Wednesday, July 13, 2005

Islam k beton k naam

Shor hai ho gaye dunniya se musalmaan nabood
Hum ye kehtay hain thay bhi kahin muslim maujood

Waz'a mai tum ho nasara to tammadan mai hanood
Ye musalmaan hai jinhein dekh ker shermaen yahood

Youn to syed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho

Islamic history per aik nazer dalein to maloom hota hai k ye tareekh siyahi se nahi balakay ansuon aur khoon se likhi gayee hai...
Agar muslim fatoohat per nazer daali jaey to maloom hota hai k ye sirf un ka iman aur dunniya se un ki be raghbati thi jis ne un ko auj-e-surayya per pohancha diya.....
Musalmanon ne ye arooj kyun khoya aur wo itnay bebas kyun hogaye k her shakhs un per ghalba panay laga..
Agar hum aaj k musalmaan ko dekhein to muslmanon k zawal ki wajah ba khoobi samajh aati hai..
Aaj ka musalmaan Allama iqbal k ooper diye gaye sher ki tafseer nazer ata hai..Aaj ka musalaman aik nafs parast insaan hai wo zaban se to ye iqrar kerta hai k Allah aik hai us ka koi shareek nahi aur Mohammad S.A.W us k rasool hain magar wo parastish apni khawahishat-e-nafs ki kerta hai
Zara sochein k jab hamara libas,terz-e-zindagi,rasoom sab apni khawahishat k mutabiq ho ga
to Allah ki rehmat hum per kyun ker nazil ho gi hum jin ki ghulami culture mai libas mai rehaish mai kertay hain un k liay humein jismani tor per ghualm banana kia mushkil hai...
Yaad rakhein Iraq,Bosnia,Afghanistan.Chechnya,Phalestine Aur Kashmir mai honay walay mazalim k mutaliq hum se bhi poocha jaey ga....K jab tumharay bhai ro rahey thay chilla rahey thay to tum un ki madad ko kyun na pohanchay.....
Hum nafs parasti mai mubtala ho ker itnay behis ho chukay hain k humein un ki cheekhein aur siskian sunayee nahi deti aur hum ye samajh baithay hai k k ye waqt hum per nahi aa sakta..
aay meray muslim bhaiyo tumhara dil kyun nahi katta jab tumhari behenein ye cheekh ker kehti hain k hum bhi musalman baap ki betian hain humein in darindon se bachao!
Kyun tumhari ghairat nahi jaagti jab in sab mumalik ki betian ro ker kehti hain k koi hai
jo mohammad bin qasim ki jagah le sakay
Kyun?Kyun? Akhir Kyun?
Khuda k liay hosh mai aao is nafs parasti ki lanat se chutkara pao Socho Aur Allah se daro
Takay hum bhi apnay bhayoun per fakhr ker sakein