Thursday, June 09, 2011

Multazim per

Ilahi teri chaukhat per,bikhari ban k aya hoon
Sarapa faqr hoon,ijz-o-nadamat saath laaya hoon

Bhikari wo k jis k paas jholi hai na payala hai
Bhikari wo jissay hirs-o-hawas ne maar dala hai

Mata'ey deen-o-danish nafs k hathon se lutwa ker
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhaint cherhwa ker

Luta ker saari poonji ghaflat-o-esyaan ki daldal mai
Sahara lenay aya hoon,teray Kaabay k aanchal mai

Gunahon ki lapat se kainat-e-qalb afsurda
Iraday muzmahil, himmat shikasta hoslay murda

Kahan se laoon taqat dil sachi terjumani ki
K is janjaal mai guzri hain ghariyaan zindagani ki

Khulasa ye k bas,jal bhun k apni rusiyahi se
Sarapa faqr ban k apni halat ki tabahi se

Teray derbaar mai laya hoon apni,ab zaboon haali
Teri chaukhat k laiq her amal se haath hain khali

Ye tera ghar hai teray mehal ka derbaar hai maula
Sarapa noor hai ek mohbat-e-anwaar hai maula

Teri chaukhat k jo adaab hain mai un se khali hoon
Nahi jis ko saleeqa mangnay ka wo sawali hoon

Zaban gharq-e-nadamat dil ki naqas terjumani per
Khudaya rehm meri is zuban-e-be zabani per

Ye aankhein khushk hain ya rubb inhein rona nahi ata
Sulagtay daagh hain dil mai,jinhein dhona nahi aata

Ilahi teri chaukhat per bhikari ban k aya hoon
Sarapa faqr hoon ijz-o-nadamat saath laya hoon

(Muft Taqi Usmani)

No comments: