Saturday, November 22, 2008

Saqoot-e-Baghdad Tareekh k jharokon se

Abbasi hakoomat ka akhri fermanrawa Abu Ahmad Abdullah bin mustansar tha jo k apne laqab Musta'sam billah k naam se mash'hoor huwa.Agarchay ye tab'an naik fitrat tha magar tabiat ka kamzor raey ka kacha aur amoor-e-mumlookat se nawaqif aur bayraub tha.ilm-e-din aur mutala ka zauq kam rakhta tha.us k masahib aur hashia nasheen bhi adna derjay k jahil awam thay.Albatta us ka wazir Moeid-ud-din ibn-e-Alqami bara aqil aur ferzana tha.wo shia tha aur naik teenat na tha..Musta'sam ki na ahli k sabab wo us per hawi hota gaya..ibn-e-alqami Baghdad mai Alvi khilafat qaim kerna chahta tha is wajah se us ne shion k dil mai hakoomat k khilaf bughz lanay k liay kuch shion ka qatal kerwa diya.aur ilzam sunnion per dher diya shion ne apna badla sunnion se lia...aur youn kertay kertay mulk mai shia sunni ikhltalafat zor pakar gaye.Is khana jangi se hakoomat ka sara nizam bigar gaya aur Abbasi hakoomat ki amdani itni ghat gai k us ko apnay masarif pooray kenay mushkil ho gaye..Tab ibn-e-alqami ne Mustasam ko mashwara diya k ye jo itni bari fauj hakoomat paal rahi hai ye sirf hakoomat k ikhrajat berha rahi hai lehaza is ko kam kerna chahiye..Mustasam ne us k mashwaray per fauj ka ek bara hissa berkhawast ker diya..aur baqi fauj aur doosray ummal-e-hakoomat ki tankhawahon k masarif tajiron ahl-e-herfa aur kashtkaron per daal diye.is se shorish aur berh gai..doosri teraf shia ne sunion se ibn-e-alqami k bal per ziadti shuroo ker di.Mustasam ko ye baat nagawar guzri us ne apne beton ko bhaij ker kerkh ka mohalla jahan shia abad thay lutwa dia..is waqiay k baad ibn-e-alqami k dil mai alvi khilafat qaim kernay ka irada mazboot huwa..us ne baqi fauj Mustasam ko ye itminan dilwa ker hatwa di k is se jo rupiya bachay ga wo tatarion ki mudafiat k doosray intezamat mai kam aye ga.

Tareekh mai mukhtalif hawalay miltay hain k ibn-e-alqami ne kaisay Halakoo khan ko Baghdad per hamlay k liay Amadah kia.Lakin qareen-e-qayas yahi hai k aisa Naseer-ud-din Toosi ki badolat mumkin huwa jo k mashoor shia Alim,falsafi aur riyazi daan tha.Halakoo khan baghdad per haath dalnay se derta tha kyun k baghdad ko musalmanon ki deeni hakoomat ki hasiat hasil thi.un ko is se mazhabi aqeedat thi is per haath dalnay se duniya-e-islam k bigarnay ka andesha tha..saath saath is k mazhabi taqadus ki wajah se khud Halakoo derta tha k kahin koi museebat na nazil ho jaey..ibn-e-alqami ki khushqismati k Toosi ko Halakoo Khan k derbaar mai bara rasookh hasil tha.Halakoo us ki bohat izzat kerta tha aur us ki her baat manta tha.ibn-e-alqami ne us se khat-o-kitabat ki aur us ne Halakoo khan ko Baghdad per hamlay k liay amadah kia..665 hijri mai Halakoo ne Baghdad per fauj kashi ker di..fauj to pehley hi alag ho chuki thi baqi manda fauj k saath ameer-e-devdaar ne khoob muqabala kia.aur dushman fauj ko paspa ker diya.phir tatarion ne doosra zordaar hamla kia.Abbasi fauj is ki taab na la saki aur Baghdad ki teraf paspa ho gayee..usi waqt Dajla ka ek band toot gaya aur rastay mai pani hail ho gaya tatarion ne peecha ker k poori fauj teh-o-teigh ker di..tatarion ne Baghdad ka mohasara ker lia.Ibn-e-alqami ye keh ker Baghdad k tamam ulama,fuqaha,mudarasin-o-akabarin aur mustasam ko saath le gay k un ko kuch na kaha jaey ga.Halakoo Mustasam ko khilfat per berqarar rakhay ga aur apni larki ki shadi us k betay abu bakr se keray ga.ye sab ek saath qatal ker diye gaye..is k baad wehshi tatari Baghdad mai ghus gaye aur kai din tak qatl-e-aam kertay rahe aurton aur bachon ko bhi na chora..abadi khatam ker k baghdad ko 40 din tak loot'tay rahe. Abbasi kutab khanay ki tamam kutab jo sadion ka sermaya thin un ko Dajla ma dabo diya yahan tak k dajla ka pani siyah per gaya. maqtoolin ki tadad ka andaza 16 lakh tha..Ibn-e-alqmi ne tatrion ko Alvi hakoomat qaim kernay per amada kerna chaha per kamyaabi na huwi..aur us ko namak harami k silay mai siwaye zillat-o- ruswai k kuch haath na aya..chand hi dinon mai wo bhi mer gaya..aaaaaaah

Is ghar ko aag lag gayee ghar k chiragh se..

jo qaumein apni tareekh se sabaq hasil nahi kertin un ka anjam is se badter huwa kerta hai.

No comments: