ne huzoor s.a.w ki amanat aur sadaqat se mutassir ho ker ap s. A. W ko nikkah ka paigham bhijwaya tha.. Ap khadija r.a bewa thin magar pakeezgi aisi thi k tahira k laqab se mash-hoor thin.. 

Phir jab kahin nikkah ka irada ker lein to istikhara kerein.. Istikhara ka masnoon tarika ye hai k  do nafal perh ker istikharay ki masnoon dua kerein.. agar kaam ap k haq mai acha huwa to khud hi asbab bantay jayein gay ..aur agar na huwa to kaam k aur ap  k beech to khud bakhud doori peda ho jaye gi.. 

Hadees ka mafhoom hai k jis ne istikhara kiya wo kabhi nakaam nahi huwa aur jis ne mashwara kia wo kabhi sharminda nahi huwa.. 

Yahan ek baat aur faisla kernay k baad Allah per mukammal bharosa kerein agar koi mushkil bhi ati hai to dil chota na kerein.. Allah ne  humari taqdeer likh di huwi hai.. Ap us se maang rahay hain jo zahir o ghaib ka jananay wala hai jab wo apni quwwat aur ikhtiyar se ap k haq mai koi faisla kere ga to wo yaqeenan behtreen ho ga... 

Hadees ka mafhoom hai k  jis aurat se nikkah ka irada ker lein
Ussay ek nazar dekh lein.. Ulma k nazdeek mehram ki maujoodgi mai ek baar guftagoo bhi ker saktay hain.. 

Jab ek baar nikkah ker lein to apni poori wafayein aur khaloos us shakhs ko dein jissay Allah ne ap ka mahram banaya hai.. 

Apni nazar ki hifazat kerein.. Aur na mahram merdon aur aurton se ghair zaroori guftagoo se perhaiz kerein.... Merdon per to is ka wabal hai hi magar wo aurtein jo apna singhaar ghair merdon ko dikhati hain merdon ki teraf mayal hoti hain aur unhein apni teraf mayal kerti hain jannat ki khushbu bhi nahi pa sakein gi ... aur ap jitna haram maj jayein gay ap ki zindagi se utna hi sakoon uth-ta jaye ga.. Agar kisi wajah se shadi na chal paye to Allah ne merd o aurat dono ko ijazat di hai k allah ka hukam tootnay ka khatra ho to  wo ek doosray ko chor ker naya rasta chun saktay hain.. Allah insha Allah un ko apnay fazal se ghani ker de ga.. Magar tareeka Allah hi ka rahay ga.. Her haram rasta sirf tabahi ki teraf jata hai.. Allah ne ap ko shadi ki ijazat di hai.. Ghair mahram merdon aur aurton se rawabit berhanay ki nahi.. Allah se der jayein.. Agar ek baar ghalti ho jaye to us ghalti ko jawaz bana ker  agay gunnahon k rastay na kholein.. 
Zindagi sab se na qabil e bharosa cheez hai ye na ho k khuda ki nafermani ki halat mai maut aajaye.. Aur akhrat berbaad ho jaye.. 
Allah se dua hai k k hum sab se janay anjanay mai jo ghaltiyan ho gain un ko maaf ferma de.. Ainda k liye humari islah ker de.. Aur apni rehmat se hum per apnay karam k khas derwazay khol de... Aameen





No comments: