Friday, July 08, 2011

Zuhad aud Rindi

Ek molvi sahab ki sunata hoon kahani
Manzoor nahi teizi tabiyat ki dikhani

Shohra tha bohat aap ki sufi manshi ka
Kertay thay adab un ka aali-o-adaani

Kehtay thay k pinhan hai tassawuf mai shariyat
Jis terah k alfaaz mai muzmir hon ma'aani

Labreiz ma'ey zuhad se thi dil ki surahi
Thi teh mai kahin durd-e-khayal-e-hamadaani

Kertay thay bayan aap karamat ka apni
Manzoor thi tadad mureedon ki berhani

Muddat se raha kertay thay hamsaaye mai meray
Thi rind se zahid ki mulaqat purani!!!!!!!!!!!!!!

Hazrat ne meray aik shanasa se ye poocha
Iqbak k hai qamri-e-shamshad-e-ma'aani

Pabandiy-e-ahkam-e-shariyat mai hai kaisa
Go sher mai rashk-e-kaleem-e-hamdani

Sunta hoon k kafir nahi hindu ko samajhta
Hai aisa aqeeda asar-e-falsafa daani

Hai us ki tabiyat mai tashiyu bhi zara sa
Tafzeel-e-ali hum ne suni us ki zabani

Samjha hai k hai raag ibadaat mai dakhil
Maqsood hai mazhab ki magar khaak uraani

Kuchay aar ussay husn faroshon se nahi hai
Aadat ye humaray sho'ara ki hai purani

Gana jo hai shab ko to sehar ko hai tilawat
Is ramz k ab tak na khulay hum pe ma'aani

Laikin ye suna apnay mureedon se hai mai ne
Be daagh hai manind-e-sehar is ki jawani

Majmoo'aa-e-azdad hai iqbal nahi hai
Dil daftar-e-hikmat hai,tabiyat khafaqani

Rindi se bhi aagaah,shariyat se bhi waqif
Poocho jo tassawuf ki to mansoor ka saani

Is shakhs ki hum per to haqeeqat nahi khulti
Ho ga ye kisi aur hi islam ka baani

Al Qissa bohata tool diya wa'az ko apnay
Ta der rahi aap ki ye naghz bayani

Is shehar mai jo baat ho ur jati hai sab mai
Mai ne bhi suni apnay ahabba ki zabani

Ek din jo sar-e-raah milay hazrat-e-zahid
Phir chir gai baton mai wohi baat purani

Fermaya shikayat wo mohabbat k sabab thi
Tha ferz mera raah shariyat ki dikhani

Mai ne ye kaha koi gila mujh ko nahi hai
Ye aap ka haq tha za rahe qurb-e-makani

Kham hai sar-e-tasleem mera aap k aagay
Peeri hai tawazu k sabab meri jawani

Gar aap ko maloom nahi meri haqeeqat
Peda nahi kuch is se qasoor-e-hama dani

Mai khud bhi nahi apni haqeeqat ka shanasa
Gehra hai meray behr-e-khayalat ka pani

Mujh ko bhi tamanna hai k iqbal ko dekhoon
Ki us ki judai mai bohat ashk fishani

Iqbal bhi iqbal se aagah nahi hai
Kuch is mai tamskhar nahi,Wallah nahi hai

(Allama Mohammad Iqbal)

No comments: