Monday, June 27, 2011

Gunnah aur Insan

Gunnah aur insan ka taluq bohat purana hai...Allah ne her insan k ander kuch bashri kamzoriyan rakhi hain..
Isi terah her insan k saath Allah tala ne aik shaitan ko peda kia hai...Jo k Quran k ferman k mutabiq us waqt hum per musallat ker diya jata hai jab hum Allah k naferman ho jatay hain aur Allah ki raah ko chor detay hain...wo shaitan humein burai per uksata rehta hai aur agar hum us ko Allah ki ata'at ker k kamzor na ker dein to wo hum per haawi ho ker humein Allah ki yani roshni ki raah se nikal ker Gunnah yani tareeki ki raah per le jata hai.
Aur is tareek raah ka anjam Allah k azab k siwa aur kuch bhi nahi..yahan tak k insan touba keray..na sirf touba keray balkay apnay us amal ki islah bhi keray jo us se nadani mai ser zad ho gaya...aur doobara kabhi us gunnah ki teraf na paltay..
Gunnah insani fitrat ka hissa hai...Insan Gunnah kerta rehta hai..Allah se maafi talab kerta rehta hai aur Allah us k gunnah bakhshta rehta hai laikin ye sirf us waqt tak hota hai jab tak Gunnah Allah aur banday k beech mai rehta hai...Gunnah Allah aur banday k beech us waqt tak rehta jab tak k us ka muzahira khulay aam na kia jaye..ya apnay gunnah ki tash-heer na ki jaye..

Hadith-e-abu Hurairah R.A:
"Huzoor s.a.w ne fermaya : meri tamam ummat k gunnah bakhshay jayein gay..magar un logon k jo Apnay gunahon ko faash kertay hain..Aur wo ye hai k aadmi raat ko aik gunnah ka kaam keray..phir subah ho aur perwardigar ne us ka gunnah poshida rakha ho..pas wo doosray se kahay..ya falanay mai ne guzishta raat ko aisa aisa kaam kiya...raat ko to perwardigar ne us ko chupaya aur raat bhar chupata raha..Subah ko us ne perda khol diya."
(hadees-e-muslim 7485)

Ho sakta hai koi insan apnay ander gunnah ka hosla na pata ho magar aap ko dekh ker wo bhi gunnah kernay per amada ho jaye..ho sakta hai aap to tauba ker lein magar wo gunnah kerta rahay aur ho sakta hai k us ka gunnah akhrat mai aap ki berbaadi ka sabab ban jaye..
So Allah k ferman k mutabiq islam mai pooray k pooray dakhil ho jayein...aur logon se achi baat kahein takay aap ki baat aap k liye sadqa-e-jariya banay aap k gunahon mai izafay ka sabab na banay..
Isi terah khulay aur chupay huwe tamam gunnah Allah ki khatir chor dejiye..yaad rakhiye gunnah wo nahi jissay aap gunnah samjhein balkay gunnah wo hai jissay Allah ne gunnah samjha aur jis se bachnay ki taleem Humein us k rasool.s.a.w ne di..Aur apni nazer ki hifazat kerein kyun k nazer ki hifazat ka hukam merd-o-zan sab k liye hai...aur yaqeenan electronic media bhi isi hukam mai dakhil hai..

P.S meri apnay sab musalman bhayoun aur behnon se guzarish hai k aaj hi social sites per maujood aisa tamam stuff remove ker dein jo Allah ki nafermani aur aap k gunahon mai izafay ka sabab banay .
Allah hum sab ko apni rehmat mai rakhay..

وما علينا الا البلاغ

No comments: