Friday, August 19, 2011

Makhi ki Misaal

يَاأَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ لَنْ يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوْ اجْتَمَعُوا لَهُ وَإِنْ يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْئًا لاَ يَسْتَنقِذُوهُ مِنْهُ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ
الحج: 73

73. O mankind! A similitude has been coined, so listen to it (carefully): Verily! Those on whom you call besides Allah, cannot create (even) a fly, even though they combine together for the purpose. And if the fly snatched away a thing from them, they would have no power to release it from the fly. So weak are (both) the seeker and the sought.

"Aay logo tumhein aik misal di jati hai so ussay (ghor se) suno..beshak jo log Allah ki siwa kisi aur ko pukartay hain..wo her giz nahi bana saktay aik makhi(bhi) agar chay saray jama ho jayein..aur agar kuch cheen lay un se makhi to wo nahi chura saktay us se..kamzor hai sawal kernay wala bhi aur wo bhi jis se sawal kiya ja raha hai"

Allah mukhtar-e-kul hai..sari khudai usi ki hai...wo apni makhlooq mai se jissay chahta hai taqat deta hai..laikin jis ko Allah taqat deta hai wo Allah ki khudai mai shareek nahi ho jata..so wo tamam cheezein ya hastiyan jinhein log Allah ki khudai mai shareek samajhtay hain aur Allah ko chor ker un se madad talab kertay hain wo itni hi zaeef hain jitna k sawal kernay wala ...jin se madad talab ki ja rahi hai wo to is baat ki bhi taqat nahi rakhtay k makhi jaisi mamooli cheez hi bana lein aur agar makhi jaisi mamooli cheez un se kuch cheen ker le jaye to un k paas itni taqat bhi nahi k wo makhi se wo wapis le sakein..So sirf usi se mangein jo Kainat ka Hakim aur malik hai jo makhi si haqeer cheez bana ker us mai bhi jaan daal sakta hai aur insan jaisi mushkil makhlooq bana ker ussay ashraf-ul-makhlooqat ka derja bhi de sakta hai..per afsos k ye sab se behter makhlooq Allah ki azmat samajhnay se aari hai aur un ko Allah k saath shareek kerti hai..jo khud bhi Allah ki girift se apnay aap ko nahi bacha saktay..yahan tak k Allah hi un per reham fermaye aur un k gunahon ko bakhsh de.Beshak nasihat to aqalmand log hi pakartay hain..Aur Allah hi behter janta hai k kaun darust hai aur kaun ghalat..

No comments: