Wednesday, June 22, 2011

Log kia kahein gay?

Hum jis moashray k baasi hain wahan aik riwaj bohat aam hai k her achay ya buray kaam k kernay se pehlay ye socha jata hai k log kia kahein gay?
Log is moashray ka hissa zaroor hain aur logon se achay ikhlaq se pesh anay ka hukam Allah aur us k rasool s.a.w ne bhi diya hai...aur islam mai un kamon ki bhi mumaniat nahi jo maroof hon (yani wo kaam jo kisi tehzeeb mai riwaj pa jatay hain aur shar'aa un per koi pabandi aa'ed nahi kerti)...
Magar is ka ye matlab hergiz nahi k hum koi bhi kaam sirf logon ki tareef hasil kernay k liye kerein..aur kisi bhi kaam se sirf is liye bachein k log us se humaray baray mai ghalat ra'ey qaim ker saktay hain..
Is k beraks humara her amal Allah ki khushnoodi k liye hona chahiye..subah uthnay se le ker raat ko sonay tak....jaisay agar ghar saaf kerna hai achay kapray pehananay hain khushbu lagani hai to sirf is liye k Allah aur us k rasool s.a.w ne safai ka hukam diya hai...aur safai ko nisf iman qarar diya...Deegar zarooriyat-e-zindagi mai bhi agar Allah ki raza ko muqaddam rakha jaye to roz merra k mamoolat bhi ibadat ka derja ikhtiyar ker letay hain..
Yaad rakhiye Aamaal ka dar-o-madar niyyaton per hai...agar her amal khalis Allah ki raza k liye ho ga to logon se badlay ki tawaqqu bhi kam ho gi...Aur jab badlay ki tawaqqu kam ho gi to insan bohat si ikhlaqi burayoun se bhi bach jaye ga..khas tor se gheebat ,chugli,hasad aur mayoosi jaisay naasoor jo sirf aur tawaquaat k poora na honay per peda hotay hain...Aur insan shaitan k behkaway mai aa ker Allah tabarak-o-tala ki nashukri jaisay azeem gunah ka murtakib ho jata hai...
Islam aik mukammal aut mutawazan deen hai...is ka humari zindagayoun mai hona hi tawazan aur terteeb ki alamat hai...aayee aaj hi apni zindagiyoun ka jaiza lein..aur un saari cheezon ko baher nikal phainkein jo Allah aur us k Rasool s.a.w ki narazgi aur nafermani ka sabab ban rahi hain...apni niyatein aur amal darust kerein...kyun k niyyat k saath amal ka darust hona bhi zaroori hai...darust amal darust niyyat k saath hi humein falah ki teraf le ja sakta hai...Aaye Allah k hukam k mutabiq pooray k pooray islam mai dakhil ho jayein..aur yahi humara audhna bichona ho..
Allah hum sab ko darust rastay per chalnay ki aur feham k saath deen apnanay ki toufeeq ata fermaye..
Aameen Thumma ameen

No comments: