Friday, July 29, 2022

 Allah tala apnay bandon per bohat maherban hai..Un se bohat mohabbat kernay wala bhi hai..laikin kia Allah ko hum aziz bhi hain? is baat ka andaza kaise lagaya jaye..

Abu Hurairah R.A se marwi hai k nabi kareem s.a.w ne fermaya 

"Jab Allah tala kisi banday se mohabbat kerta hai to Jibrael A.S se fermata hai k Allah tala falan shakhs se mohabbat kerta tum bhi us mohabbat rakho,chunachay Jibrael A.s bhi is se mohabbat kernay lagtay hain..phir Jibrael A.S tamam Ahl e aasman ko pukar detay hain k Allah tala falan shakhs se mohabbat rakhta hai is liye tum bhi us se mohabbat rakho..chunachay tamam aasman walay is mohabbat rakhnay lagtay hain is k baad zameen walay bhi us ki mohabbat ko maqbool samajhtay hain..

(Sahi Bukhari:3209)

ye hadith perhatay hi shayad bohat se logon k dil mai khayal aye k kia Allah hum se mohabbat nahi kerta?

to Arz ye hai k logon ki mohabbat ko Allah ki mohabbat ka paimana na banayein..duniyya mai bohat se log aise hain jinhein hum celebrity ya star samajhtay hain ..wo dunniya mai mash-hoor bhi bohat hotay..bohat saray log un se mohabbat bhi kertay yahan tak k baaz ki mohabbat aqeedat ki hadood bhi cross ker jati hai..un mai se kai Allah per iman bhi nahi rakhtay to kia wo Allah k pyaray ho jatay hain..hergiz nahi..Allah tala fermatay hain k 

"tujhe kafiron ka sheharon mai chalna phirna kahin dhokay mai na daal de ye to bohat hi thora faida hai phir inka thikana to jahannum hai aur wo bohat hi buri jagah hai"

(surah aal e imran:196-197)

aur shohrat k liye iqbal ka ek sher yaad aa gaya

Jeena wo kia jo ho nafs e ghair per madar

Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chor de

 

Allah ki mohabbat ki nishani kia hai phir?

Allah jis k sath mohabbat kerta hai..ussay deen ki samajh de deta hai..Allah jis se mohabbat kerta hai ussay baar baar aazmaish mai dalta hai..kabhi  jaan se kabhi maal se to kabhi aulad se takay dekh sakay k wo shakhs Allah ki mohabbat mai kitna sacha hai..aur museebat tangi ya pareshani mai bhi Allah ki fermanberdaari ka rasta ikhtiyar kerta hai ya nahi..is k ilawa ek hadith ka mafhoom hai k insan sab se ziada nafli ibadat se Allah k qareeb jata hai..

so nafali ibaadat namaz,roza, sadqaat ka ihtamam kerein .,zahir aur chupay mai Allah se darein,gunahon ko mukammal tor per chor dein aur Allah ko raazi kernay ki koshish kerein  aur Allah se uski mohabbat k sawal kerein..phir shohrat aur logon ki mohabbat milay ya na milay insha Allah Allah ki mohabbat aur raza zaroor mil jaye gi..

No comments: