Tuesday, August 02, 2022

 Bachpan mai ek kahani perhi thi... K ek shakhs ek bhaloo se dosti ker leta hai.. Wo dono kisi safar per nikaltay hain.. Rastay mai us shakhs ko neend aa jati hai.. Neend k doran ek makhi us k chehray per aa baithti hai.. Bhaloo us makhi ko hatanay ki bar bar koshish kerta hai magar wo bar bar wapis aa jati hai.. Akhir kaar bhaloo tang aa ker pathar uthata hai aur us admi k chehray per baithi huwi makhi ko maar deta hai kahani ka nateeja tha k

"bewakoof dost se dana dushman acha hota hai"

Ek kahwat hai k kisi per tab tak bharosa na kero jab tak ussay ghussay ki halat mai ne dekh lo.. 

Humaray deen mai bhi dost k baray mai khoob tehqeeq kernay ka hukam hai.. hadith ka mafhoom hai k insan apnay dost k deen per hot hai.. So ussay khoob dekh lena chahiye k wo kis se dosti ker raha hai.. 

Allah humein aise doston ki sohbat naseeb kere jo deen aur dunniya mai humaray madadgaar hon.. Jin ko dekhein to khuda yaad aye aur jo humein Allah k qareeb le janay walay hon.. Aameen


No comments: