Wednesday, July 13, 2011

Mah-e-Sha'baan Aur shab-e-Bira'at

Asal topic per janay se pehlay mukhtasiran Quran ki tafseer k kuch asool dekh lein..
Quran ki tafseer k 4 asool hain.

1-Tafseer bil Quran
2-Tafseer bil hadith
3-Qayas
4-Ijma

Agar kisi Ayat ki tafseer matloob ho to sab se pehlay ye dekhtay hain k aya Quran mai kisi doosray maqam per is amar k mutaliq koi hukam aya hai?agar haan to us ayat ki tafseer doosri ayat ki madad se kertay hain.
Agar Quran mai kisi cheez ka hukam maujood na ho to hadith mai us maslay ka hal talash kertay hain.aur agar quran aur sahi hadith donon hi aik malslay ka hal batatay hon to awwal to sahi hadith Quran se muta'ariz nahi ho sakti laikin agar koi hukam Quran mai sarahat se nahi hai aur hadith mai hai to us per aisay amal kerein gay k donon ka hukam poora ho jaye.
Aur agar kisi maslay ka hal Quran aur hadees mai nahi hai.to us se milta julta hukam talash ker k us maslay ka hal nikal liya jata hai ,is ko qayas kehtay hain.
Aur agar Quran hadith aur qayas se kisi maslay ka hal nahi nikalta aur ulmaye deen mil ker us maslay ka haal is terah talash kerein k wo Quran aur sunnat se ta'aruz na rakhta ho ye ijma kehlata hai.

-------------------------------------------------------------------------------------------------
Allah tala Quran-e-pak mai irshad fermatay hain:

حم (الدخان: 1).
وَالْكِتَابِ الْمُبِينِ (الدخان: 2).
إِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةٍ مُبَارَكَةٍ إِنَّا كُنَّا مُنذِرِينَ (الدخان: 3).
فِيهَا يُفْرَقُ كُلُّ أَمْرٍ حَكِيمٍ (الدخان: 4


"Ha meem.Qasam hai is wazahat wali kitab ki.Yaqeenan hum ne isay ba berkat raat mai utara hai-beshak hum daranay walay hain.Is raat mai her hikmat walay kaam ka faisala kiya jata."

Akser log is raat se shab-e-bira'at murad letay hain jab k agar hum is ayat ko tafseer bil quran ki ru se dekhein to pata chalta hai k is se shab-e- bira'at nahi balke shab-e-qadar murad hai.
Jaisa k hum sab jantay hain k Quran ko shab-e-qadar mai nazil kiya gaya aur jaisa k Quran mai doosray maqamat per sarahat se bayan kiya gaya.

شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ هُدًى لِلنَّاسِ
البقرة: 185

"Ramzan ka mahina wo hai jis mai Quran nazil kiya gaya


إِنَّا أَنزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
القدر: 1


"Beshak hum ne is (Quran) ko lailat-ul-qadar mai nazil kiya"


Aur shab-qadar Ramzan k akhri ashra ki taaq raton mai se aik hai.ooper bayan kerda soorah dukhan ki ayat mai shab-e-qadar ki fazeelat bayan ki gai hai aur Quran ki aik poori soorah is ki fazeelat k baray mai moujood hai.

Allah tala irshad fermatay hain:


لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ (القدر: 3).
تَنَزَّلُ الْمَلاَئِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ (القدر: 4).
سَلاَمٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِ (القدر: 5


"laila tul qadar hazar mahinay se behter hai.is mai farishtay aur rooh (hazrat Jibrail a.s)Allah k hukam se her kaam ko anjam denay k liye utertay hain.Aur ye (raat) taloo-e-fajr tak salamti hai."

is soorat mai bhi yw wazih ker diya gaya k wo lailatul qadar hi hai jis mai her amer ka faisla kiya jata hai.Is liye is se shab-e-bira'at murad lena kisi tor bhi darust nahi hai.waisay bhi shab-e-bira'at k mutaliq jitni bhi ahadees moujood hain wo sanadan zaeef hain un ko Quran ki nas per kisi soorat terjeeh nahi di ja sakti.

Mah-e-Shaa'ban k rozon ka bayan:


hadith-e-Aisha R.A:

Rasool Allah s.a.w sha'baan se ziada aur kisi mahinay mai rozay nahi rakhtay thay,Shabaan k pooray dinon mai aap rozay se rehtay thay.aap s.a.w fermaya kertay thay k amal wohi ikhtiyar kero jis ki tum mai taqat ho kyun k Allah tala (sawab denay se) nahi thakta tum khud hi ukta jao gay" nabi-e-kareem s.a.w us namaz ko sab se ziada pasand fermatay thay jis mai hameshgi ikhtiyar ki jaye khawa kam hi kyun na ho.Chunachay Aap s.a.w jab koi namaz shuroo kertay to ussay hamesha perhatay thay."

(Sahi bukhari: hadith #1970)

Hadith-e-Abu Hurairah R.A:

"Meray Khalil S.a.w ne mujhe her mahinay ki teen tareekhon(13,14,15) mai roza rakhnay ki wasiyat fermai thi.Is terha chasht ki do rak'aaton ki bhi wasiyat fermai thi aur is ki bhi k sonay se pehlay hi mai Witr perh liya keroon"

(sahi bukhari:hadith #1982)

Hadith-e-Abu Hurairah R.A:

"Nabi -e-kareem s.a.w ne fermaya :Tum mai se koi shakhs ramzan se pehlay (shaaban ki akhri tareekhon mai ) aik ya do din k rozay na rakhay albatta agar kisi ko in mai rozay rakhnay ki adat ho to wo us din bhi roza rakh le"

Yani amal wohi acha hai jis mai madawamat ho.Ibadat chahay thori ho magar sunnat k mutabiq ho aur hamesha ho.isi terah her mahinay ki 13,14,15 ko agar rozay rakhay jayein to sha'ban ka mahinay mai bhi ye sunnat poori ho jaye gi.
Jo amal islam se sabit nahi wo Allah k nabi k ferman k mutabiq radd ho jata hai.Koi insan chahay wo kitna hi aali mertabat kyun na ho agar koi aisi baat kehta hai jo sunnat se sabit nahi to wo qabil-e-amal nahi hai.Her insan chahay wo kitna bhi ibadat guzar ho us ka mamla Allah ki teraf hai....hum nahi jantay k Allah k haan us ka mertaba kia hai us ne jo amal kiye wo radd hain ya maqbool..so kisi bhi insan ki perwi kernay se behter yahi hai k Hum us ki perwi kerein jis ki sunnat ko Allah ne humaray liye behtreen rasta qarar diya hai.
Allah hum sab ko deen ko sahi tareeqay se samajhnay aur us per amal kernay ki toufeeq ata fermaye .Aameen Thumma Aameen

No comments: