Wo dhoopon mai tapti zameenon pe sajday
Safar mai wo ghoron ki zeenon pe sajday
Chatanon ki oonchi jabeenon pe sajday
Wo sehra, bayaban k seenon pe sajday
Alalat mai sajday, museebat mai sajday
Wo faqon mai,Hajat mai,Ghurbat mai sajday
Wo jang-o-jadal mai,harasat mai sajday
Laga teer ,zakhmon ki halat mai sajday
Wo gharon ki wehshat mai pur noor sajday
Wo khanjar k saaye mai masroor sajday
Wo raton ko khalwat se mamoor sajday
Wo lambi rakaton se mashoor sajday
Wo sajday,mohafiz madadgaar sajday
Ghamon k muqabil atar daar sajday
Najat aur bakhshih k salar sajday
Jhuka ser to bantay thay talwar sajday
Wo sajdon k shoqeen ghazi kahan hain?
Zameen poochti hai namazi kahan hain?
Humaray bujhay dil se bezar sajday
Khyalon mai uljhay huwe char sajday
Musallay hain resham k,beemar sajday
Chamakti deewaron mai laachar sajday
Riyakaar sajday,Nadaar sajday
Bay noor,Bay zauq ,murdaar sajday
Jharok-e- sitam se hain sangsaar sajday
Dilon ki nahoosat se masmar sajday
Hain mafroor sajday,hain maghroor sajday
Hain kamzor bejaan, mazoor sajday
Gunahon ki chakki mai hain choor sajday
Ghaseetay ghulamon se majboor sajday
K sajdon mai ser hain ,bhataktay hain sajday
Sara ser saron pe lataktay hain sajday
Nigah-e- Khuzoo mai Khataktay hain sajday
Duaon se daman jhataktay hain sajday
Wo sajdon k shauqeen ghazi kahan hain?
Zameen poochti hai namazi kahan hain?
Chalo aao kertay hain tauba k sajday
Bohat tishnagi se tawajah k sajday
Masiha k agay madawa k sajday
Nadamat se ser kham shikasta se sajday
Raza walay sajday,wafa walay sajday
Amal ki teraf rehnuma walay sajday
Sarapa adab iltija walay sajday
Bohat aajzi se Haya walay sajday
Nigahon k derban, rodaar sajday
Wo chehray ki zohra chmakdaar sajday
Saraser badal dein jo kirdar sajday
k ban jayein jeenay k atwar sajday
Khuzu ki qaba mai yaqeen walay sajday
Lahad k makeen,hum nasheen walay sajday
Ho shafi e mehshar ,jabeeen walay sajday
Wo sajdon k shauqeen ghazi kahan hain?
Zameen poochti hai namazi kahan hain?
No comments:
Post a Comment