Saturday, August 23, 2008

Her roz meray mulk mai hotay hain dhamakay
Rehti hai meray des mai shabrat musalsal........

is funny sher k peechay chupa huwa derd shaid ap ko bhi utna hi mehsoos ho jitna k mujhe ho raha hai.....
2 din pehley wah factory k gate per khud kush hamla huwa...Pakistan mai rehnay walay taqreeban her khas-o-aam ko pata hai k wah mai aslahay ki sab se bari factory hai aur wah mai amooman wohi log rehtay hain jo is factory k workers hain...dhamaka chutti k waqt huwa jab log baher aa rahey thay 100/150 k qareeb begunah logon ki janein chali gain..aur jab television k taqreeban her channel se ye khabar nasher huwi k is dhamakay ki zimmaydari Mulla Omar ne qabool ki hai aur kaha hai ye waziristan mai honay walay hamlon ka reaction hai to yaqeen manein dukh mai 4 guna izafa ho gaya......
kitnay gharon k charagh bujh gaye...kitnay gharon k wahid kafeel is duniya se chalay gaye..kitni auratein bewa ho gain aur kitnay hi bachay yateem huwe
sochein to dukh se dil bhar jata hai....
magar is se bari baat ye hai k musalman kyun musalman ka gala kaatnay k der per hai...
Musharraf to aitedal pasanad roshan khayal shakhs tha...us ne waziristan mai jo kuch kerwaya us k nateejay mai sirf waziristan mai hi lashein nahi girin pakistani fauji bhi maray gaye....
Jab k Mulla omar ko to mai deendaar samajhti thi kia usko bhi begunah musalman bhayoun ka khoon bahatay hue laaj na aai??????????
Humaray kitnay fauji bhayoun ne waziristan janay se inkaar kia un k courtmartials huwe...kitnay resign ker k ghar baith gaye k wo apne bhayoun k khilaf hathiar uthna nahi chahatya thay..aur sab se berh ker pakistan ki awam jo musharraf k is faisalay ko ghalat manti rahi...to aakhir saza us k hissay mai kyun aye jis ne jurm kia hi nahi??????????????????
Zara sochein aur mujhe bhi bataen k kia musalam jin k naam se dunniya kanpti rahi ek arsa jo poori dunniya per hakoomat kertay rahe un ki fauji quwatein aur wasail kia sirf is liay reh gaye hain k wo apne hi bhayoun ka gala kaatein aur dunniya mai her jagah un k bhayoun per zulm hota raha hai aur wo un ki madad ko na pohanchein

aay khasa-e- khasan-e-rusul waqt-e- dua hai
ummat pe teri aa k ajab waqt para hai..........
jo deen bari shan se nikla tha watan se..........
perdes mai wo aaj ghareeb-ul-ghurba hai......

4 comments:

Anonymous said...

Well said and well written. I really liked your post and its soul driven. I live in London. I want your approval to recompile and translate your articles in English and Print them as a LEAFLET to distribute in MOSQUES with your name on it. If you give approval I can proceed. Please get reply to my email ASAP. Its mansoorwaqar@hotmail.com.

Jazakallah Khair.

fairy said...

thank u mansoor...agar ap ne mere derd ko mehsoos kia to samajhiye k mere likhnay ka maqsad poora ho gaya...ap is ko translate ker saktay hain...naam se ziada pegham ki ahmiat hai..agar mera pegham pohanch gaya to naam se koi ferq nahi perta...
jazakallah hu khaira

Tinkering Master said...

Kya aapko aisa nahin lagta ki mussalmanon mein mamla suljhane ka art khatam hota ja raha hae? Har cheez ka ek hi jawab--dhamaka.

Yeh sirf Mullah Omar ya Musharraf sahab ki baat nahin hae. In general aaj ke mussalman sirf ek hi method jaante haen conflict resolution ka--dhamaka.

Huzur Akram(s.a.w) ke zamane mein aisa nahin tha. Yaad kariye jab makka mein 4 qabilon mein yeh jhagda ho gaya ki makka mein patthar kaun rakhega. Uska Huzur e paak(s.a.w) ne kaisa hal nikala tha, ke ek kapda laya jae aur chaar qabile ke log char konon se pakad kar usse rakhein. Lekin shayad aaj ke mussalmanon mein 'conflict of opinion' ko mitane ka ek hi rasta hae- violence.
Usko kaise mitaya jae?

fairy said...

baat ye hai bhai k mai nahi samajhti k her jagah muslims k paas yahi solution bacha hai violence ka.agar ap ek genral servey bhi kero to ap ko maloom ho jaey ga k koi bhi muslim ye nahi chahta..chahay wo sirf naam ka muslim ho..akser jaga ye kaam third group anjam de raha hai yani do groups ki mukhalifat ka faida utha ker un mai ikhtalafat berhana...ya muslims ki kam ilmi ka faida utha ker un ko behkana...islam ek aman pasand religion hai aur jo bhi shakhs islam ki rooh ko samajhta ho wao aisa kaam kabhi nahi ker sakta..ap ne misal achi di..is ka tareeqa ye hai k her buri cheez k khilaf awaz uthai jaey aur islam ko uski rooh samait phailaya jaey...jab muslims k aapas k ikhtalafat khatam hon gay to koi un mai phoot nahi dalwa sakat ga....simple..waise london mai rehtay huwe bhi i must say k aap ki urdu kafi achi hai..