Tuesday, March 01, 2005

Naat

Kisi gham ghusaar ki mehnaton ka ye khoob mai ne sila diya
K jo meray gham mai ghula kia ussay mai ne dil se bhula diya

Jo jamal-e-Rooh-e-hayat tha jo dalil-e-rahe nijat tha
ussi rahber k naqoosh-e-pa ko musafiron ne mita diya

Mai teray mazar ki jalion hi ki midhaton mai magan raha
teray dushmanon ne teray chaman mai khizan ka jaal bicha diya

Teray husn-e-khulq ki ek ramaq meri zindagi mai na mil saki
mai issi mai khush hoon k shehar k der-o-baam ko to saja diya

Teray sour-o-badr k baab k mai waraq ulat k guzar gaya
Mujhey sirf teri hikayaton ki riwayatoan ne maza diya

Ye meri aqeedat-e- be basar ye meri riyazat-e-behuner
mujhey meray dawa-e-ishq ne na sanam diya na khuda diya

Tera naqsh-e-pa tha jo rehnuma to ghubar-e-rah thi kehkshan
issay kho diya to zamany bhar ne humein nazer se gira diya

kabhi aay inayat-e-kam nazer teray dil mai ye bhi kasak huwi

jo tabassum-e-rukh-e-zeest tha ussay teray gham ne rula diya