Hazrat Abu Huraira R.A se merwi hai ke Rasool Allah S.a.w ne fermaya ke
Allah azawajal ne irshad fermaya,jis ne meray wali se dushmani ki,mera us ke saath ailan-e-jang hai.Mera banda meray qareeb nahi ata siwaye aisee cheez ke saath jo mujhey sab se ziada mehboob ho bajuz us ke jo mai ne us per ferz kia,mera banda lagataar nawafil ke zariya meray qareeb ata hai,yahan tak ke mai ussay pasand kerta hoon aur jab mai ussay pasand ker leta hoon to us ka kaan ban jata hoon, jis se wo sunta hai us ka haath ban jata hoon, jis se wo pakarta hai.aur us ka paon ban jata hoon, jis se wo chalta hai.Agar wo mujh se mangay to ma lazman usay deta hoon,agar wo mujh se panah talab keray to yaqeenan mai panah deta hoon,mai agar koi kaam kernay per aa jaoon to kisi cheez se taradud(hesitate) nahi kerta,bajuz meray us taradud ke jo jo mujhey apnay is banday ki jaan lenay k waqt hota hai,jo maut ko na pasand kerta hai aur mai us ka dil dukhana pasand nahi kerta
(muttafiq Alaih)
No comments:
Post a Comment