Thursday, August 12, 2010

Humara Tumhara Khuda Badshah

Kisi mulk mai aik tha badshah,bara danish mand,meherban aur insaaf pasand.us k zamanay mai mulk ne bohat taraqqi ki aur ray-aya ussay bohat pasand kerti thi.Is baat ki shahadat na sirf us zamanay k mahkama-e-itla'at k kitabchon aur press noton se milti hai balkay badshah ki khud navisht sawanih-e-umri se bhi....
shah-e-jumjah k zamanay mai her teraf azadi ka dor dora tha.log azad thay.Akhbar azad thay k jo chahein kahein,jo chahein likhein-ba-shartyek wo badshah ki tareef mai ho khilaf na ho.
Is badshah ka zamana taraqqi aur ftoohat k liye mash-hoor hai.her teraf khushhaali hi khush haali nazer aati thi,kahin til dharnay ko jagah baqi na thi jo log lakh pati thay,dekhtay hi dekhtay carore pati ho gaye.husn-e-intizam aisa thay k ameer log sona uchaltay uchaltay mulk k is siray se doosray siray tak balkay baaz auqat beroon-e-mulk chalay jatay thay.kisi ki majal na thi k poochay k itna sona kahan se aya aur kahan liye ja rahe ho.
Roohaniat se shaghaf tha.kai derwaish issay hawai aday per lenay ya chornay jatay ya is ki kaamrani k liye chillay kat'tay thay.Tabiat mai uff-o-derguzer ka mada azhad tha,agar koi aa ker ye shikayat kerta k falan shakhs ne meri jaidad hathya li hai ya falan karkhanay per qabza ker liya hai to mujrim khawah badshah ka kitna hi qareebi aziz kyun na ho,wo kamal ser chashmi se ussay maaf ker detay thay.Balkay shikayat laganay walon per ulta khafa hotay thay k aib joyee buri baat hain.
Jab badshah ka dil hakoomat se bhar gaya to wo apni cheque bookein le ker tarak-e-dunniya ho gaya aur paharon ki teraf nikal gaya.kuch log kehtay hain,wo ab bhi zinda hai,
Wallahu Aalam bis-sawab

Ibn-e-insha ki kitab se iqtibas