Sunday, June 05, 2011

Ahl-e-Bait

Ahl-e-bait se kaun murad hain?..is k ta'ayyun mai kuch ikhtilaf hai.Baaz ne is se ajwaj-e-muttharat murad liya hai jaisa k surah Alahzab ayah 33 mai Allah tala ne fermaya:

وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلاَ تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الأُولَى وَأَقِمْنَ الصَّلاَةَ وَآتِينَ الزَّكَاةَ وَأَطِعْنَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنْكُمْ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا (الأحزاب: 33).

"Aur apnay gharon mai qarar se raho.aur qadeem jahiliyat k zamanay ki terah apna banao singhar zahir na kero.aur namaz ada kerti raho aur zakat deti raho.Aur Allah aur us k rasool (s.a.w )ki ata'at guzari kero.Allah tala yahi chahta hai k aay nabi ki ghar waliyo!tum se wo her qisam ki gandgi ko door ker dey aur tumhein khoob pak ker dey."

Yahan Allah tala ne ajwaj-e-muttaharat ko hi ahl-e-bait kaha hai.
Quran k doosray maqamat per bhi biwi ko ahl-e-bait kaha gaya hai:

قَالُوا أَتَعْجَبِينَ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ رَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ عَلَيْكُمْ أَهْلَ الْبَيْتِ إِنَّهُ حَمِيدٌ مَجِيدٌ (هود: 73)

"Farishton ne kaha kia tu Allah ki qudrat se ta'ajub ker rahi hai tum per aay is ghar k logo Allah ki rehmat aur us ki berkatein nazil hon.beshak Allah hamd-o-sana ka sazawar aur bari shan wala hai ."

Hazrat Ibrahim A.S ki Ahliya mohterma ko yahan farishton ne ahl-e-bait k naam se yaad kia hai.doosray un k liye jama muzakkar mukhatib ka seegha istimal kiya.jis se aik to ye baat sabit huwi k ahl-e-bait mai sab se pehlay insan ki biwi shamil hoti hai aur doosray ye k ahl-e-bait k liye jama muzakakr k seeghay ka istimal bhi jaiz hai jaisa k surah ahzab mai Allah tala ne nabi ki ajwaj ko mukhatib kia aur saath jama muzakkar k seeghay ka istimal bhi kia..
Is liye ajwaj-e-muttahart ka Ahl-e-bait hona Nass-e-Qurani se sabit hai.
Baaz hazraat,baaz riwayaat ki roo se ahl-e-bait sirf Hazrat Ali.r.a,Hazrat fatima R.a aur Hassan aur Hussain R.a ko mantay hain aur azwaj-e-muttaharat ko is se kharij samajhtay hain.
Jab k awwal-uz-zikr in char ashab ko is se kharij samajhtay hain.
Taham aitedal ki rah yahi hai k ye donon hi ahl-e-bait mai shamil hain.
Ajwaj-e-muttaharat to is liye is liye k wo nas-e-qurani se sabit hai.aur damad-o-aulad un musatnad riwayat ki ru se jo sahi sanad se sabit hain. jin mai nabi kareem s.a.w ne in ko apni chadar mai le ker fermaya :

"Aay Allah ye meray Ahl-e-bait hain"

is ka matlab ye bhi ho ga k ye meray ahl-e-bait hain.ya ye dua hai k Ya Allah in ko bhi Ajwaj-e-muttaharat ki terah meray ahl-e-bait mai shamil ferma dey.

Allah hum sab ko deen ko sahi tareeqay se samajhnay aur us per amal kernay aur ahl-e-bait ki darust tor se izzat kernay ki taufeeq dey..Ameen Thumma ameen

No comments: