Tuesday, July 05, 2011

Kia Mohammad s.a.w ne Mairaaj ki raat apnay rubb ko dekha tha?

Hadith-e-Aisha R.A:

Masrooq R.A fermatay hain k mai ne Aisha R.A se poocha: aay um-al momineen!
"Kia Mohammad s.a.w ne Mairaaj ki raat apnay rubb ko dekha tha?"
Hazrat Aisha R.A ne kaha tum ne aisi baat kahi hai k meray rongthay(jism per maujood bareek ruwan ya baal) kharay ho gaye hain.Kia tum in teen baton se nawaqif ho?
Jo shakhs bhi tum mai ye teen baatein bayan karay wo jhoota hai.
1.Jo shaks ye kehta ho k Mohamamd s.a.w ne shab-e-mairaj mai apnay rubb ko dekha tha wo jhoota hai. phir unhon ne ayat tilawat ki:

لاَ تُدْرِكُهُ الأَبْصَارُ وَهُوَ يُدْرِكُ الأَبْصَارَ وَهُوَ اللَّطِيفُ الْخَبِير
الأنعام:103

"Nigahin us ko nahi pa saktin aur wo nigaho ko pa leta .wo nihayat bareek been aur ba khabar hai."

وَمَا كَانَ لِبَشَرٍ أَنْ يُكَلِّمَهُ اللَّهُ إِلاَّ وَحْيًا أَوْ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ
الشورى: 51


"kisi basher ka ye maqam nahi k Allah us se kalam keray siwaye wahi k zariye ya perday k peechay se

2) Aur jo shakhs tum se kahay k aap s.a.w anay walay kal ki baat jantay thay wo bhi jhoota hai
is k liye unhon ne ye ayat tilawat ki:

وَمَا تَدْرِي نَفْسٌ مَاذَا تَكْسِبُ غَدًا
لقمان: 34

"Aur koi shakhs nahi janta k kal kia keray ga."

3) Aur jo shakhs ye kahay k Aap s.a.w ne tableegh-e-deen mai koi baat chupai thi wo bhi jhoota hai.

Phir unhon ne ye ayat tilawat ki.

يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ
المائدة: 67

"Aay Rasool! pohancha dejiye wo sab kuch jo aap k rubb ki teraf se aap per utara gaya hai"

Haan aap s.a.w ne Jibrael A.S ko un ki asal soorat mai do mertaba dekha tha.

(Sahi-al Bukhari,Hadith no:4855)

No comments: