Saturday, September 03, 2022

Aaj ka moashra aur berhati huwi be rah rawi

Ye poori kainaat Allah ki takhleeq ki huwi hai..wo  tamam jahanon ka rubb hai badshah hai.. Sab jagah usi ka faisla usi ka qanoon chalta hai... Aise hi ye zameen bhi Allah ne hi banai hai aur is mai apnay qanoon aur ahkamat ki tableegh k liye Allah ne mukhtalif adwar mai mukhtalif peghambar bhaijay.. Jinhon ne Allah ka qanoon hum tak pohnchaya.. Aur sab se akhir mai Huzoor s.a.w k zariye Quran aya jis ne baqi adyaan ki shariat aur qawaneen ko saqat ker diya..
Allah ka qanoon  hai kia?
Qanoon asal mai ijtamai mafad per mushtamil aise asoolon ka naam hai jo moashray ko munzabit kerne mai madadgaar hotay hain.. In se ek aam admi ka tahhafuz aur sakoon bhi berhata hai aur aur jaraim ki sharah bhi kam hoti hai... 
Allah ne apnay qawaneen kitab aur sunnat ki shakal mai hum tak pohanchaye ye aise qawaneen hain jo ikai se khandaan, khandan se moashray aur phir moashray se millat aur aqwam ki sehat mand  tashkeel. K liye zaroori hain... Allah ne qanoon bata diye aur sath hi ye bhi bata diya k jo log in qawaneen per amal nahi kertay wohi zaalim hain... Aur zalimon ka koi madadgaar nahi hota.. 
Dekha gaya hai k Allah ka qanoon jab jab bhi tootta hai sab se ziada insan khud takleef mai ata hai.. 
-----------------------------------------------------------------
Ab atay hain aj k mozoo per
Aj kal moashray mai berhati huwi be rah rawi 
Allah pak ne  Quran e pak mai merd o khawateen dono ko nazrein jhukanay ka aur khawateen ko perda kernay ka hukam diya hai  ek hadith k mutabiq tanhai mai milnay aur ghair zaroori guftagoo kernay se mana kia hai.. Apna lehja sakht rakhnay ka kaha hai..merdon ko  4 shadion ki ijazat di magar be rahrawi ki ijzat unko bhi nahi di.. Sirf Allah ka ek qanoon toota.. Aur pooray moashray ki bunyaad hi hil gai..  shohar aur bv ka rishta Allah ne is liye banaya tha k wo dono  mohabbat pyar aur begharzi se ek aise ghar ki bunyaad rakhein jahan Bachon ki terbiyat se un ko aisa insaan banaya  ja sakay jo moashray aur deen dono k liye kaar amad ban sakay.. . Magar afsos k aisa na ho saka be perdagi se be rah rawi aisi phaili k shohar ka dil bv se hat gaya aur bv ka dil shohar se.. Baqi kaser mobile k be ja istimal  aur media ne poori ker di.... Kirdaar ki pukhtagi khatam ho gai.. Aur nateejay mai ek aisa moashra  wujjood mai aya Jahan berdasht, tawazan, akhuwat, mohabbat, hamderdi aur begharzi jaise ansar na paid hain.. Her shakhs bas lena chahta hai... Dena koi nahi chahta.. Na mohabbat, na pyar na izzat aur na hi paisa..ye nuqasan to moashray ko pohancha magar Sab se berh ker in behayaee k rishton ne insan ki zaat ko pohanchaya insan ka apna zehni sakoon khatam ker diya.. Her koi depression ka shikar hai. Waqt be waqt khatam honay walay rishtay jin se ap ne thori deir gunnah ki lazzat uthai.. Allah ko naraz kia.. Aur jis k liye rub ko naraz kia tha wo rishta hi na raha.. Aur badlay mai Allah  ne ap se halal ki chashni cheen li.. . Ap ne rishtay ka  maqsad kho diya aur khawahish ko khuda bana liya..nateejay mai ghar tootnay shuroo ho gaye.. Shadi k baad jab fascination khatam ho gai aur ek doosray k liye kuch kernay ka waqt aya to koi bhi doosray k liye kuch kernay ko tayyar nahi huwa.. Kyun k denay ki adat hi nahi thi.. Nateejay mai larai jaghray aur fasad shurro ho gaye.. Aur moashra tabah ho gaya... Allah.... 
Gharz k kia kia likhoon dil afosos se bhar jata hai.... Allah k liye Allah ka qanoon apnayein.. Allah ne aurat aur merd ko pasand kernay k standards bataye hain.. Un ko apnayein.. Allah ne shadi se pehley ikhlaq kirdar aur deen dekhnay ka kaha hai.. Takay faisla hi theek bunyaad per ho.. Jab ek baar shadi ho jati hai to us k baad doosray banday ko tabdeel kerna mushkil nahi namumkin hota hai.. Agar ghalat faisla ker liya to phir saari zindagi pachtaway k ilawa kuch hath nahi aye ga... Allah se dua hai k humari islah ker de.. Aur humein apnay qanoon k mutabiq apni raza k faislay kernay ki taufeeq de... Aameen... 








No comments: