Monday, August 08, 2022

Quran se istifada kaise hasil kerein???

Quran Allah ki akhri kitab hai aur is mai rehti dunniya tak k insanon k liye hidayat  hai... Quran ko Allah ne samajhnay k liye asan banaya hai..aur is mai ghor o fiker kernay ko kaha hai..Quran mai ghor o fiker ka matlab kia hota hai ayein Quran se hi dekhtay hain

Allah tala fermatay hain

Aur hum ne is Quran mai logon k  liye her terah ki misalein bayan ki hain..laikin insan sab cheezon se berh ker jhagraloo hai"

(Surah Kahaf:54)

Yani Allah ne to samjha diya ye insan hi hai jo bila wajah behas mubahisay mai perhata hai

Phir fermaya

"aur ye misalein hain jinhein hum logon k liye bayan fermatay hain aur is se to sirf alh-e-ilm hi nasihat hasil kertay hain"

(Surah Ankaboot:43)

Ek aur jagah fermaya

"Aur hum ne beshak is Quran mai logon k liye her terah ki misalein bayan ki hain shayad k wo nasihat hsil kerein" 

(Surah Zumar:27)

Allah tala ne Quran mai mukhtalif qaumon ki misalein bayan fermai hain takay hum logon k liye nasihat ho aur hum un tamam kamon se bach sakein jin se Allah ne mana ferma diya..aur jin ki wajah se pichli qaumein tabah huwin....

Sab se pehley shirk ki misal lein..Christians se Hazrat Isa A.S aur un ki walida ko Allah ka sharik banaya to Allah tala ne un k liye kia fermaya?

"Bilashuba wo log kafir hain jo kehtay k Maryam k betay Masih khuda hain..halan k masih bani israel se kehtay thay k Allah ki hi ibadat kero jo tumhara Aur mera bhi rub hai..Aur jo shakhs bhi khuda k sath shirk keray ga..Allah ne us per jannat Haram ker di ..aur us ka thikana dozakh hai..aur zalimon ka koi madadgaar nahi hai"

(Surah Al-Maida:72)

Allah ne is ayat mai shirk ki saaf tareef bayan ker di hai..insanon mai peghambaron k derjay sab se baray hain..un k baad kisi ka derja ata hai..so koi shakhs chahay us ki naiki k baray mai ap kitnay hi khushguman kyun na hon ..ya us ki nisbat kaisi hi kyun na ho..ussay Allah k banday se berh ker derja denay per..ya us ko  kainaat ya us k tassaruf mai kisi ikhtiyar ka malik samajhnay per ya us ko pukarnay per ap shirk k hi murtakib hotay hain..shirk tamam naikiyoun ko zaya ker deta hai..aur mushrik ka thikana  Allah k hukam k mutabiq dozakh hi honay wala hai..

baaz log kehtay hain k Allah jis ko chahay maaf ker de..beshak Allah ka ikhtiyar hai k jissay chahy maaf ker de..magar Allah ne Quran aur sunnat k zariye ek mukammal manual utar diya hai..us mai gunnah  o sawab k standards hain..aur azab aur basharatein bhi hain.. so faisla bhi unhi ki mutabiq hona hai..aisa nahi hota k syllabus kuch aur hai aur imtihan kahin aur se aajaye ga..aur natija kuch aur nikal aye ga..

Allah tala khud Quran mai fermatay hain:

"Aur yahi Allah k sunnat hai un k liye jo tum se pehley guzray hain..Aur tum her giz Allah ki sunnat mai tabdeeli nahi pao gay"

(Surah Fatha:23)

ye ayat Allah ne quran mai kai baar un qoumon ki misalein bayan kernay k baad irshad fermai jinhon ne Allah ki nafermani ki thi aur phir un per Allah ka azab nazil huwa...

Agar dekhein to sahaba ka bhi yahi tarika e kaar raha hai..jab sharab ki hurmat ka akhri hukam nazil huwa to  sab ne sharab k matkay tor diye sharab madina ki galiyoun mai beh rahi thi...isi terah sood ki hurmat ka hukam atay hi sab ne sood kulli tor per khatam ker diya..aur islam mai dakhil hotay hi ghair Allah se mukammal moon mor liya..masjidon mai sahabiyat jaisi aala iman wali aurton ne sahaba jaise Ala iman walay merdon se perda kia..ye baat sahaba ko samajh kyun nahi ai..k sharab peetay rahein sath sath Allah se maafi bhi maang lein gay..sood khatay rahein koi baat nahi Allah iman walon per bohat maherban hai..namehramon se khula ikhtilat kertay rahein Allah Rahim o kareem hai..jhoot boltay rahein Allah humari niyyat janta hai..gunnah ka kaam chup ker kerein kisi k ilm mai na aye..logon se sharma lein Allah se khof na khayein..kyun k Allah to maaf fermany wala hai 70 maon se ziyada maherban hai..

Allah k liye apni Ankhein kholein aur apni islah kerein Allah ne maghfirat ka wada kia hai magar tauba aur islah k baad..

Allah k liye Allah se der jayein..koi kaam namumkin nahi hota..bas Allah ka khof hona zaroori hai..haram rizq chora ja sakta hai,pakeezgi ikhtiyar ki ja sakti hai..be rah rawi se bacha ja sakta hai.. Hidayat ikhtiyar ki ja sakti hai.. .bas nafs k serkash ghoray per lagamein daalni hon gi..Allah hum sab ki islah fermaye aur humara hami o madadgaar ho..Aameen

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 



 


No comments: