Koi to hai jo nizam-e-hasti
chala raha hai,wohi khuda hai
Dikhayee bhi jo na dey nazer bhi
Jo araha hai,wohi khuda hai
Wohi hai mashriq wohi hai maghrib
Safar kerein sab usi ki janib
Her ainay mai jo aks apna
Dikha raha hai ,Wohi khuda hai
Talash us ko na ker buton mai
Wo hai badalti huwi ruton mai
Jo din ko raat aur raat ko din
Bana raha hai,Wohi khuda hai
Nazer bhi rakhay sama'atein bhi
Wo jaan leta hai niyyatein bhi
Jo khana-e-lashaoor mai
Jagmaga raha hai ,Wohi khuda hai
Kisi ko sochon ne kab saraha
Wohi huwa jo Khuda ne chaha
Jo ikhtiar-e-basher pe pehray
Bitha raha hai ,Wohi khuda hai
Kisi ko taje-e-waqar bakhshay
Kisi ko zillat k ghaar bakhshay
Jo sab k mathay pe mohr-e-qudrat
Laga raha hai ,Wohi khuda hai
Safaid us ka siyah us ka
Nafas nafas hai gawah us ka
Jo shola-e-jaan jala raha hai
Bujha raha hai ,Wohi khuda hai
By:Muzaffar Warsi
http://ghousianaat.com/collections/hamd/
No comments:
Post a Comment