Band dareechay, sooni galyaan un-dekhey anjaney log
Kis nagri mein aa nikley hein sajid ham deewaney log
Aik hamhi na waqif thehrey roop nagar ki galyon say
Bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log
Din ko raat kahein so barhaq,subha ko sham kahein so khoob
Aap ki baat ka kehna hi kya, aap huay farzaney log
Shikwa kya aur kaisi shikayat,aakhir kuch bunyad to ho
Tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log
Shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
Aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log
Suna hai usske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
Un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log
(Aitebar Sajid)
No comments:
Post a Comment