Wednesday, August 03, 2011

Masla-e-Shifa'at

Shifa'at ka masla wo masla hai jis ki wajah se ummat-e-Mohammadiyya mai ikhtilaf hai aur is ki wajah se islam garohon mai bat gaya hai..Dunniya mai chun k logon ki gumraahi k baray asbaab mai se aik sabab shifa'at k baray mai ghalat aqaid bhi hain..Is liye Qur'an mai shifa'at k mas'alay ko bakasrat itni wazahat k saath bayan ker diya gaya hai k kisi shakhs ko ye jananay mai koi mushkil pesh nahi aa sakti k shifa'at kon ker sakta hai kon nahi ker sakta ..kis halat mai ki ja sakti hai kis halat mai nahi ki ja sakti kis k liye ki ja sakti hai kis k liye nahi ki ja sakti,kis k haq mai nafay hai aur kis k haq mai nafay nahi hai...

Allah tala fermatay hain:

لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ

"Aasmanon aur zameenon mai jo kuch hai usi ka hai aur kaun hai jo us k hazoor mai uski ijazat k beghair sifarish ker sakay"

is ayat mai mushrikeen k un khayalat ka abtaal kiya ja raha hai jo buzurg insanon ya farishton ya doosri hastiyoun k mutaliq ye gumaan rakhtay hain k khuda k haan un ka bara zor chalta hai jis baat per wo ar baithein ussay manwa ker hi dam letay hain..aur jo kaam wo chahein khuda se le saktay hain..unhein bataya ja raha k zor chalana to derkanar baray se bara muqarrab insaan/farishta bhi jab tak Allah ijazat na dey kuch bol nahi sakta ...Afsos k aaj kal musalmanon ka ik bara garoh bhi isi aqeeday ka hami hai..

يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ

"Wo janta hai jo kuch un k samnay hai aur jo kuch un se ojhal hai aur wo us k ilm ka kuch bhi ihata nahi ker saktay siwaye us ki merzi se"

Insaan to apni zaati maslihaton ko samajhnay ka ahal nahi hai kuja k wo kainaat ki haqeeqat samajh sakay ...is liye agar kisi chotay se chotay hissay mai bhi kisi inssan ki atal sifarish
chalay to kainaat ka sara nizam derham berham ho jaye...Ye Allah hi hai jo chahay to kisi ko apnay ilm mai se kuch ata ker dey...to jis ko ata ki jati hai us ko to khuda ka shukar guzaar hona chahiye na k wo khuda se zid ker baithay...Allah k naik banday to Allah hi k liye Mohabbat kertay hain aur Allah hi k liye nafrat kertay hain wo kisi aisay insaan se kaisiay mohabbat ker saktay hain jo Khulam khulla Allah ki nafermani ker raha ho aur jin cheezon ko Allah aur us k Rasool s.a.w ne haram kiya ho un ka irtikaaab aik mamooli banaday ko raazi kernay k liye ker raha ho?

وَلَقَدْ جِئْتُمُونَا فُرَادَى كَمَا خَلَقْنَاكُمْ أَوَّلَ مَرَّةٍ وَتَرَكْتُمْ مَا خَوَّلْنَاكُمْ وَرَاءَ ظُهُورِكُمْ وَمَا نَرَى مَعَكُمْ شُفَعَاءَكُمْ الَّذِينَ زَعَمْتُمْ أَنَّهُمْ فِيكُمْ شُرَكَاءُ لَقَدْ تَقَطَّعَ بَيْنَكُمْ وَضَلَّ عَنكُمْ مَا كُنتُمْ تَزْعُمُونَ
الأنعام: 94


"aur (Allah tala fermaye ga) beshak hazir ho gaye tum humaray samnay,tan-e-tanha jaise k peda kiya hum ne tum ko pehli mertaba, aur peechay chor aaye tum jo kuch diya tha hum ne tum ko (dunniya mai) aur nahi dekhtay hum tumharay saath tumharay sifarshi bhi jin k mutalliq tum samajhtay thay k wo tumhara (kaam) bananay mai Allah k shareek hain.beshak (aaj) munqata ho gaye tumharay aapas k raabtay aur gum ho gaye tum se wo sab jin ka tum zoam rakhtay thay"

Doosray maqam per isi soorat mai youn irshad hai:

وَأَنذِرْ بِهِ الَّذِينَ يَخَافُونَ أَنْ يُحْشَرُوا إِلَى رَبِّهِمْ لَيْسَ لَهُمْ مِنْ دُونِهِ وَلِيٌّ وَلاَ شَفِيعٌ لَعَلَّهُمْ يَتَّقُونَ الأنعام: 51

"Aur darao tum un logon ko jo is baat ka khof rakhtay hain k wo apnay rub k samnay is haal mai pesh kiye jayein gay us k siwa koi dost ya sifarish kernay wala na ho ga shaid k wo taqwa ikhtiyar kerein"

"Jo log is bharosay per ji rahey hain k Dunniya mai hum jo chahein ker guzrein,aakhrat mai humara baal beeka nahi ho ga kyun k hum falan k daman garifta hain,falan humari sifarish keray ga ya falan humaray liye kaffarra ban chuka hai...ye ayat un k aqeeday ka abtaal kerti hai k Allah k siwa us din koi dost koi sifarish kerna wala na ho ga...

وَيَعْبُدُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ مَا لاَ يَضُرُّهُمْ وَلاَ يَنْفَعُهُمْ وَيَقُولُونَ هَؤُلاَءِ شُفَعَاؤُنَا عِنْدَ اللَّهِ قُلْ أَتُنَبِّئُونَ اللَّهَ بِمَا لاَ يَعْلَمُ فِي السَّمَاوَاتِ وَلاَ فِي الأَرْضِ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى عَمَّا يُشْرِكُونَ
يونس: 18


"ye log Allah k siwa un ki parastish ker rahey hain jo in ko na nuqsan pohancha saktay hain na nafa aur ye kehtay hain k ye Allah k haan humaray sifarshi hain...aay Mohammad s.a.w in se kaho kia tum Allah ko us baat ki khaber detay ho jissay na wo aasmanon mai janta hai na zameen mai..pak hai wo aur bala-o-berter hai us shirk se jo ye kertay hain"

يَوْمَ لاَ يُغْنِي مَوْلًى عَنْ مَوْلًى شَيْئًا وَلاَ هُمْ يُنصَرُونَ (الدخان: 41).
إِلاَّ مَنْ رَحِمَ اللَّهُ إِنَّهُ هُوَ الْعَزِيزُ الرَّحِيمُ (الدخان: 42

"wo din jab koi qareebi aziz kisi qareebi aziz k kuch bhi kaam na aye ga.aur na un ki madad ki jaye gi..siwaye is k.. k Allah hi kisi per raham keray beshak wo ghalbay wala (aur)nihayat reham kernay wala hai"

هَلْ يَنظُرُونَ إِلاَّ تَأْوِيلَهُ يَوْمَ يَأْتِي تَأْوِيلُهُ يَقُولُ الَّذِينَ نَسُوهُ مِنْ قَبْلُ قَدْ جَاءَتْ رُسُلُ رَبِّنَا بِالْحَقِّ فَهَلْ لَنَا مِنْ شُفَعَاءَ فَيَشْفَعُوا لَنَا أَوْ نُرَدُّ فَنَعْمَلَ غَيْرَ الَّذِي كُنَّا نَعْمَلُ قَدْ خَسِرُوا أَنفُسَهُمْ وَضَلَّ عَنْهُمْ مَا كَانُوا يَفْتَرُونَ
الأعراف: 53


"Kia ye intezar ker rahey hain qayamat ki ghari ka aur jab qayamat ki ghari aaye gi to wo log jinhon ne is ka inkaar kiya tha kahein gay beshak Allah k Rasool humaray paas haq k saath aa chukay hain..pas kia humaray liye koi sifarshi hai jo humarai sirfarish keray ya humein doobara wapis bhaij diya jaye takay hum us se mukhtalif amal kerein jo is se pehlay kia kertay thay...beshak inhon ne apnay nafas ko khasaray mai daal diya aur gum ho gaye un se wo( mabood) jo unhon ne ghad rakhay thay"


مَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ حَمِيمٍ وَلاَ شَفِيعٍ يُطَاعُ
غافر: 18


"zalimon ka koi mushaffaq dost na ho ga aur koi sifarrish kernay wala jis ki baat mani jaye"

وَلاَ تَنفَعُ الشَّفَاعَةُ عِنْدَهُ إِلاَّ لِمَنْ أَذِنَ لَهُ

"Aur nahi nafa de sakti us k huzoor kisi ki bhi sifarish siwaye us k jis k liye Allah ne (sifarish ki) ijazat di ho"

يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يَشْفَعُونَ إِلاَّ لِمَنْ ارْتَضَى وَهُمْ مِنْ خَشْيَتِهِ مُشْفِقُونَ
الأنبياء: 28


"Wo janta hai jo kuch un k samnay hai aur jo kuch un k peechay hai aur wo kisi ki sifarish nahi kertay bajuz us k jis k haq mai sifarish sunanay per Allah raazi ho aur wo us k khof se daray rehtay hain"
Mazkoora bala ayat se ye sabit hota hai k Qur'an bilamoon shifa'at k mushrikana aqeeday ki terdeed kertay huwe is haqeeqat per zor deta hai k jin ko tum shafee samajhtay ho wo ilm-e-ghaib nahi rakhtay.Allah tala un bataon ko bhi janta hai jo samnay hain aur un baton ko bhi janta hai jo ojhal hain.Aakhir kisi ko sifarish kernay ka mutliq(total) aur ghair mashroot (with out conditions)ikhtiyar kaisay hasil ho sakta hai jab k wo ye janta hi nahi k is shakhs k amal kia hain aur niyyat kia hai?
Koi bhi shakhs Allah k huzoor mai us ki ijazat k beghair sifarish nahi ker sakta kuja k apni baat zaberdasti manwaye..
Ye to Allah janta hai k agar koi shakhs naik hai to kaisa naik hai mujrim hai to kis derjay ka mujrim hai?ye to nahi ho sakta k koi sakhs dunniya mai kai bandon k haqooq maar ker aya ho..kisi ko gali di ho mara peeta ho..kisi k haq mai na insafi ki ho..kisi ka khoon bahaya ho......aur koi buzurg uth ker sifarish ker dein k Allah is se mowakhza na kerna ye mujh se mohabbat rakhnay wala banda tha is liye issay inam-o-ikram se nawaz dein... ye to islam ka mamooli ilm rakhnay wala shakhs bhi janta hai k Haqooq Allah to maaf ho saktay hain per haqooq-ul-ibaad nahi..

phir peghambaron ki sunnat humaray samnay hai jo k is aqeeday ka abtaal kerti hai k hum jo kuch bhi kerein hum jin buzurgon se nisbat rakhtay hain wo humein bacha lein gay...

Hazrat Nooh A.S ka qissa dekh lein..
Allah tala fermatay hain:

وَنَادَى نُوحٌ ابْنَهُ وَكَانَ فِي مَعْزِلٍ يَابُنَيَّ ارْكَبْ مَعَنَا وَلاَ تَكُنْ مَعَ الْكَافِرِينَ (هود: 42).
قَالَ سَآوِي إِلَى جَبَلٍ يَعْصِمُنِي مِنْ الْمَاءِ قَالَ لاَ عَاصِمَ الْيَوْمَ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ إِلاَّ مَنْ رَحِمَ وَحَالَ بَيْنَهُمَا الْمَوْجُ فَكَانَ مِنْ الْمُغْرَقِينَ .هود: 43

"aur jab Nooh ne apnay betay ko pukara aur wo doosray kinaray tha..aay betay humaray saath sawar ho ja aur kafiron k saath na hona.kaha mai kisi pahar ki panah le leta hoon wo mujhe pani se bacha le ga (to Nooh ne) kaha aaj Allah k azab se koi bachanay wala nahi hai siwaye us k jis per wo reham keray.(isi doran) un k dermayan mouj hail ho gai aur wo doobnay walon mai se ho gaya"

وَنَادَى نُوحٌ رَبَّهُ فَقَالَ رَبِّ إِنَّ ابْنِي مِنْ أَهْلِي وَإِنَّ وَعْدَكَ الْحَقُّ وَأَنْتَ أَحْكَمُ الْحَاكِمِينَ (هود: 45).
قَالَ يَانُوحُ إِنَّهُ لَيْسَ مِنْ أَهْلِكَ إِنَّهُ عَمَلٌ غَيْرُ صَالِحٍ فَلاَ تَسْأَلْنِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ إِنِّي أَعِظُكَ أَنْ تَكُونَ مِنْ الْجَاهِلِينَ (هود: 46


"aur jab Nooh ne apnay Rubb ko pukara aur kaha aay meray rubb beshak mera beta meray ghar walon mai se tha beshak tera wada sacha hai aur tu sab se behter faisla kernay wala hai.fermaya Aay Nooah wo teray ghar walon mai se nahi tha beshak us k amal ghair salih thay pas tu mujh se uss cheez k baray mai sawal na ker jis k baray mai tu nahi janta..aur mai tujhe nasihat kerta hoon k jahilon mai se na ho jana"

قَالَ رَبِّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ أَنْ أَسْأَلَكَ مَا لَيْسَ لِي بِهِ عِلْمٌ وَإِلاَّ تَغْفِرْ لِي وَتَرْحَمْنِي أَكُنْ مِنْ الْخَاسِرِينَ
هود: 47

"Arz kia aay rubb mai teri panah chahta hoon k mai tujh se aisi cheez k baray mai sawal keroon jis ka mujhe ilm nahi hai aur agar tu ne mujhe na bakhsha aur mujh per reham na fermaya to mai khasara uthaanay walon mai se ho jaoon ga"

Isi terah jab farishtay hazrat Ibrahim A.s k paas aaye aur un ko qoum-e-loot k baray mai bataya to Quran ne is mazmoon ko is terah se bayan kiya hai:

فَلَمَّا ذَهَبَ عَنْ إِبْرَاهِيمَ الرَّوْعُ وَجَاءَتْهُ الْبُشْرَى يُجَادِلُنَا فِي قَوْمِ لُوطٍ (هود: 74).
إِنَّ إِبْرَاهِيمَ لَحَلِيمٌ أَوَّاهٌ مُنِيبٌ (هود: 75).
يَا إِبْرَاهِيمُ أَعْرِضْ عَنْ هَذَا إِنَّهُ قَدْ جَاءَ أَمْرُ رَبِّكَ وَإِنَّهُمْ آتِيهِمْ عَذَابٌ غَيْرُ مَرْدُودٍ (هود: 76

" Aur jab Ibrahim ka khof zail huwa aur unhein khushkhabri mil gai to wo hum se qoum-e-loot k baray mai jagharnay lagay...beshak Ibrahim bohat burdbaar aur rujoo kernay walay thay...Aay Ibrahim is khayal ko chor dey Beshak teray Rubb ka hukam aa chuka hai..aur beshak un per aisa azab anay wala hai jo phera na jaye ga."

yani jab Allah ka hukam aa jaye to us ko talnay wala koi nahi hota..chahay us ki sifarish adam-e-saani kerein ya khail-ullah...saath hi is se ye baat sabit ho jati hai k koi chahay Nabi ka qareebi aziz kyun na ho agar Allah ka naferman ho ga to Allah k azab se uss ko khud us ka nabi bhi nahi bacha sakta...


Jaisay k Allah tala ne is ayat mai wazih ker diya:

ضَرَبَ اللَّهُ مَثَلاً لِلَّذِينَ كَفَرُوا اِمْرَأَةَ نُوحٍ وَاِمْرَأَةَ لُوطٍ كَانَتَا تَحْتَ عَبْدَيْنِ مِنْ عِبَادِنَا صَالِحَيْنِ فَخَانَتَاهُمَا فَلَمْ يُغْنِيَا عَنْهُمَا مِنْ اللَّهِ شَيْئًا وَقِيلَ ادْخُلاَ النَّارَ مَعَ الدَّاخِلِينَ
التحريم: 10


"Misal pesh kerta hai Allah un logon ki jinhon ne kufr kiya.Nooh ki bewi aur loot ki bewi thin ye donon aisay bandon ki zojiyat mai jo humaray saleh banday thay..to khayanat kiin donon ne anay shoharon se...so na kaam aa sakay ye donon un ko Allah se bachanay mai zara bhi.. aur kaha gaya un se k dakhil ho jao jahannum mai doosray janay walon k saath"

Soora-e-Hood mai mukhtalif anbiya ka zikr ker k mukhtalif alfaz mai aik hi mazmoon dohraya gaya hai k nabi A.S yahi kehtay rahey k agar wo Allah ki nafermani kerein gay to un ko Allah ki girift se koi nahi bacha sakta.

Is k beraks jab Allah k nabi ya naik banday us ki ijazat se us k huzoor sifarish kerein gay to un k andaz mai aajzi ho gi jaisa k Quran humein Hazrat Esa A.S k mutaliq batata hai:


وَإِذْ قَالَ اللَّهُ يَا عِيسَى ابْنَ مَرْيَمَ أَأَنتَ قُلْتَ لِلنَّاسِ اتَّخِذُونِي وَأُمِّي إِلَهَيْنِ مِنْ دُونِ اللَّهِ قَالَ سُبْحَانَكَ مَا يَكُونُ لِي أَنْ أَقُولَ مَا لَيْسَ لِي بِحَقٍّ إِنْ كُنتُ قُلْتُهُ فَقَدْ عَلِمْتَهُ تَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِي وَلاَ أَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِكَ إِنَّكَ أَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ (المائدة: 116).
مَا قُلْتُ لَهُمْ إِلاَّ مَا أَمَرْتَنِي بِهِ أَنْ اعْبُدُوا اللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمْ وَكُنتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَا دُمْتُ فِيهِمْ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنتَ أَنْتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ وَأَنْتَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ (المائدة: 117).
إِنْ تُعَذِّبْهُمْ فَإِنَّهُمْ عِبَادُكَ وَإِنْ تَغْفِرْ لَهُمْ فَإِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ (المائدة: 118


"Aur jab Allah kahay ga aay Esa ibn-e-maryam kia tu ne logon se kaha tha k tum Allah ko chor ker mujhe aur meri maan ko ma'bood bana lo.arz kerein gay pak hai tu..mujhe rawa nahi k mai aisi baat kahoon jis ka mujhe haq nahi agar mai ne aisa kaha hota to yaqeenan tu janta ho ga.beshak tu janta hai jo meray nafs mai hai aur mai nahi janta jo teray nafs mai hai beshak tu Ghaib ka ilm janta hai.mai ne to nahi kaha un se siwaye us k jis ka tu ne mujhe hukam diya tha k Allah ki ibadat kero beshak wo mera aur tumhara Rubb hai aur tu is baat per gawah hai.aur mai un per gawah tha jab tak un k beech mai tha phir jab tu ne mujhe utha liya to beshak tu un per nigraan tha aur beshak tu her cheez per gawah hai.Pas agar tu un ko azab de to wo teray banday hain aur agar tu un ko bakhsh dey to beshak tu ghalbay wala hikmat wala hai."

Is ayat se ye bhi sabit hota hai k Allah ko chor ker kisi aur ko mabood banana yani kisi aur ki teraf is niyyat se lagao rakhna k qayamat k din ye humari bakhshish ka sabab banay ga kuliyatan ghalat hai...koi bhi shakhs chahay wo kitna hi aali mertabat kyun na ho Allah k haan apni baat nahi manwa sakta jaisa k hazrat Esa A.S ne fermaya k agar tu un ko azab de to wo

teray banday hain aur agar tum un ko bakhsh de to beshak tu ghalbay wala hikmat wala hai.(aur hazrat Esa k mertabay per kaun shak ker sakta hai).Ab chahay isaai (christians) hon ya musalman jo bhi ye aqeeda rakhtay hain un ko ye samajh lena chahiye k wo ghalti per hain.

Huzoor s.a.w ne jab munafiqeen k haq mai dua fermai to Allah ne irshad fermaya:

سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ أَاسْتَغْفَرْتَ لَهُمْ أَمْ لَمْ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ لَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ إِنَّ اللَّهَ لاَ يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ المنافقون: 6

"(aay Nabi s.a.w) braber hai chahay tum in k liye maghfirat ki dua kero ya na kero.Allah her giz inhein maaf nahi keray ga..Allah fasiq logon ko hergiz hidayat nahi deta"

is k 3 saal baad sorah-e-Touba utri jis mai takeed k saath ye mazmoon bayan kiya gaya:

اسْتَغْفِرْ لَهُمْ أَوْ لاَ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ إِنْ تَسْتَغْفِرْ لَهُمْ سَبْعِينَ مَرَّةً فَلَنْ يَغْفِرَ اللَّهُ لَهُمْ ذَلِكَ بِأَنَّهُمْ كَفَرُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَاللَّهُ لاَ يَهْدِي الْقَوْمَ الْفَاسِقِينَ
التوبة: 80


"(Aay Nabi S.a.w) tum aisay logon k liye maafi ki darkhawast kero ya na kero,agar tum 70 mertaba bhi inhein maaf kernay ki darkhawast kero gay to Allah unhein her giz maaf na keray ga..is liye k unhon ne Allah aur us k Rasool s.a.w k saath kufr kiya hai aur Allah fasiq logon ko nijat nahi deta."
(yaad rahay k munafiqeen wo log thay jinhon ne bazahir islam qabool ker liya tha laikin dil se us ki haqqniyat ko tasleem nahi kiya tha aur un k amal ghair saleh thay)

Is mazmoon ko huzoor s.a.w ne apni hadith mai aur bhi wazih ker diya

Hadith-e-abu Hurairah R.A:

Hazrat abu Hurairah r.a bayan kertay hain k jab Allah tala ne ye ayat-e-kareema nazil fermayee

وَأَنذِرْ عَشِيرَتَكَ الأَقْرَبِينَ
الشعراء: 214


"Apnay qareeb tareen rishtay daron ko daraao"

To nabi kareem s.a.w ne kharay ho ker khutba diya aur fermaya:
Aay garoh-e-quresh!(ya isi terah k kuch aur alfaaz fermaye)apni janon ko (jahannum se) bacha lo,mai tum ko azab-e-ilahi se zara bhi na bacha sakoon ga.Aay bani abd Manaf!mai tum ko Allah ki grift se zara bhi na bacha sakoon ga.Aay Abbas bin Abdul Muttalib!mai aap ko Allah ki girift se zara bhi na bacha sakoon ga.Aay Safiya r.a Rasool Allah ki phuphi!mai aap ko bhi Allah ki girift se zara bhi na bacha sakoon ga.Aur aay Fatima r.a meri beti ! tum mujh se meray maal mai jo chahay le lo,magar mai tumhein Allah ki girift se zara bhi na bacha sakoon ga.

(Bukhari :kitab-ul-wasaya 55,chapter 11,)

Neez aik riwayat mai ye bhi hai k huzoor s.a.w ne fermaya huamara koi waris nahi hai humara terka taqseem ho ga...
Huzoor s.a.w ne humein azan k baad jis dua ki taleem di us mai bhi ye zikr khasoosi tor per hai k Humein huzoor s.a.w ki shifa'at ka haqdaar thehrana..so yaqeenan Huzoor s.a.w musalmanon ki shifa'at fermayein gay magar ye shifa'at Allah k izn se ho gi aur ahl-e-iman k haq mai ho gi jo k Allah se dertay huwe naik amal kernay ki koshishein kertay rehtay hain aur jab un se koi qasoor ser zad hota hai to Allah ki teraf rajoo ker letay hain..jaan boojh ker khayanat aur badkaari kernay walay aur Allah se na dernay walay log Huzoor s.a.w k shiafa'at k mustahiq nahi hon gay..jaisa aik taveel hadees mai aap s.a.w ne khayanat ki shiddat bayan kertay huwe fermaya:

"K qayamat k roz ye khain log is halat mai aayein gay k in k garden per in ki khayanat
se hasil kia huwa maal lada huwa ho ga aur wo mujhe pukarein gay ya rasool Allah s.aw meri madad fermayein..magar mai jawab doon ga k ..mai teray liye kuch nahi ker sakta,mai ne tujh tak khuda ka pegham pohancha diya tha.والله اعلم

Allah tala hum sab ko hidayat de aur sahi tareeqay se deen ko samajhnay aur us per amal kernay ki toufeeq ata fermayae aameen..Thumma aameen

وما علينا الا البلغ

No comments: