Wednesday, December 08, 2021

Deen ki terteeb aur humara feham

Deen-e-islam ko samajhnay k liye kuch baton ka samajhna aur un ki gehrai mai jana bohat zaroori hai..Deen asal mai hai kia aur kisi bhi deen ka maqsad aur us k insani zindagi per kia asraat hotay hain?

Deen naam hai aise Majmooay ka jo insan k Akhlaqi,Moashi ,Moasharti,Siyasi aur mazhabi pehlo'oon ka mukammal ehata kerta hai..aur deen ka bunyadi maqsad ek behtreen moashray ki tashkeel ..kainat k khaliq aur is k asrar se aagahi aur tazkia nafs raha hai...

Dunniya mai bohat se mazahib guzray ...kuch ilhami thay aur kuch insanon k banaye huwe...magar islam jaisa nizam koi mazhab nahi la saka...

Her ilhami mazhab ka ek hi tarika raha hai k mukhtalif adwar mai Allah ne insanon ki hidayat k liye peghambar bhaijay..jo waqtan wafaqtan kitabon ya sahifon k zariye Allah ka pegham pohanchatay rahay.. un mai kai sahifon ka to naam o nishan hi mit gaya aur kuch abhi baqi hain magar apni asal shakal mai maujood nahi..Sirf Quran hi wo wahid kitab hai jo aj bhi apni asal shakal mai moujood hai...na sirf moujood hai balkay lakhon logon k dilon mai Allah ne is ko mehfooz ker rakha hai..is k baad deen ko samajhnay k liye hadees k baray baray zakhair maoujood hain...laikin hum ne in ki terteeb kaise lagani hai ye samajhnay ki zaroorat hai..

Sab se pehley ye samjhnay ki zaroorat hai k Quran Allah ki kitab hai...Allah kaun hai?jis ne insan ko peda kia ye kainat zameen aur aasman banaye aur in k dermayan jo kuch bhi usi ka peda kerda hai...tamam cheezon ka hatmi ilm usi k paas hai..aur koi bhi cheez us k ilm ka ihata nahi ker sakti..jab tak aap Allah ki azmat ko na pehchan lein tab tak ap ko quran ki azmat samajh nahi aye gi.. to aisi kitab jo Allah ne nazil ki hai us ka ilm sab se pehley hai..Yani jab humein koi hukam Quran se mil jata hai to us k baad hum kisi aur ki baat nahi letay..aur koi bhi baat jo Allah ki baat se takraye gi hum us ko radd ker dein gay..us k baad hadees ati hai...hadees ka bunyadi maqsad kia hai..?

Hadees ka maqsad Allah k deen k tareeqay ko samjhana hai aur wo rasta ikhtiyar kerna hai jo Allah ne nabi ki seerat k zariye se humein samjhaya hai aur Allah ki mohabbat ko pana hai ..

jaisa k Allah tala Quran e pak mai fermatay hain

"aay nabi keh dijye agar tum Allah se mohabbat kertay ho to meri perwi kero..Allah tum se mohabbat kerey ga aur tumharay gunah baksh dey ga..Aur Allah bakshnay wala maherban hai"

(Aal e imran:30)

"Beshak Tumharay liye Rasool Allah S.A.W k aswah mai behtreen namoona hai..jissy Allah se milnay ki Aur qayamat anay ki umeed ho ussay chahiye k wo Allah ko kasrat se yaad kere"

(Surah Ahzab :20)

yani ata'at  e rasool s.a.w ka maqsad  bhi Allah ki mohabbat ka hasool hai..yahi Allah ki rassi hai jis ko mazbooti se thamnay ka hukam hai kyun k is ko thamnay se saray firqay khatam ho jatay hain..is k baad sahaba k aqwal atay hain..ab ye baat yaad rahay k mukhtalif sahab se mukhtalif tafaseer milti hain...aur ye baat sabit hai k sahaba ne kitni baar apni zindahi mai apnay aqwal se rajoo kia..to hum per bhi lazim hai k hum deen ki terteeb ko samjhein k pehley quran hai ,phir hadees hai ,phir sahaba k aqwal hain terteeb mai bigad ki wajah se pooray faham ki terteeb ulti ho sakti hai....

Ab humaray haan kuch garoh  hain...kuch log to aise hain jo wahan bhi aqal istimal kertay hain jahan Allah ne sirf iman lanay ka hukam diya hai..yani ghaib k ooper..

Allah tala fermatay hain

"Pak hai wo zaat jo ek raat mai apnay banday ko masjid ul haram se masjid e aqsa tak le gai k berkat di hai jis k ird gird hum ne..takay hum ussay apni qudrat ki nishaniyan dikhayein..beshak wo sunanay wala aur dekhnay wala hai"

(Surah Isra:1)

Ab waqia Mairaj pooray ka poora mojza hai...aur insani aqal aur asbab se bala ter hai..ye ghaib per iman lanay ka imtihan hai..k Allah  her terah ki qudrat rakhta hai aur jis terah se chahay jo chahay ker sakta hai.....isi terah hazrat adam A.s k zameen per ana,hazrat ibrahim A.s ka parindon ko zinda kerna,Hazrat Ibrahim A.S ka aag se bach jana,Hazrat khizar A.s ka qissa gharz aur bhi bohat se qissay hain jin ka insani aqal ihata nahi ker sakti ..ab ye sochna k allah ne sab kaise kia  aur iski aqli taujeehat nikalna iman k khatray se khali nahi..in sab per  per bas iman hi le ker ana hai..aur ye yaqeen rakhna hai k Allah tala ki baat hi sach aur berhaq hai...

doosray wo hain jo andhi taqleed kertay hain aur wahan bhi aqal se kaam nahi letay jahan aqal se kaam lena chahiye...jaise Allah ne pichli  Qaumon ki misalein de de ker samjhaya k humein kia kaam kernay hain aur kia nahi..aur wo qaumein jin ki berbadi ka ziker Quran mai hai un ki berbadi ki kia wajoohat thin ..aur humein un se kaise bachna hai....aur ye k Allah ki wahdaniyat ko kaise pehchanana hai..magar ye in bunyadi baton mai bhi aqal k istimal ko pasand nahi kertay...natejatan qabar parasti ,aulia parasti aur peer parasti ka shikar ban jatay hain..

To phir islam ki raah kia hai?...islam asal mai  Allah  ki pehchan/marfat per zor deta hai us per dekhay beghair iman lanay aur us ki ata'at ka naam hai..Allah per iman lana hai ....zameen aur aasman ki nishaniyoun k zariye,un k beech makhooqat ki pedasih k zariye ,sooraj aur chand ki pedaish k zariye..din aur raat k anay janay k zariye..zameen aur aasman ki takhleeq k zariye..aur us ki ata'at kerni hai Quran k ahkamat k zariye aur rasool s.a.w k tarikay k zariye... Allah se dua hai k wo humein apni sahi pechan ,mohabbat aur ata'at ata ker de..aur humein wo deen sikhaye jo usko pasand hai ..Aameen 

Wama Alaina illal balagh

 

                                                                                                                                                                                                                                                                                           







No comments: