Thursday, July 21, 2011

Rajam Allah k hukam mai dakhil hai

وَاللاَّتِي يَأْتِينَ الْفَاحِشَةَ مِنْ نِسَائِكُمْ فَاسْتَشْهِدُوا عَلَيْهِنَّ أَرْبَعَةً مِنْكُمْ فَإِنْ شَهِدُوا فَأَمْسِكُوهُنَّ فِي الْبُيُوتِ حَتَّى يَتَوَفَّاهُنَّ الْمَوْتُ أَوْ يَجْعَلَ اللَّهُ لَهُنَّ سَبِيلاً
النساء: 15


"aur tumhari aurton mai se jo behayai ka kaam kerein..un per apnay mai se 4 gawah talab kero,agar wo gawahi dein to un aurton ko apnay gharon mai qaid rakho.yahan tak k maut un ki umrein poori ker dey.Ya Allah un k liye koi aur sabeel peda ker dey"

Ye zina ki wo aboori saza thi jo us waqt nafiz thi jab tak k zina ki had muqarrar na huwi thi phir soorah noor ki ye ayat nazil huwi:

الزَّانِيَةُ وَالزَّانِي فَاجْلِدُوا كُلَّ وَاحِدٍ مِنْهُمَا مِائَةَ جَلْدَةٍ وَلاَ تَأْخُذْكُمْ بِهِمَا رَأْفَةٌ فِي دِينِ اللَّهِ إِنْ كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الآخِرِ وَلْيَشْهَدْ عَذَابَهُمَا طَائِفَةٌ مِنْ الْمُؤْمِنِينَ
النور: 2


"Zinakaar merd-o- aurat mai se her aik ko 100 koray lagao.aur Allah k deen (k nafaz mai) tum her giz in per ters na khao agar tum Allah aur youm-e-akhrat per iman rakhtay ho aur chahiye k in ki saza k waqt muslamanon ka aik garoh moujood ho"

jab ye ayat nazil huwi to huzoor s.a.w ne fermaya:

" k Allah tala ne jo wada fermaya tha us k mutabiq badkaar merd-o-aurat ki mustaqil saza muqarrar ker di gai ,wo tum mujh se seekh lo,aur wo hai kanwaray(ghair shadi shuda merd-o-aurat k liye so so koray ,aur shadi shuda merd-o-aurat k liye so so koray aur sangsaari k zariye marna.

(sahi muslim,kitab-al-hadood,bab-e-had-e-zina-wal sunan)

Phir Aap S.A.W ne amlan shadi shuda zaniyoun ko sazay-e-rajam di aur so koray jo choti saza hai bari saza mai madgham ho gaye aur ab shadi shuda zaaniyoun k liye sirf rajam hai.

Hadith-e-abu Hurrairaah:

Aik shab Maa'az bin malik Aslami Rasool Allah s.a.w ki khidmat mai aaye,iswaqt Rasool Allah s.a.w masjid mai thay..unhon ne aap s.a.w ko awaz di aur kaha ya Rasool Allah s.a.w mai ne zina ker liya hai.aap s.a.w ne un ki teraf se moon pher liya..unhon ne ye baat 4 dafa dohrayee.jab 4 dafa unhon ne is gunah ki apnay ooper shahadat di to Aap s.a.w ne unhein bulaya aur deryaft fermaya : kia tum deewanay ho?unhon ne kaha nahi.phir aap s.a.w ne deryaft fermaya:phir kia tum shadi shuda ho?unhon ne kaha:haan,is per aap s.a.w ne fermaya:"inhein le jao aur rajam ker do"
(Sahi Bukari hadith no:6815)

Aap s.a.w k ahd k baad Khulfaay-e-raashideen aur ahd-e-sahaba mai bhi yahi saza di gayee

Hadith-e-Ali R.A:

Hazrat Ali R.A ne jab Jumay k din aik Aurat ko rajam kiya to kaha k mai ne is ka rajam Rasool Allah s.a.w ki sunnat k mutabiq kiya hai"

(Sahi Bukhari hadith no:6812)

Baad mai tamam ummat k fuqaha aur ulma bhi is k qail rahey aur aaj tak qail hain..sirf khawarij ne is saza ka inkaar kiya.

