Friday, July 29, 2011

Fitna-e-Dajjal kia hai?

Moujooda dor mai fitnay ki aik soorat ye bhi hai k ahadith mai maan'vi tehreef ker di jati hai ya doosri ahadith jo k us khas maqsad k liye warid nahi huwin un ki madad se aisay aisay nukkat nikal ker Allah aur us k rasool s.a.w k hukam ko masakh ker ker aik bilkul naya aqeeda tashkeel de diya jata hai....
Aaj kal jo zikr zaban zad-e-aam-o-khas hai wo hai Masih Dajjal ka zahoor aur aya Masih dajjal koi insaan hai ya aik zamana?
aayee ahadith ki roshni mai dekhtay hain

Hadith-e-Abu Saalim R.A:

"Allah ki qasam Nabi kareem s.a.w ne Hazrat Isa k baray mai ye nahi fermaya tha k wo surkh thay balkay aap s.a.w ne fermaya tha:
"mai ne khawab mai aik mertaba baitullah ka tawaf kertay huwe apnay ko dekha,us waqt mujhe aik sahab nazer aaye jo gandumi rang,latkay huwe baal walay tha,do aadmiyoun k dermayan un ka sahara liye huwe aur ser se paani saaf ker rahey thay.mai ne poocha aap kaun hain?farishton ne jawab diya k aap ibn-e-maryam hain..isper unhein ghor se dekha to mujhe aik aur shakhs dikhai diya jo surkh.mota ser k baal muray huwe aur daahini aankh se kana tha..is k aankh aisay dikhai deti thi jaisay utha huwa angoor ho..mai ne poocha k ye kaun hai to farishton ne bataya k ye dajjal hai..wo shakl-o-soorat mai ibn-e-qatan se bohat ziada mushabeh tha..zehri ne kaha k ye qabeela khaza'aa ka aik shakhs tha jo zamana-e-jahiliyyat mai mer gaya tha"

(Sahi Bukhari hadith no.3441)

Hadith-e-Anas R.A:

"Rasool Allah s.a.w ne fermaya:"jo nabi bhi maboos kiya gaya us ne apni qoum ko kanay jhootay se daraya aagaah raho k wo kana hai aur tumhara Rubb kaana nahi hai .Aur us ki donon aankhon k dermayan KAFIR likha huwa hai"

(sahi bukhari hadith no.7131)

Hadith-e-Huzaifa R.A:

Nabi-e-kareem s.a.w ne Dajjal k baray mai fermaya:

"Jab Dajjal niklay ga to us k saath pani aur aag donon ho gay laikin jo logon ko aag dikhai de gi wo thanda pani ho ga aur jo logon ko thanda pani dikayee de ga wo aag ho gi is liye tum mai se jo koi us zamanay mai ho to ussay uss mai girna chahiye jo aag ho gi kyun k wohi intehai sheereen aur thanda pani ho ga."

(Hadith-e-sahi bukhari ..kitab-ul-anbiya)

Hadith-e-Anas R.A:

"Koi aisa shehar nahi milay ga jissay dajjal pamaal na keray ga siwaye Makkah aur Madina k,In k her raastay per saf-basta farishtay kharay hon gay jo un ki hifazat kerein gay..phir madina ki zameen teen mertaba kaanpay gi jis se aik aik kafir aur munafiq ko Allah tala is mai se baher ker dey ga."
(Sahi bukhari hadith#1882)

Hadith-e- Abu saeed khudri R.A:

Dajjal madina ki aik khaari shor zameen tak pohanchay ga us per madina mai daakhla to haram ho ga(madina se aik shakhs nikal ker us ki teraf berhay ga.ye logon mai se behtreen naik merd ho gaya(ye fermaya k)buzurg tareen logon mai se ho ga wo shakhs kahay ga k mai gawahi deta hoon k tu wohi dajjal hai jis k mutalliq humein Rasool Allah s.a.w ne ittella di thi Dajjal kahay ga
kia mai issay qatal ker k phir zinda ker daloon to tumhein meray mamlay mai koi shuba reh jaye ga?us k hawari kahein gay nahi..pas wo ussay qatal keray ga aur phir zinda keray ga...jab wo ussay phir zinda keray ga to wo banda kahay ga bakhuda ab to mujh ko poora haal maloom ho gaya hai k tu hi dajjal hai.Dajjal kahay ga laao issay phir qatal ker doon laikin is mertaba wo us per qaboo nahi pa sakay ga"

(Sahi bukhari,hadith No.1881)

Hadith-e-Abdullah bin Amr bin Aas R.A:

"Rasool Allah s.a.w ne fermaya:
"Dajjal meri ummat mai nikalay ga aur 40(mai nahi janta 40 din ya 40 mahinay ya 40 saal )rahay ga.phir Allah Esa ibn-e-maryam ko bhaijay ga.un ka huliya urwa bin masood r.a(aik sahabi) se mushabeh o ga..wo us ka peecha kerein gay aur us ko halak ker dein gay phir saat saal tak log is haal mai rahein gay k 2 aadmiyoun k dermayan bhi adawat na ho gi"

(Muslim zikr-ud-Dajjal)

Hadith-e-nawas bin sam'aam R.A:

"Ye aik taveel hadith ka kuch hissa hai)
Huzoor s.a.w ne fermaya:"agar dajjal nikla aur mai tum logon mai moujood huwa to tum se pehlay mai ussay ilzam doon ga aur tumhein us k sher se bachaoon ga..aur agar wo nikla aur mai tum logon mai moujood na huwa to her musalman apni teraf se us ko ilzaaam de ga aur haq tala mera khalifa aur nigehbaan hai her musalman per...albatta dajjal to jawan ghungriyalay balon wala hai..is ki ankh mai tent hai goya mai is ki mushabihat deta hoon Abdul Uza bin Qatan se....So jo shakhs tum mai se dajjal ko paway ussay chahiye k Soorah kahaf k siray ki ayat is per perhay...Muqarrar wo niklay ga sham aur iraq ki dermayani raah se to kharabi dalay ga daahnay aur fasad uthaye ga baahnay...aay khuda k bando!iman per qaim rehna..ashab-e-rasool s.a.w bolay ya Rasool Allah s.a.w wo zameen mai kitni muddat rahey ga?aap ne fermaya 40 din tak..aik din in mai aik saal k braber ho ga aur doosra aik mahinay k aur teesra aik haftay k...aur baqi din jaisay ye tumharay din hain...Ashaab ne arz kiya ya Rasool Allah s.a.w jo din aik saal k braber ho ga us din hum ko aik hi namaz ki kifayat ho gi...Aap ne fermaya nahi balay tum kifayat ker lena is din mai baqar is k yani jitni der k baar in dinon mai namaz perhatay ho..isi terah us din bhi atkal ker k perh lena...Ashaab ne arz kiya ya rasool Allah s.a.w us ki chal kaisi ho gi?Aap s.a.w ne fermaya wo meen(Barish) jis ko hawa peechay se urati hai...so aik qoum k paas away ga to un ko kufr ki teraf bulaye ga..Wo us per iman lawein gay aur us ki baat manein gay to aasman ko hukam keray ga to wo paani bersa dey ga aur zameen ko hukam keray ga to wo un ki ghaaas aur anaj uga dey gi..to shaam ko janwar aayein gay un k kohan pehlay se oonchay hon gay than kushada hon gay..kokhein tani hon gi..Phir dajjal doosri qoum k paas away ga..un ko bhi kufr ki teraf bulaway ga laikin wo us ki baat na manein gay...Tou un ki teraf se hath jaaye ga un per qahat saali aur khushki ho gi...un k hathon mai un k malom mai se kuch na rahey ga...Aur dajjal veeran zameen per niklay ga aur us se kahay ga k aay zameen apnay khazanay nikal...To wahan k maal aur khazanay nikal ker us k paas jama ho jaawein gay..jaisay shehad ki makhiyan bari makhi k gird hajoom kerti hain...Phir dajjal aik jawan merd ko bulaye ga aur us ko talwar se maray ga aur do tukray ker dey ga..jaisa nishana do tok ho jata hai...Phir us ko zinda ker k pukaray ga..so jawan samnay aye ga chehra damakta huwa aur hansta huwa..tou dajjal isi haal mai ho ga k nagaah-e-haq tala hazrat Esa ibn-e-maryam A.s ko bhaijay ga.Hazrat Esa A.s safaid meenar k paas utrein gay...Damishq k shehar mai mashriq ki teraf...zerd rang ka jora pehnay huwe...apnay donon haath farishton k baazoo'on per rakhay huwe...Jab hazrat Esa A.S apna ser jhuka dein gay to paseena tapkay ga...aur jab apna ser uthayein gay to moti ki terah boondein bahein gi...Jis kafir k paas hazrat Esa A.s utrein gay us ko un k dam ki bhaap lagay gi ..wo mer jaway ga ..aur un k dam ka aser wahan tak pohanchay ga jahan tak un ki nazer pohanchay gi..phir hazrat Esa A.S dajjal ko talash kerein gay..yahan tak k paawein gay ussay bab-e-Ludd per(Lydda)..so us ko qatal kerein gay"

(Ludd Phalastine mai riyasate-Israel k capital til abeeb se chand meel k faslay per hai aur yahoodiyoun ne wahan bohat bara hawai adda bana rakha hai)

Sahi muslim Hadith no.7373)

Hadith-e-Jabir bin Abdullah:

(aik taveel hadith mai dajjal ka zikr kertay huwe Huzoor s.a.w ne fermaya)

"Us waqt yaka yuk Hazrat Esa A.S musalmon k dermayan aa jayein gay.phir namaz khari ho gi aur un se kaha jaye ga aay rooh Allah A.S agay berhiye..magar wo kahein gay nahi,tumharay imam ko hi agay berhana chahiye wohi namaz perhaye.phir subah ki namaz se fairgh ho ker musalam dajjal k muqabalay per niklein gay.fermaya jab wo kazab hazrat Esa A.S ko dekhay ga to ghulnay lagay ga jaise namak pani mai hulta hai..phir wo uss ki teraf berhein gay aur ussay qatal ker dein gay aur hala ye ho gi k darakht aur pathar pukar pukar ker kahein gay k aay rooh Allah ye yahoodi meray peechay chupa huwa hai..dajjal k per-o-kaaron mai koi na bachay ga jissay wo A.S qatal na kerdein...

(Musnad ahmed ba silsila riwayat jaber bin abdullah)

is k ilawa kai sahi riwayat moujood hain jin se ye sabit hota hai k hazrat Esa A.S fajar k waqt utrein gay,dajjal ko khatam kerein gay ,saleeb tor dein gay,khinzeer ko maar dein gay aur jizya saqit kerdein gay dossray lafzon mai sab log musalman ho jayein gay..aur wo zameen mai 40 saal thehrein gay phir un ka inteqal ho jaye ga aur musalman un ki namaz-e-janaza perhein gay...Wo apna deen le ker nahi ayein gay balkay deen-e-Mohammad ki perwi kerein gay aur itna maal taqseem kerein gay k koi lenay wala na bachay ga...
Ooper di gai Tamam ahadith se sabit hota hai k Dajjal aik aisay fitnay ka naam hai jo insani soorat mai zahir ho ga jis ko Allah ne bohat taqat de rakhi ho gi aur wo Khudai ka dawa keray ga ..aur aik aankh se kaanaa ho ga aur uski donon aankhon k dermayan k-fay -ray likha ho ga jis ko her momin khawa wo perhana janta ho ya na janta ho perh lay ga..wo apnay manay walon per rizq ki farawani ker de ga aur na mananay walon per tangi ker dey ga..us k saath jannat ya dozakh ki qisam ki koi cheez ho gi aur us ki aag thanda pani ho gi aur us ka pani aag ho gi...Aur wo Hazrat Esa A.S k hathon qatal ho ga aur us ka khoon hazrat Esa A.s musalmaon ko apnay naizay per dikhayein gay....
In ahadith se yahin kahin sabit nahi hota k ye peshan goi americans k baray mai ki gai hai..ya dajjal camera ko kaha gaya hai..aur dajjal k rehnay ka jo arsa zameen per bataya gaya hai wo aik baras aur kuch din banta hai...wo dajjal jo khudai ka dawa kernay k bawajood is baat per qadir nahi ho ga k wo apnay mathay se kafir mita dey ya apni aankh darust ker ley...to yaqeenan us k manany walay aisay hi log hon gay jin k iman kamzor hon gay aur aql mai fatoor ho ga..
Aaj kal to log itnay kamzor iman k hamil hain k koi shakhs zara sa kertab dikha dey to us ko mojza gardantay hain aur us k peechay chalna shuroo ker detay hain...halan k huzoor s.a.w ne fermaya tha (mafhoom) k meray baad agar kisi shakhs hawa mai bhi chalta dekho to us per iman na lana....Hum sab ko chahiye k Khuda ki wahdaniyat ko tasleem kerein aur us k siwa kisi se khof na khayein aur sunnat per amal kertay huwe dajjal ki fitnay se her namaz mai Allah ki panah mangein kyun k nahi hai taqat naiki kernay aur na burai se bachnay ki siwaye Allah (ki madad)k..

وما علينا الا البلاغ

No comments: