Wednesday, March 16, 2005

Nigah-e-faqr mai.....

Nigah-e-faqr mai shan-e-sikandari kia hai?
Khiraj ki jo gada ho wo Qaisaree kia hai?

Buton se tujh ko umeedein,Khuda se nomeedi
Mujhey bata to sahi aur kaafri kia hai?

Falak ne un ko ata ki hai khawajgi k jinhein
Khabar nahi rawish-e-banda perwari kia hai?

Faqat nigah se hota hai faisla dil ka
Na ho nigah mai shokhi to dilbari kia hai?

Isi khata se itab-e-malook hai mujh per
K janta hoon Ma'al-e-sikandari kia hai?

Kissay nahi hai tammanaye serwari lakin
Khudi ki maut ho jis mai wo serwari kia hai?

Khush aagayee hai jahan ko qalandri meri
Wagarna sher mera kia hai shaeyree kia hai?

Allama Iqbal

No comments: