Friday, December 11, 2009

Allah tala ne her dor mai apni taleemat ko aam kernay aur logon ko rah-e-raast dikhanay k liye peghamber bhaijay....Hazrat Mohammad S.A.W se pehle Hazrat Esa A.S maboos huwe un k baad 400 saal tak nabuwwat ka silsila munqata raha...Aur 400 saal k baad hazrat Mohammad S.A.W maboos huwe...in donon nabuwwaton k beech ka dour zulmaton ka dour tha...khuda ki nafermani aur kufr isi dor mai aam huwa....
Isi dor mai but parasti ka aghaz huwa...but parasti ka aghaz kernay wala Umr bin lahi naam ka shakhs tha..
Ye kehta tha k Badshah Allah k naib hotay hain.Jis terah badshah ne mukhtalif jaghon per apnay naib bana ker bhaijay hotay hain aur amooman ye wo log hotay hain jin ko badshah pasand kertay hain.agar humara koi kaam phansa ho aur hum in naibeen se kahein k wo humari sifarish badshah se ker dein to badshah apni mohabbat ki wajah se un ki baat maan leta hai isi terah Allah us shakhs ko badshah banata hai jis ko Allah pasand kerta hai...ye log Allah k agay humari sifarish kerein gay aur humari bakhshish ho jaye gi...so us ne in badshahon ko khush kernay k liye in k butt banwaye aur hamamon mai nasab kerwa diye aur youn rafta rafta in ki pooja shuroo ho gai.in mai se bohat se butt bohat mash-hoor huwe...
aap batayee kia yahi soch aaj humaray un musalman bhaiyoun ki bhi nahi hai jo qabar parasti aur auliya parasti mai mubtala hain...
Hazrat Aisha R.A huzoor-e-Akram ki chahiti bewi thin...Ek dafa ek shakhs ne aap S.A.W se pooha Ya rasool Allah aap ko duniya mai sab se ziada mehboob kaun hai?Aap S.a.w ne fermaya Aisha R.A wo shakhs heran huwa palat ker phir poocha mera matlab hai merdon mai se fermaya Aisha R.A ka baap isi Aisha R.A ne poocha Ya rasool Allah S.A.W. kia aap qayamat k din apne ghar walon ko yaad rakhein gay?
is per aap S.AW. ne fermaya aay Aisha R.A teen jaghein aisi hain jahan koi kisi ko yaad nahi rakhay ga
1.wo waqt jab Amal nama khola jaye ga
2.wo waqt jab aamal tolay jayein gay
3.wo waqt jab pul-e-sirat se guzra jaye ga
isi terah ek dafa aap S.a.w hazrat Aisha R.A ki gaud mai ser rakhay so rahe thay k hazrat Aisha R.A ki aankh se ansoo tapkay aur app s.a.w. k chehray per giray..aap s.a.w ne fiker se poocha aay aisha tujhe kis gham ne rula diya?aap R.A. ne jawab diya mujhe jaham yaad aa gai thi us k khof ne rula diya..herat angeiz jis ki gaud mai nabi ser rakh ker so raha ho wo jahanum ka khof kha rahi hai...
isi terah aap S.A.W ne fermaya k tum mai se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak mai ussay dunniya ki her cheez se ziada mehboob na ho jaon..
ye aap ne kyun fermaya is liye k jis se sab se ziada mohabbat ki jati hai us ki nafermani ka socha bhi nahi ja sakta..ahl-e-bait ki mohabbat eman ka hissa hai magar is mohabat ka maqsad un k aamal ki perwi ker k poora ho sakta hai..
huzoor s.a.w ne fermaya jo amal hum se sabit nahi wo radd hai...aap s.aw. ki zindagi mai aap ki zojah hazrat khadija R.A aur aap k bachon ka inteqal huwa kai deegar ashab bhi faut huwe per aap ne to kisi ka urs ya wiladat nahi manayee..
humein bhi sochnay ki zaroorat hai sochein aur mujhe bhi bataein.

Monday, September 07, 2009

Iqbal! teray des ka kia haal sunaon?

Dehqan to mer khap gaya ab kis ko jagaon
Milta hai kahan khosha-e-gandum k jalaoon
Shaheen k hai gunbad-e-shahi pe basera
kanjushk farumaya ko ab kis se laraoon
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Her darhi mai tinka hai,her aankh mai shehteer
Momin ki nigahon se badalti nahi taqdeer
Touheed ki talwaar se khali hain niyamein
Ab zoq-e-yaqeen se nahi katti koi zanjeer
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Shaheen ka jahan aaj kargis ka jahan hai
Milti huwi mulla se mujahid ki azan hai
Mana k sitaron se bhi agay hain jahan aur
Shaheen mai magar taqat-e-perwaz kahan hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Mer mer ki silon se koi bezaar nahi hai
Rehnay ko haram mai koi tayyar nahi hai
Kehnay ko her ek shakhs musalman hai laikin
Dekho to kahin naam ko kirdar nahi hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Bebaki-o-haq goi se ghabrata hai momin
Makkari aur rubahi per itrata hai momin
Jis rizq se perwaz mai kotahi ka der ho
Wo rizq baray shoq se ab khata hai momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Peda kabhi hoti thi sehar jis ki azan se
Is banda-e-momin ko mai ab laon kahan se
Wo sajda zameen jis se laraz jati thi yaro!
Ek baar tha hum chut gaye is bar-e-giraan se
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Jhagray hain yahan sooboob k zaton k nasab k
ugtay hain tah-e-saya-e- gul khar ghazab k
ye des hai sab ka magar is ka nahi koi
Is k tan-e-khasta pe to ab dant hain sab k
Iqbal tere des ka kia haal sunaon?

