Friday, December 11, 2009

Allah tala ne her dor mai apni taleemat ko aam kernay aur logon ko rah-e-raast dikhanay k liye peghamber bhaijay....Hazrat Mohammad S.A.W se pehle Hazrat Esa A.S maboos huwe un k baad 400 saal tak nabuwwat ka silsila munqata raha...Aur 400 saal k baad hazrat Mohammad S.A.W maboos huwe...in donon nabuwwaton k beech ka dour zulmaton ka dour tha...khuda ki nafermani aur kufr isi dor mai aam huwa....
Isi dor mai but parasti ka aghaz huwa...but parasti ka aghaz kernay wala Umr bin lahi naam ka shakhs tha..
Ye kehta tha k Badshah Allah k naib hotay hain.Jis terah badshah ne mukhtalif jaghon per apnay naib bana ker bhaijay hotay hain aur amooman ye wo log hotay hain jin ko badshah pasand kertay hain.agar humara koi kaam phansa ho aur hum in naibeen se kahein k wo humari sifarish badshah se ker dein to badshah apni mohabbat ki wajah se un ki baat maan leta hai isi terah Allah us shakhs ko badshah banata hai jis ko Allah pasand kerta hai...ye log Allah k agay humari sifarish kerein gay aur humari bakhshish ho jaye gi...so us ne in badshahon ko khush kernay k liye in k butt banwaye aur hamamon mai nasab kerwa diye aur youn rafta rafta in ki pooja shuroo ho gai.in mai se bohat se butt bohat mash-hoor huwe...
aap batayee kia yahi soch aaj humaray un musalman bhaiyoun ki bhi nahi hai jo qabar parasti aur auliya parasti mai mubtala hain...
Hazrat Aisha R.A huzoor-e-Akram ki chahiti bewi thin...Ek dafa ek shakhs ne aap S.A.W se pooha Ya rasool Allah aap ko duniya mai sab se ziada mehboob kaun hai?Aap S.a.w ne fermaya Aisha R.A wo shakhs heran huwa palat ker phir poocha mera matlab hai merdon mai se fermaya Aisha R.A ka baap isi Aisha R.A ne poocha Ya rasool Allah S.A.W. kia aap qayamat k din apne ghar walon ko yaad rakhein gay?
is per aap S.AW. ne fermaya aay Aisha R.A teen jaghein aisi hain jahan koi kisi ko yaad nahi rakhay ga
1.wo waqt jab Amal nama khola jaye ga
2.wo waqt jab aamal tolay jayein gay
3.wo waqt jab pul-e-sirat se guzra jaye ga
isi terah ek dafa aap S.a.w hazrat Aisha R.A ki gaud mai ser rakhay so rahe thay k hazrat Aisha R.A ki aankh se ansoo tapkay aur app s.a.w. k chehray per giray..aap s.a.w ne fiker se poocha aay aisha tujhe kis gham ne rula diya?aap R.A. ne jawab diya mujhe jaham yaad aa gai thi us k khof ne rula diya..herat angeiz jis ki gaud mai nabi ser rakh ker so raha ho wo jahanum ka khof kha rahi hai...
isi terah aap S.A.W ne fermaya k tum mai se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak mai ussay dunniya ki her cheez se ziada mehboob na ho jaon..
ye aap ne kyun fermaya is liye k jis se sab se ziada mohabbat ki jati hai us ki nafermani ka socha bhi nahi ja sakta..ahl-e-bait ki mohabbat eman ka hissa hai magar is mohabat ka maqsad un k aamal ki perwi ker k poora ho sakta hai..
huzoor s.a.w ne fermaya jo amal hum se sabit nahi wo radd hai...aap s.aw. ki zindagi mai aap ki zojah hazrat khadija R.A aur aap k bachon ka inteqal huwa kai deegar ashab bhi faut huwe per aap ne to kisi ka urs ya wiladat nahi manayee..
humein bhi sochnay ki zaroorat hai sochein aur mujhe bhi bataein.

10 comments:

fairy said...

baat ye hai bhai sahab k ahl-e-bait se mohabat iman ka hissa hai...magar is mohabbat ka maqsad kia hai?jaise dunniya mai koi shakhs kisi hero ya mashhoor shakhsiat ko ideal banata hai to kehta hai hair style waisa ho kapray bhi waise hi pehnay baat bhi waise hi keray...isi terah ahl-e-bait se mohabbat ka maqsad bhi yahi hsi..adab bhi un jaisa..deen se mohabbat bhi un jaisi..aur amal bhi un hi jaisa...is mohabbat ka maqsad urs ya youm-e-wiladat mana ker poora nahi hota...

yehcheez Do said...

Salam o Alekum !
can you please send me the poem of Dr. Allama Iqbal "Aye Khasa e Khasan e Rasul waqt e dua hai.."
i will be obliged.
p.s i have searched that on google but end up with only 2 stanza's on your blog.
yehcheez2@gmail.com

fairy said...

wa alikumusalam
i will try my best ...but u have to wait i will post it in two or three days inshallah..

fairy said...

bhai mai mazrat khawa hoon filhaal mujhe deewan-e-haali nahi mila jaise hi mila mai aap ki matlooba nazam post ker doon gi inshallah

doctor's said...

fairy plz send me poem a khasa a khasan a rusul

doctor's said...

i objection coz nabi ki wiladat ki khushi to farishto ne b manai thi.. ye humrai eido ki eid he...humen to rab azwajal ka shukr ada karna chahye k apne mehboob ki ummat k liye humen muntakhib farmaya..jis ki essa ko b tamanna thi..q na jashan manaye apne sarkar ka?aur jashn us surat me dobala he jb un s.a.w. ki sunnat per mukammal amal pera hon..rahi bat qabar parasti ki to ye jehalat he un logo ki jo pujte hon ge..main cheez he adab ..agar aap taqwe k liye qabrustan jaye to koi buri bat nahi aur fateha khuwani k liye...actually aisi bate wo log karte hen jo smjhte hen nauzubillah nabi s.a.w marcuhke...mera nabi s.a.w zinda he per tumhe iski khabar nahi..

fairy said...

bhai mera wahan jana nahi huwa jahan se deewan mil sakay werna mujhe apna wada yaad hai....aur haan inssan yaqeena usi aqeeday per hota hai jissay wo sahi samajhta hai....per aisi baton k peechay lagna jin k baray mai mukammal ilm na ho apni jagah ek ghalat cheez hai..baat ye nahi k aap kia sochtay hain baat ye hai k humein Allah ne aur us k rasool ne kia bataya hai..khair ye ek lambi behas hai ...Allah hum sab ko hidayat de..ameen thumma ameen

doctor's said...

ofcourse fairy bat actually yehi he...k aap ka aqeeda kiya he?humara deen bohot piyara aur simple he.humare pass quran aur hadith he...isay chor kar hum molviyo k piche bhagte hen jo deen ko pecheeda bana kar pesh kartey hen...any ways mere last comm k barey me sirf eik bat samjhne walo k liye "BA ADAB BA NASIB BE ADAB BENASIB"

doctor's said...

aur mujhe deewan e hali mil gaya he..isay parhne k khuwhishmand bhai aur behen is link se download karke parh len.http://www.mutazila.com/ba/ba.htm
but is se pehle ek chota sa softwear download kar len..jo k usi page k top par he...GETDJVU

fairy said...

pata ahi dr bhai aap adab ko kin manon mai letay hain...laikin baat yahi k adab na ho to mohabbat ho nahi sakti...wo allama iqbal ne kia khoob kaha hai k...
adab pehla qareena hai mohabbat k qareenon mai....so alhamdulillah adab bhi hai aur mohabbat bhi...baqi sahi aur ghalat ka faisla apnay Allah per chorti hoon