Monday, September 07, 2009

Iqbal! teray des ka kia haal sunaon?

Dehqan to mer khap gaya ab kis ko jagaon
Milta hai kahan khosha-e-gandum k jalaoon
Shaheen k hai gunbad-e-shahi pe basera
kanjushk farumaya ko ab kis se laraoon
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Her darhi mai tinka hai,her aankh mai shehteer
Momin ki nigahon se badalti nahi taqdeer
Touheed ki talwaar se khali hain niyamein
Ab zoq-e-yaqeen se nahi katti koi zanjeer
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Shaheen ka jahan aaj kargis ka jahan hai
Milti huwi mulla se mujahid ki azan hai
Mana k sitaron se bhi agay hain jahan aur
Shaheen mai magar taqat-e-perwaz kahan hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Mer mer ki silon se koi bezaar nahi hai
Rehnay ko haram mai koi tayyar nahi hai
Kehnay ko her ek shakhs musalman hai laikin
Dekho to kahin naam ko kirdar nahi hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Bebaki-o-haq goi se ghabrata hai momin
Makkari aur rubahi per itrata hai momin
Jis rizq se perwaz mai kotahi ka der ho
Wo rizq baray shoq se ab khata hai momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Peda kabhi hoti thi sehar jis ki azan se
Is banda-e-momin ko mai ab laon kahan se
Wo sajda zameen jis se laraz jati thi yaro!
Ek baar tha hum chut gaye is bar-e-giraan se
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Jhagray hain yahan sooboob k zaton k nasab k
ugtay hain tah-e-saya-e- gul khar ghazab k
ye des hai sab ka magar is ka nahi koi
Is k tan-e-khasta pe to ab dant hain sab k
Iqbal tere des ka kia haal sunaon?

Mehmoodon ki saf aaj ayazon se paray hai
Jamhoor se sultani-e-jamhoor daray hai
Thamay huwe daman hai yahan per jo khudi ka
Mer mer k jiye hai kabhi ji ji ker meray hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Dekho to zara mehlon k perdon ko utha ker
Shamsheer-o-sanan rakhi hain taqoun pe saja ker
Atay hain nazer masnad-e-shahi pe rangilay
Taqdeer-e-umam so gai taoos per aa ker
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Makkari-o-Ayyari-o-ghaddari-o-heejan
Ab banta hai in char anasir se musalman
Qari issay kehna to bari baat hai yaaro
Is ne to kabhi khol ker dekha nahi Quran
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Kirdar ka guftar ka A'mal ka momin
Qail nahi aisay kisi janjaal ka momin
Serhad ka hai momin koi bangal ka momin
Dhoonday se bhi milta nahi Quran ka momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

(By:Ameer-ul-islam Hashmi)

5 comments:

Unknown said...

Very good work!

But writing such poem itself is not as per the teachings of Iqbal.

Yaqeen Muhkam, Amal Paiham, Muhabbat Fatehe Alam,

Jihad-e-Zindigani mein hain yeh mardon kee shamsheeren!

Change yourself first!

fairy said...

bk bhai ye meri apni poem nahi hai...lagta hai iqbal k naam se to waqif hain aap per kaam se nahi...kia aap jantay hain k iqbal ko shair-e-mashriq ka khitab aur pakistan k qoumi shair honay ka aizaz kyun diya gaya?
kyun k unon ne apni shairi se musalmanon k ander bedari peda ki thi...so ye sirf ek nazam nahi pakistan k lakhon musalmanon k dil ki awaz hai jis k ek ek lafz se derd tapakta hai agar aap mehsoos kerein tou...her shakhs ka ihtejaj ka tareeqa mukhtalif hota hai..jis ki jitni bisat hai wo wahin tak kaam ker raha hai jo haath se rok sakta hai wo hath se rokay jo zaban se rok sakta hai wo zaban se rokay aur jo dil mai bura janta hai wo dil mai bura janay...musalamanon ka sab se bara almiya hi yahi hai k doosron per tanqeed kertay hain khud ko chor ker

fairy said...

thank u

yehcheez Do said...

Yeh Allah Pak Rehem Ker hum Gunahgaraon per ..

Dr. Khalid Rahman said...

بھول گئے آپ لوگ کہ علامہ نے ملکیت سے کہیں زیادہ قومیت کو ترجیح دی ہے
آپ حضرات پاکستان کی حدوں میں پیوستہ ہو کر رہ گئے جبکے علامہ کا پیغام تو یہ ہے کے اگر افریقہ کے تپتے صحرا میں کسی مومن کے پیر میں کانٹا بھی چبھے تو ہندوستان میں رہنے والے مومن کو اسکا کرب شدّت سے محسوس ہو. یہ آواز صرف مسلمانان پاکستان کی نہیں بلکہ ان تمام رنجیدہ مومنین کی ہے جن کو انکی اپنی قوم نے عالم کرب میں جلتے ہوئے صحرا میں چھوڑ دیا ہے ..تقدیر امم مجاہدے کی رہیں منّت ہے یاد رکھیے عزم کے بغیر تمام فکر لاحاصل ہے ....عمل پیہم درکار ہے عمل پیہم درکار ہے عمل پیہم درکار ہے.....ہندوستان سے خالد رحمن