Mehmoodon ki saf aaj ayazon se paray hai
Jamhoor se sultani-e-jamhoor daray hai
Thamay huwe daman hai yahan per jo khudi ka
Mer mer k jiye hai kabhi ji ji ker meray hai
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Dekho to zara mehlon k perdon ko utha ker
Shamsheer-o-sanan rakhi hain taqoun pe saja ker
Atay hain nazer masnad-e-shahi pe rangilay
Taqdeer-e-umam so gai taoos per aa ker
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Makkari-o-Ayyari-o-ghaddari-o-heejan
Ab banta hai in char anasir se musalman
Qari issay kehna to bari baat hai yaaro
Is ne to kabhi khol ker dekha nahi Quran
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

Kirdar ka guftar ka A'mal ka momin
Qail nahi aisay kisi janjaal ka momin
Serhad ka hai momin koi bangal ka momin
Dhoonday se bhi milta nahi Quran ka momin
Iqbal teray des ka kia haal sunaon?

(By:Ameer-ul-islam Hashmi)

Thursday, July 23, 2009

tum musalman ho?ye andaz-e-musalmani hai?

Raat ka waqt tha gari dermayani raftaar se chal rahi thi...gari mai mojood afrad khush gapion mai masroof thay...gari mor katnay k liay ahista huwi to achanak samnay ek motor bike aa gaya..motor bike gari k samnay gir sa gaya aur us per se ek shakhs utra aur gari k paas aya gun nikali aur gari ka derwaza khulwa ker gari mai baith gaya...gari mai maujood log heran ho gaye...gari mai do masoom se bachay thay ek khatoon aur us ka shohar tha..us shakhs ne gun point per gari agay berhwai...aur saath saath gari ki talashi leni shuroo ki khatoon aur us k shohar ka purse lia...un k mobile cheenay..zewar talash kia jo k nahi mila phir us k shohar ko motorbike per bithaya us khatoon ko pichli seat per bhaija aur bachon ko agay bitha ker gun un k ser per taan li phir un ko atm per le gaya bank mai jitnay bhi paisay maujood thay wo nikalwaye..jab tak us shakhs ne paisay nikal ker nahi diye us ki bewi bachon ko yerghamal banaye rakha...aur paisay lenay k baad un ko aik weeran jagah per chor diya k ap ghar chalay jao..
aisa koi seen jab hum film ya drama mai dekhtay hain to baaz auqat hanstay hai baaz auqat halka sa khof mehsoos kertay hain.baaz auqat achi aks bandi se lutf andoz hotay hain...
magar yahi kuch agar haqeeqi zindagi mai aap k saath ho to?
ooper bayan kerda waqiya kisi film ya drama ki story her giz nahi thi...meray saath ye waqia jab huwa to mai soch rahi thi k musalmanon se un ki azmat aur waqr kis ne cheena...wo musalman kahan hain ab jin k baray mai iqbal ne kaha tha

do neem jin ki thokar se derya o sehra
simat ker pahar jin ki haibat se rai !!!!

wo musalman jo apnay behanon bhaiyoun ki izaat jaan aur maal ki hifazat mai kat mertay thay..ab wohi musalman apni behnon aur bhayoun k jaan aur maal k dushman huwe ja rahe hain? kia paisa waqai itna taqtwar hota hai k insan k iman per bhi ghalib aa jata hai?
Allah tala hum sab ko apni hifazat mai rakhay aur burai k khilaf jang kernay ki toufeeq de..Ameen..Thumma Ameen

Thursday, February 19, 2009

Basa auqat kuch cheezein humaray liay bohat takleef ka bais ban jati hain halan k barah-e-raast un ka taluq humari zaat se nahi hota...
Hum log bohat si akhlaqi beemarion mai mubtala hain..in mai sab se takleef deh doosron ki hansi urana hai..jo k gheebat mai bhi aata hai...islam ki roo se to ye gunah hai hi magar agar islam ko ek teraf rakh ker dekhein to bhi ye kitni buri baat hai k hum akhlaqi tor per itna gir chukay hain k humein khush honay k liay doosron ki hansi urani perti hai..
na sirf peeth peechay balkay moon per bhi kisi ki burai kernay se hum baaz nahi atay..aur to aur aaj kal media per bhi ye rawaj chal nikla hai kisi shakhs ki kamzori ya kami ko wajah bana ker logon ko tafreeh muhayya ki ja rahi hai...
English pakistan ki qaumi zaban nahi sirf serkari zaban hai..per yahan jis ko angrezi ka sahi talafuz maloom na ho ya us ki angrezi darust na ho us ka mazaq bana ker log khoob hi lutfandoz hotay hain..jiyo aur jeenay do ka na'ra laganay walon per ab koi tanqeed kerta hai to ye foran seekh pa ho ker shakhsi azadi k naray laganay lagtay hain...per doosron k terz-e-zindagi,darhi aur perday per tanqeed kertay huwe ye bhool jatay hain k un ki bhi apni zindagi hai aur unhein apni zindagi jeenay ka poora haq hai...
Bajaye is k hum kia hain aur kyun hain aur humari zindagi ka maqsad kia hai...hum ye sochtay hain k qaumi cricket team ne bhala darhi kyun rakh li...
ye log angrezi kyun nahi bol saktay...etc etc kia aap ko nhai lagta k humein badalnay ki zaroorat hai.
khuda k liay is ikhlaqi girawat se baher niklein..aur doosron ka mazaq ura ker un ka dil dukha ker khush hona chor dein