Sahi bukhari wo kitab hai jis ko kitab Allah k baad sab se sahi kitab ka derja diya ga..us k baad muslim ka maqam ata hai...donon kutab mai koi bhi zaeef hadith bayan nahi ki gai..aur Huzoor s.a.w ki sahi hadith ko jhutlana aisa hi hai jaisa k Quran k hukam ko jhutlana..khudara janay beghair aur tehqeeq kiye beghair kisi hadith ko zaeef na kahein..Ye meri aur aap ki baat nahi Allah ka hukam hai..us k Rasool s.a.w ki baat hai..deen ki hurmat ki baat hai..

Hadith-e-Abu Hurrairah:

Huzoor s.a.w ne fermaya :"insan basa auqat koi kalma zaban se nikal baithta hai..jis k baray mai wo ye nahi sochta k is ka mafhoom aur natija kia ho ga..aur isi aik kalmay ki wajah se phisal ker aag mai itni door uter jata hai jitna fasla aik mashriq se doosray mashriq hai(ya mashriq se maghrib tak hai )

(Bukhari:kitab 18 Al-Riqaq:baab 23 hifzul lisaan )

Barr-e-sagheer mai Kuch log is baat k qail nahi hain k Zina ki saza Rajam hai..is inkaar ki asal bunyaad hi inkar-e-hadith per hai kyun k rajam ki saza Sahi aur nihayat qavi Ahadith se sabit hai..aur is k riwayat kernay walay bhi itni bari taddaad mai hain k ulma ne is hadith ko mutawater riwayaat mai shumar kiya hai...is liye hadith ki hujiyat aur deen mai is k makhaz-e-sharai honay ka qail shakhs Rajam ka inkaar nahi ker sakta...jo log is k qail nahi hain un ko chahiye k Quran ghor se perhein aur dekhein k ziada ter ahkam Quran mai ijmali tor per bayan huwe hain
Jaisay

وَالسَّارِقُ وَالسَّارِقَةُ فَاقْطَعُوا أَيْدِيَهُمَا جَزَاءً بِمَا كَسَبَا نَكَالاً مِنْ اللَّهِ وَاللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ (المائدة: 38).
فَمَنْ تَابَ مِنْ بَعْدِ ظُلْمِهِ وَأَصْلَحَ فَإِنَّ اللَّهَ يَتُوبُ عَلَيْهِ إِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَحِيمٌ (المائدة: 39


"Chor merd-o-aurat k haath kaat do ye Allah ki teraf se ibratnaak saza hai us ka badla mai jo unhon ne kamaya ur beshak Allah ghalbay wala aur hikmat wala hai.
Pas agar wo zulm k baad tauba ker lein aur islah ker lein to beshak Allah Tauba qabool kernay wala hai aur beshak Allah bakshanay wala reham kernay wala hai"

To kia hum is ayat ko samnay rakhtay huwe her shakhs k haath kaat dein gay chahay us ne aik mamooli khosha chori kiya ho?ya baray se bara mujrim bhi bachnay k liye ye keh de k mai ab chori nahi keroon ga to us ka haath nahi kata jaye ga?

Ye humein Rasool Allah s.a.w ki sunnat se pata chalta hai k kia chori kernay per haath kata jaye ga kitna haath kaata jaye ga?

(mazeed tafseel k liye hujjiyat-e-hadees rasool S.A.W perhein )

Hadith-e-Aisha R.A:

Nabi-e-kareen s.a.w ko jab bhi do cheezon mai se aik ko ikhtiyar kernay ka hukam diya gaya to aap s.a.w ne un mai se asan hi ko pasand kiya ,ba shartyek us mai gunnah ka koi pehloo na ho,agar us mai gunnah ka koi pehloo hota to aap sab se ziada door hotay Allah ki qasam!aap s.a.w ne kabhi apnay zaati maamlay mai kisi se badla nahi liya,Albatta jab Allah ki hurmaton ko tora jata to aap.s.a.w Allah k liye badla letay thay"

(Sahi Bukhari hadith no:6786)

Allah hum sab per apna reham fermaye ..Aameen

6 comments:

Nawaqif Rehnuma said...

fairy, rajm was never a regular practice but an exceptional punishment given to adulterer. there are two condition to perform rajm. One is adulterers own acceptance of guilt and other is four eye witness of the incidence. Unless any of this condition is fulfilled rajm is considered unlawful. u should make it clear.Now a day’s rajm is frequently happening all around the world, not considering or fulfilling any of those conditions. Only the wish of religious leaders and terrorists are assisting as the force behind most of these rajm….

fairy said...

I have quoted only two hadiths about rajam..but there are a large number of ahadith which proves that Our prophet s.a.w had practiced it.
As far as the matter of four eye witnesses of the incidence is concerned it was a temporary punishment as i mentioned in my article...
and acceptance of the adulterer is only the evidence that he/she have committed the sin..
Inna mal Aamala bin niyyaat..so who is doing it for the sake of Allah he will get the reward and others as well..
(apni aqal ko kamil nahi samajhtay jahan Allah aur us k rasool s.a.w ki baat aa jaye wahan apni baat chor detay hain )

fairy said...

aik teraf aap zaeef ahadith ki madad se ye sabit kernay ki koshish ker rahi hain k shab-e- bira'at ki bohat fazeelat hai aur doosri teraf sahi ahadith ko bhi khatir mai nahi la rahin?is k baray mai zaroor sochein..sahi aur ghalat batana mera ferz hai...amal kerna ya na kerna aap ki merzi hai..mai to yahi dua ker sakti hoon k Allah hum sab per reham keray..aameen

Nawaqif Rehnuma said...

fairy, Rajm is a question of life and death more sensitive than the significance or insignificance of shab e barat. I just ask you to explain the context/explanation of rajm if possible. only some quotation of hadith is not sufficient in such sensitive matter. nothing else....it wasn't a argument on my behalf.
I think u haven't read my post about sahb-e-barat recently.
whatever thanks for the reply.....

fairy said...

Aap ne mujh se poocha k kia is maslay mai hadith aur Quran-e-pak mai ikhtalaf nahi hai?to mai ne aap ko bataya k aap ne jis ayat ka hawala diya hai wo badkaar ki mustaqil saza muqarrar honay se pehlay utri thi...jis mai ye zikr kiya gaya hai k aurtoun ko gharon mai qaid ker diya jaye...phir aap ne kaha k rajam ki sirf aik misal milti hai wo bhi hazrat umer r.a k daur mai...to mai ne aap ko bataya k huzoor s.a.w k zamanay se le ker sahaba k zamanay tak baad mai anay walay ulma aur fuqaha balakay aaj k ulma bhi is qail hain siwaye khawarij k aur un logon kay jo sirray se hadith ko mantay hi nahi hain.....jahan tak is baat ka taluq k hai k ye zindagi aur maut ka masla hai to us k liye mai ne ye hadith quote ki k huzoor s.a.w ne kabhi kisi se zaati badla nahi liya....Aur jahan tak is baat ka taluq hai k hadith ki quotations kaafi nahi hain...to mai aap se sirf itna keh sakti hoon k Allah ka hukam mannay walon k liye to aik lafz hi kaafi hona chahiye kuja k itni saari ahadith..aap se mai ne arz kiya tha k jo condition aap ne bayan ki hain un mai se aik to mansookh hai...aur doosri mujrim ka apnay moon se iqrar kerna is baat ka saboot hai k us ne waqai ye gunnah commit kiya so ab gawahon ki zaroorat baqi nahi reh jati...aaj kal to medical science iti tarraqi ker gai hai k gawahon ki bhi zaroorat baqi nahi rehti...Allah ka hukam torna us gunnah se berh ker hai jo aap bayan ker rahi hain...Allah ne bohat kam gunahon per itni sakht saza tajweez ki hai..to yaqeenan is mai Allah ki koi maslihat ho gi..Huzoor s.a.w nauzubillah apni teraf se to ye baat nahi keh saktay...jaisa k muslim ki hadith se sabit hai k huzoor s.a.w ne fermaya k Allah ne apna wada poora ker diya hai...WO SAZA TUM MUJH SE SEEKH LO...aap nadani mai(mai to issay nadani hi kahoon gi )bohat bari baat keh rahi hain jis k matlab aur mafhoom se ghaliban aap khud bhi aashna nahi hain...jahan tak is hadith ka taluq hai k Momin ka dil behtreen judge hota hai to arz hai "MOMIN KA DIL"jab insan gunnah kerta rehta hai to uss k dil per siyah dhabba per jata hai agar wo tauba ker ley aur islah keray to wo dhabba mit jata hai na keray to phail ker pooray dil per chala jata hai aur us ka dil siyah ho jata hai....hum mai se bohat se log music ko bohat pasand kertay hain aur music suntay ya dekhtay waqt un ka dil is baat ki gawahi nahi deta k ye aik galat amal hai tou????kia is se Allah ka hukam khatam ho jaye ga? her giz nahi balkay wo dil hi sahi aur ghalat mai tameez nahi ker sakta...aap thoray kahay ko khoob jana kerein ..umeed hai k ab baat aap ki samajh mai aa gai ho gi...wa ma alaina ilall balagh

AHMAD MALIK said...

Its a Good One....