Sunday, February 13, 2005

Ishfaq Hussain ki kitab "Gentleman Allah Allah" se aik iqtibaas

Aik dafa Haroon-ur-Rasheed ser-e-shaam dajla ki ser ko nikla-Malka zubaida bhi hamra thi.Derya k kinaray aik majzoob ko dekha k matti k gharonday bana raha hai-Haroon-ur-Rasheed ne poocha ,"ye kia hai?"bola "Jannat k gharonday hain- kharido gay?"Haroon-ur-Rasheed hans diya aur guzer gaya.Malka Zubaid ki palki majzoob k qareeb se guzri to poocha "ye kia hain?"-bola" jannat k gharonday hain .kharido gi?""Basad-e-shoq"malka ne ishtiaq zahir kia"Kitnay logi"sawal huwa."Jitnay hain sabhi de do"Malka ne aik qeemti moti majzoob k hawalay ker diya.Raat ko haroon-ur-Rasheed ne khawab dekh k aik bohat bara aabdaar moti hai itna bara k us mai aik bawaqar mahal bana huwa hai.is ke peshani per likha hai"Qasr-e-zubaida".Haroon-ur-Rasheed is mai dakhil hona chahta hai to darusht ro derba us ki rah rok letay hain k Zubaida k mahal mai Ajnabi dakhil nahi ho saktay.Aankh khulti hai to Haroon-ur-Rasheed ko aik hi fikr k wo jo soda kal na ho saka aaj ho jaey.Sham huwi. Ser ko nilkla.Majzoob derya kinaray maujood tha.Gharonday bana raha tha.Poocha"ye kia hain"?bola"rait ke gharonday""Aur wo jannat k gharonday kia huwe"?Haroon ne poocha
"Mian wo ghaib ka soda tha-mushahiday ke baad to shoq shoq nahi rehta.Lalach kehlaey ga"

No comments: