Thursday, July 07, 2011

Derya-e-Neel k naam

Hazrat Umer R.A k dor mai bohat si aham fatoohat huwin.Miser (Egypt) bhi usi zamanay mai Hazrat Amar bin Al aas k hathon fatah huwa.Jab Hazrat Amar bin al aas fatah k baad governar banay to kuch arsay baad buona ka mahina aa gaya (ye june k mahinay ka qubti naam hai)
Mahina shuroo hotay hi Miser k qadeem qubti bashindon ka aik wafd hazrat Amar bin Alaas R.A k paas aya aur kehnay laga:
"Janab Ameer!Humaray derya-e-neel ko aisi adat pari huwi hai k agar ussay poora na kia jaye to wo chalna band ho jata hai."hazrat Amar r.a ne poocha wo kia?"kehnay lagay :"adat ye hai k jab buoana k mahinay k 12 raatein poori ho jati hain to hum aik naujawan dosheeza ko alash ker k us k waldein ko raazi kertay hain.Aur ussay behtreen zewar aur kapron se arasta ker k derya mai daal detay hain,is k baad wo khoob behnay lagta hai.
Hazrat Amar R.A ne fermaya aisa nahi ho sakta.Islam tamam pichli jahilana rasoom ko munhidin kerta hai.
Wafd ye sun ker chala gaya laikin yahi huwa k buoana(June),Abeeb (July) aur masri (August) teenon mahinay guzer gaye magar derya khushk para raha,yahan tak k log wahan se doosray maqamat per janay ka irada kernay lagay kyun k un ki zindagi ka dar-r-madar Neel k pani per tha.Hazrat Amar r.a ne jab ye dekha to saara majra Hazrat Umer R.a ko likh bhaija aur un se mashwara talab kia,
Hazrat Umer R.A ne jawab diya tum ne theek kia "Islam waqai purani jahilanai rasoom ko munhadin kerta hai "Mai tumharay paas aik percha bhaij raha hoon tum wo derya-e-neel mai daal dena.
"Allah k banday Ameer-ul momineen Umer ki teraf se derya-e-neel k naam,Hamd-o-salat k baad -Agar tu apni merzi se baha kerta hai to behna band ker dey aur agar tu khuda-e-wahid-o-qahar k hukam se chalta hai to hum usi khuda-e-wahid-o-qahar se dua kertay hain k wo tujhe behnay per majboor ker dey."
Hazrat Amar r.a ne ye percha Nasara ki Eid-e-saleeb se aik din pehlay derya mai daal diya.Miser k bashinday wahan se bhagnay ki poori tayyari ker chukay thay.Laikin Eid-e-saleeb k din jab subah ja ker dekha to derya poori aab-o-taab se behna shuroo ho gaya tha.Aik hi raat mai pani ki satah16 zar'aa (feet)tak buland ho gai..Us k baad derya-e-Neel kabhi khushk nahi huwa.

No comments: