Saturday, March 05, 2005

Zara sochein

Kuch din pehley Mujhey Faisal Masjid janay ka ittefaq huwa.Pakistan mai rehany walay log yaqeenan is ki shan-o-shaukat se waqif hon gay.Islamabad k aik kinaray per waqay ye Masjid apni noiyat ki wahid masjid hai jo Pak-Saudia dosti ki ameen bhi hai.

Hum log wahan maghrib ki namaz ada kernay k niyyat se gaye thay .Jiswaqt abu parking k liay jagah talash ker rahey thay us waqt maghrib ki azanein shuroo ho gayeen.Masjid ka ehaata kafi taveel hai aur namaz ki jagah tak pohanchnay tak aik rak’at k zaya honay ka khatra lahaq tha aur saath saath zehan mai ye baat bhi thi k Huzoor S.A.W k irshad k mutabiq humein teiz bhi nahi chalna chahe kitni hi der kyun na ho jaey is liay mai abu se keh rahi thi k plz jaldi se gari park kerein takay hum utar sakein. Bari muskil se parking k liay jagah mili to ussi waqt aik coach jis mai kayee log sawar thay start huwi aur wapsi k liay mur gayee ye meray liay aik dhachka tha magar ander ja ker mera ta’assuf kuch aur bhi berh gaya jab mai ne dekha k masjid logon se bhari pari hai aur namazion ki sirf teen suffein hain log idher udher ghoom rahey hain bachay shor ker rahey hain log kha pee rahey hain tasveerein ban rahi hain tab kuch sawal meray zehan mai ubhray jawab aap se chahti hoon

Kia logon ne masjid ko bhi tafreeh gah bana lia hai?Kia issi liay masjidon ki araish se mana kia gaya hai? Kia Qayamat ki aik aur nishani poori ho gayee k us k qareeb Masjidon mai dunyawi guftagoo honay lagay gi?Kia hum yahood ki terah khush feham nahi ho gaye k Allah k ghazab ko awaz de ker bhi samajhty hain k wo hum se apni rehmat door nahi keray ga?
Zara sochein aur Jawab dein

2 comments:

intense 'feeler' said...

i wish i could have respect and desire for my namaz like u.U r right faisal mosque mian yay sub kuch hee hota hay aur log masjid k taqaddus ka khayal nahee rekhtay.may God show us the right path and give us the desire to offer our prayers. aameen

fairy said...

thank u mr.....aik baat kehna chahoon gi wo ye k....feelings sab k ander hoti hain u only have to direct them..agar emotions ko baher nikalnay ka proper raasta na milay to they can destruct u..apni energy ko channelize kero.anger ko productive energy mai tabdeel kero u will get the result inshallah...
best wishes for u and ur studies