Friday, November 28, 2008

The relation between Husband & Wife

Marriage is more than a social contract or emotional relationship.its a begining of a family and society..If we have strong social and moral values in family environment then we can build a strong society as well.thats why when a person get married he has a bundle of reponsibilities..We devide these responsibilities between two persons..The husband and the wife Narrated 'Abdullah bin 'Umar: The Prophet said, "Everyone of you is a guardian and everyone of you is responsible (for his wards). A ruler is a guardian
and is responsible(for his subjects); a man is a guardian of his family and responsible (for them); a wife is a guardian of
her husband's house and she is responsible (for it), a slave is a guardian of his master's property and is responsible (for
that). Beware! All of you are guardians and are responsible (for your wards)." (Volume 7, Book 62, Number 116,sahi al bukhari)
A wife shuould take care of her children and the wealth of her husband and guard her modesty as well.
Narrated Abu Huraira:
Allah's Apostle said, "It is not lawful for a lady to fast (Nawafil) without the permission of her husband when he is at
home; and she should not allow anyone to enter his house except with his permission; and if she spends of his wealth (on
charitable purposes) without being ordered by him, he will get half of the reward."
(Volume 7, Book 62, Number 123, sahi al bukhari)
And a husband should be patient with his wife
Narrated Abu Hurairah:
The Prophet said, "Whoever believes in Allah and the Last Day should not hurt (trouble) his neighbor. And I advise you to
take care of the women, for they are created from a rib and the most crooked portion of the rib is its upper part; if you try
to straighten it, it will break, and if you leave it, it will remain crooked, so I urge you to take care of the women.
(Volume 7, Book 62, Number 114,sahi al bukhari)
Allah made a beautiful relation between husband and wife and this relation got spoiled when one or both of them didnot act
according to Allah's orders.How can we make this relationship peaceful and lovely?????
husband and wife should guard their modesty and the best way Quran tells us..
Say to the believing men that they should lower their gaze and guard their modesty: that will make for greater purity for
them: And God is well acquainted with all that they do.
And say to the believing women that they should lower their gaze and guard their modesty; that they should not display their
beauty and ornaments except what (must ordinarily) appear thereof; that they should draw their veils over their bosoms and
not display their beauty except to their husbands, their fathers, their husband's fathers, their sons, their husbands' sons,
their brothers or their brothers' sons, or their sisters' sons, or their women, or the slaves whom their right hands possess,
or male servants free of physical needs, or small children who have no sense of the shame of sex; and that they should not
strike their feet in order to draw attention to their hidden ornaments. And O ye Believers! turn ye all together towards God,
that ye may attain Bliss.
(024.030-031)
even keep your heart clean from sinful thoughts (like to see or think about a na mehram..or get pleasure from sinful
thoughts)
Narrated Ibn 'Abbas:
I have not seen a thing resembling 'lamam' (minor sins) than what Abu Huraira 'narrated from the Prophet who said "Allah has
written for Adam's son his share of adultery which he commits inevitably. The adultery of the eyes is the sight (to gaze at a
forbidden thing), the adultery of the tongue is the talk, and the inner self wishes and desires

are the adultery of heart and the private parts testify
all this or deny it."
(Volume 8, Book 74, Number 260,sahi al bukhari)
Try to ignore shortcomings of each other.....Admire good habbits of each other.....Try to be patient with each other......and
make dua that May Allah help us to make our relation better according o islamic teachings and keep us away from satan's
path..Ameen Thumma ameen

Saturday, November 22, 2008

Saqoot-e-Baghdad Tareekh k jharokon se

Abbasi hakoomat ka akhri fermanrawa Abu Ahmad Abdullah bin mustansar tha jo k apne laqab Musta'sam billah k naam se mash'hoor huwa.Agarchay ye tab'an naik fitrat tha magar tabiat ka kamzor raey ka kacha aur amoor-e-mumlookat se nawaqif aur bayraub tha.ilm-e-din aur mutala ka zauq kam rakhta tha.us k masahib aur hashia nasheen bhi adna derjay k jahil awam thay.Albatta us ka wazir Moeid-ud-din ibn-e-Alqami bara aqil aur ferzana tha.wo shia tha aur naik teenat na tha..Musta'sam ki na ahli k sabab wo us per hawi hota gaya..ibn-e-alqami Baghdad mai Alvi khilafat qaim kerna chahta tha is wajah se us ne shion k dil mai hakoomat k khilaf bughz lanay k liay kuch shion ka qatal kerwa diya.aur ilzam sunnion per dher diya shion ne apna badla sunnion se lia...aur youn kertay kertay mulk mai shia sunni ikhltalafat zor pakar gaye.Is khana jangi se hakoomat ka sara nizam bigar gaya aur Abbasi hakoomat ki amdani itni ghat gai k us ko apnay masarif pooray kenay mushkil ho gaye..Tab ibn-e-alqami ne Mustasam ko mashwara diya k ye jo itni bari fauj hakoomat paal rahi hai ye sirf hakoomat k ikhrajat berha rahi hai lehaza is ko kam kerna chahiye..Mustasam ne us k mashwaray per fauj ka ek bara hissa berkhawast ker diya..aur baqi fauj aur doosray ummal-e-hakoomat ki tankhawahon k masarif tajiron ahl-e-herfa aur kashtkaron per daal diye.is se shorish aur berh gai..doosri teraf shia ne sunion se ibn-e-alqami k bal per ziadti shuroo ker di.Mustasam ko ye baat nagawar guzri us ne apne beton ko bhaij ker kerkh ka mohalla jahan shia abad thay lutwa dia..is waqiay k baad ibn-e-alqami k dil mai alvi khilafat qaim kernay ka irada mazboot huwa..us ne baqi fauj Mustasam ko ye itminan dilwa ker hatwa di k is se jo rupiya bachay ga wo tatarion ki mudafiat k doosray intezamat mai kam aye ga.

Tareekh mai mukhtalif hawalay miltay hain k ibn-e-alqami ne kaisay Halakoo khan ko Baghdad per hamlay k liay Amadah kia.Lakin qareen-e-qayas yahi hai k aisa Naseer-ud-din Toosi ki badolat mumkin huwa jo k mashoor shia Alim,falsafi aur riyazi daan tha.Halakoo khan baghdad per haath dalnay se derta tha kyun k baghdad ko musalmanon ki deeni hakoomat ki hasiat hasil thi.un ko is se mazhabi aqeedat thi is per haath dalnay se duniya-e-islam k bigarnay ka andesha tha..saath saath is k mazhabi taqadus ki wajah se khud Halakoo derta tha k kahin koi museebat na nazil ho jaey..ibn-e-alqami ki khushqismati k Toosi ko Halakoo Khan k derbaar mai bara rasookh hasil tha.Halakoo us ki bohat izzat kerta tha aur us ki her baat manta tha.ibn-e-alqami ne us se khat-o-kitabat ki aur us ne Halakoo khan ko Baghdad per hamlay k liay amadah kia..665 hijri mai Halakoo ne Baghdad per fauj kashi ker di..fauj to pehley hi alag ho chuki thi baqi manda fauj k saath ameer-e-devdaar ne khoob muqabala kia.aur dushman fauj ko paspa ker diya.phir tatarion ne doosra zordaar hamla kia.Abbasi fauj is ki taab na la saki aur Baghdad ki teraf paspa ho gayee..usi waqt Dajla ka ek band toot gaya aur rastay mai pani hail ho gaya tatarion ne peecha ker k poori fauj teh-o-teigh ker di..tatarion ne Baghdad ka mohasara ker lia.Ibn-e-alqami ye keh ker Baghdad k tamam ulama,fuqaha,mudarasin-o-akabarin aur mustasam ko saath le gay k un ko kuch na kaha jaey ga.Halakoo Mustasam ko khilfat per berqarar rakhay ga aur apni larki ki shadi us k betay abu bakr se keray ga.ye sab ek saath qatal ker diye gaye..is k baad wehshi tatari Baghdad mai ghus gaye aur kai din tak qatl-e-aam kertay rahe aurton aur bachon ko bhi na chora..abadi khatam ker k baghdad ko 40 din tak loot'tay rahe. Abbasi kutab khanay ki tamam kutab jo sadion ka sermaya thin un ko Dajla ma dabo diya yahan tak k dajla ka pani siyah per gaya. maqtoolin ki tadad ka andaza 16 lakh tha..Ibn-e-alqmi ne tatrion ko Alvi hakoomat qaim kernay per amada kerna chaha per kamyaabi na huwi..aur us ko namak harami k silay mai siwaye zillat-o- ruswai k kuch haath na aya..chand hi dinon mai wo bhi mer gaya..aaaaaaah

Is ghar ko aag lag gayee ghar k chiragh se..

jo qaumein apni tareekh se sabaq hasil nahi kertin un ka anjam is se badter huwa kerta hai.

Saturday, August 23, 2008

Her roz meray mulk mai hotay hain dhamakay
Rehti hai meray des mai shabrat musalsal........

is funny sher k peechay chupa huwa derd shaid ap ko bhi utna hi mehsoos ho jitna k mujhe ho raha hai.....
2 din pehley wah factory k gate per khud kush hamla huwa...Pakistan mai rehnay walay taqreeban her khas-o-aam ko pata hai k wah mai aslahay ki sab se bari factory hai aur wah mai amooman wohi log rehtay hain jo is factory k workers hain...dhamaka chutti k waqt huwa jab log baher aa rahey thay 100/150 k qareeb begunah logon ki janein chali gain..aur jab television k taqreeban her channel se ye khabar nasher huwi k is dhamakay ki zimmaydari Mulla Omar ne qabool ki hai aur kaha hai ye waziristan mai honay walay hamlon ka reaction hai to yaqeen manein dukh mai 4 guna izafa ho gaya......
kitnay gharon k charagh bujh gaye...kitnay gharon k wahid kafeel is duniya se chalay gaye..kitni auratein bewa ho gain aur kitnay hi bachay yateem huwe
sochein to dukh se dil bhar jata hai....
magar is se bari baat ye hai k musalman kyun musalman ka gala kaatnay k der per hai...
Musharraf to aitedal pasanad roshan khayal shakhs tha...us ne waziristan mai jo kuch kerwaya us k nateejay mai sirf waziristan mai hi lashein nahi girin pakistani fauji bhi maray gaye....
Jab k Mulla omar ko to mai deendaar samajhti thi kia usko bhi begunah musalman bhayoun ka khoon bahatay hue laaj na aai??????????
Humaray kitnay fauji bhayoun ne waziristan janay se inkaar kia un k courtmartials huwe...kitnay resign ker k ghar baith gaye k wo apne bhayoun k khilaf hathiar uthna nahi chahatya thay..aur sab se berh ker pakistan ki awam jo musharraf k is faisalay ko ghalat manti rahi...to aakhir saza us k hissay mai kyun aye jis ne jurm kia hi nahi??????????????????
Zara sochein aur mujhe bhi bataen k kia musalam jin k naam se dunniya kanpti rahi ek arsa jo poori dunniya per hakoomat kertay rahe un ki fauji quwatein aur wasail kia sirf is liay reh gaye hain k wo apne hi bhayoun ka gala kaatein aur dunniya mai her jagah un k bhayoun per zulm hota raha hai aur wo un ki madad ko na pohanchein

aay khasa-e- khasan-e-rusul waqt-e- dua hai
ummat pe teri aa k ajab waqt para hai..........
jo deen bari shan se nikla tha watan se..........
perdes mai wo aaj ghareeb-ul-ghurba hai......

Monday, July 28, 2008

Saniha -e-Lal masjid aur Pakistani qaum

Bohat si baatein likhna chahti hoon per likhatay likhtay ruk jati hoon sochti hoon shaid meray qalam mai itni ta'seer nahi k mai likhoon aur logon k dil hila doon.....magar phir ye khayal ata hai k shaid mai us chirya (sparrow) jitna hissa to daal hi sakti hoon jo hazrat Ibrahim A.S. ko aag mai dalay janay per apni chonch mai pani bhar ker lati aur aag per dalti jati thi..kisi ne us se poocha bhala tumhari in boondon se aag bujh jaey gi to wo boli yaqeenan mai janti hoon k aisa nahi ho ga per qayamat k roz aag bujhanay walon mai mera naam to ho ga....to shaid na honay se kuch hona behter hai...Saniha Lal masjid ko Aik saal se ziada ka arsa beet gaya..per aaj bhi jab us k mutaliq perho,suno ya socho to dil kaanp sa uthta hai...ye khayal zehan mai ata hai k kia mai bhi un muslims mai shamil ho gai hoon jo ghar baithay baithay ye kehtay hai k jo huwa acha nahi huwa bohat bura huwa....bas isi se un ka ferz ada ho jata hai un k khanay,peenay,sonay jaagnay,mauj,masti mai koi ferq nahi ata...kia islam ki asal rooh ko mananay walay musalman hi nahi rahay.....shaid iqbal ne hum jaison k liay hi kaha hai...

Shor hai ho gaye dunniya se musalman nabood
Hum ye kehtay hain k thay bhi kahin muslim maujood
Waz'aa mai tum ho nasara to tamadan mai hanood
Ye musalman hain jinhein dekh ker shermain yahood
Youn to syed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho

kabhi wo waqt tha k deebal shehar se lutnay walay qaflay ki ek beti ki awaz per hujjaj bin yousaf ne apni foujein deebal per cherha deen thin aur ab ye waqt hai k aik musalman mulk mai muslamanon hi k hathon se beqasoor behnein aur betian mari gayeen aur poora mulk afsos k ilwa aur kuch nahi ker raha..un ka qasoor kia tha k wo sirf islam ka naffaz chahtay thay....apne mulk se behayai khatam ker k islam ka qanoon lana chahtay thay us qaflay k lutnay ka gham kam tha kyun k wo qafla kuffar k hathon luta tha magar is sanihay ka gham bohat shadeed hai kyun k is k kerta dharta humray hi muslim bhai hain jin k hathon per hazaron begunahon ka khoon chamak raha hai....

Dekha jo teer kha k kameen gah ki teraf
Apne hi doston se mulaqat ho gayee

a muslim bhaiyo ehtajaj kero cheekho chillao shaid k in masoom logon k qatil apne anjam ko pohanchein..........

Saturday, June 28, 2008

Farz,Haq aur Mohabbat (Khuda ke liye)

Deen-e-Islam ko mananay walay to bohat hain magar afsos k saath kehna perta hai k is ki rooh ko samajhnay walay bohat hi kam balkay na honay k braber hain....Islam hai kia?......well ye ek aisa question hai jis ka jawab 90% muslims ko maloom nahi...

Islam ko Allah ne deen-e-kamil kaha aur kyun kaha ye hum dekhtay hain..islam se pehle bhi aur baad mai bhi kayee mazahib aye. kuch ilhami thay aur kuch logon k apne banaye huwe..

magar koi bhi mazhab insani zindagi ka is terah ehata nahi kerta jaisa k deen-e-islam..

ab aap sochein gay k wo kaise...to wo aise k islam na sirf insan k mazhabi pehloo ka ehata kerta balkay us k siyasi,samaji,moasherti,moashi aur ikhlaqi pehloo ko bhi grift mai lata hai...

Islam sirf namaz,roza,zakat aur hajj per mushtamil nahi aur na hi islam mai gunah sirf chori,zina juwa aur sharab noshi hai ye to islam k mukhtalif pehloo hain.

Jab ek shakhs musalman hota hai to wo sab se pehle is baat ka iqrar kerta hai k Allah ek hai us k siwa koi mabood nahi aur hazrat Mohammad S.A.W Allah k rasool hain......Allah ek hai ka matlab hai Allah jaisa koi nahi na zaat mai na siffaat mai..kisi k paas us jaisi taqat nahi..hamara mushkil kusha wohi hai humara data wohi hai..sirf wohi hai jo dil ka bhaid bhi jaanta hai kisi aur se sawal kerna rawa nahi chahay wo Allah ka peghamber kyun na ho...Allah k rasoolon ki ata'at bhi wahan tak hai jahan tak Allah ka hukam hai...

Mujhe movie khuda ke liye dekhne ka ittefaq huwa...yaqeen maniye k us k kuch hissay dekh ker meri rooh kaanp uthi aur afsos bhi huwa agar to ye film kisi non-muslim ne banayee hoti to shaid itna afsos na hota magar afsos ki baat ye thi k ye movie na sirf ek muslim balkay ek pakistani ne banayee thi

is k controversial parts per ulma-e-karam ne fatway bhi diye....
http://uk.youtube.com/watch?v=xNH1rFLly1E

mai koi alim nahi is liay mai koi fatwa denay nahi aai bas itna kehna chahti hoon...k Allah ne kuch cheezein hum per ferz ki hain ferz ka matlab hai k humein her haal mai un ko ada kerna hai un ki adaigi mai kisi kisam ki kotahi nahi honi chahiye
faraiz ada kernay se koi naik ya bad nahi ho jata...jaise ek shakhs namaz perhata hai...ab us ko qabool kerna ya na kerna Allah k haath hai wo namaz ada ker k naik nahi ho jata....isi terah roza,zakat,hajj bhi hain.... ye sab faraiz hain....
ab jahan tak chori,sharab,jhoot,juwa,maan baap ki nafermani aur zina ka taluq hai islam mai in ko gunnah tassawur kia jata hai....laikin in saari cheezon se to koi non-muslim bhi door ho sakta hai......phir ye kehna k mai ye ye kaam nahi kerta lehaza mai acha musalman hoon kia darust hai?

phir naiki kia hai?
naiki TAQWA hai...khof-e-khuda hai khud Allah ne quran mai naik banday ki ye tareef ferma di..

"aay insano haqiqat ye hai k hum ne tum ko ek merd aur aurat se peda kia.phir hum ne tum k qaumein aur qabeelay bana diya takay tum ek dossray se pehchanay jao.beshak Allah ki nazer mai ziada izzat wala wo hai jo ziada muttaqi hai beshak Allah her baat jananay wala aur poori terah se bakhabar hai."
(sorah Alhujarat ayat 13)
Hum Allah k banday hain humara khuda per sirf ye haq hai k hum uski ata'at kerein uski ibadat kerein jaisa k Allah ne fermaya

Aur nahi peda kia hum ne jinon aur insanon ko siwaye apni ibadat k liye.
(az zariyaat)

Phir kia hum apni takhleeq ka maqsad poora ker rahe hain...apni salahiaton ka ghalat istimal jo sirf khuda ki naemat hai kia jaiz hai?
Khuda k liay islam ki rooh ko samjho ...apni soch apnay khayal ki ru se islam ki masakh shuda tasveer dena kia kisi musalman ko zeba hai?

dunniya mai achay buray her terah k log hotay hain...jo islam ki rooh ko nahi samjahtya aisay ulma bhi hain aur jo islam ki haqiqi ki rooh ko pehchan ker us per amal pera hain aisay alim bhi hain to kyun is movie mai sirf ek makhsoos molvi tabqay ko pesh kia gaya???????
apna ferz aur haq pehchaniye...khuda se mohabbat ka haq ada kero.......
Aur khuda k liye khuda k naam per islam se ye mazaq band kero....

Saturday, June 14, 2008

Band dareechay, sooni galyaan un-dekhey anjaney log
Kis nagri mein aa nikley hein sajid ham deewaney log

Aik hamhi na waqif thehrey roop nagar ki galyon say
Bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log

Din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob
Aap ki baat ka kehna hi kya, aap huay farzaney log

Shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad to ho
Tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log

Shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
Aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log

Suna hai usske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
Un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log

(Aitebar Sajid)