Saturday, February 12, 2005

Allah ko kaisay paaein?

chalte chalte unhon ne dheemi awaz mai kaha
"Bilal! tum Allah ko kis kis terah jantay ho?"
"Mera dil Allah ki shahadat deta hai"
Wo meray jawab se mutmain nahi huwe .Chand qadam aur chalay to mai ne mazeed kaha:
"Mai Allah ko janta hoon magar phir bhi nahi jaanta,kia talash se Allah mil sakta hai?"
Wo khamosh qadam berhatay rahey.Mai zara un se peechay tha shayed unhon ne mera sawal suna nahi tha.Phir wo rukay Aur apnay saaray jism ke saath nihayet dilkash andaz mai murtay huwe,bohat apnaiyat aur taluq ke lehjay mai mujh se mukhatib huwe:
"Haan Bilal-talash se-uski ibadat se uski hamd-o-tasneef kernay aur us ke bandon ke saath hamdardi kernay se Allah apnay banday ke qareeb ho jata hai.Lakin hamesha yaad rakhna!
banda Allah ko nahi pata -Allah khud banday ko talash kerta hai.Iman banday ki apni sift nahi,Allah ka atia hai."
"derd ki yaad nahi hoti -derd jab hota hai tab hota hai us ke baad nahi"
(Saleem Gillani ki kitab Bilal se iqtibas)

No comments: