Sunday, April 24, 2005

Teray ishq ki......

Teray ishq ki intiha chahta hoon
Meri saadgi dekh kia chahta hoon

Sitam ho ya ho wada-e-be hijabi
Koi baat sabr aazma chahta hoon

Ye jannat mubarak rahey zahidon ko
K mai aap ka samna chahta hoon

Zara sa to dil hoon, magar shokh itna
Wohi lan tarani suna chahta hoon

Koi dam ka mehman hoon ahl-e-mehfil
Chirag-e-sehr hoon, bujha chahta hoon

Bhari bazm mai raaz ki baat keh di
Bara be adab hoon,saza chahta hoon

By:Allama Mohammad Iqbal

No comments: