Wednesday, April 20, 2005

Aik Aarzoo

Duniya ki mehfilon se ukta gaya hoon yarab!
Kia lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
Shorash se bhagta hoon dil dhoondta hai mera
Aisa sakoot jis per taqreer bhi fida ho
Merta hoon khamoshi per ,ye aarzoo hai meri
Daman mai koh k ik chota sa jhonpra ho
Azad fikr se hoon,uzlat mai din guzaroon
Duniya k gham ka dil se kaanta nikal gaya ho
Lazzat sarood ki ho chiryoun ki chehchahoon mai
Chashmay ki shorashon mai baja sa baj raha ho
Gul ki kali chatak ker pegham dey kisi ka
Saghar zara sa goya mujh ko jahan numa ho
Ho haath ka serhana sabzay ka ho bichona
Shermaye jis se jalwat khalwat mai wo ada ho
Manoos is qadar ho soorat se meri bulbul
Nanhay se dil mai us k khatka na kuch mera ho
Saf bandhay dono janib bootay haray haray hon
Naddi ka saaf paani tasveer le raha ho
Ho dil faraib aisa kohsaar ka nazara
Pani bhi mauj ban k uth uth ker dekhta ho
Aagosh mai zameen ki soya huwa ho sabza
Phir phir k jharion mai pani chamak raha ho
Pani ko choo rahi ho jhuk jhuk k gul ki tehni
Jaisay haseen koi aina dekhta ho
Mehndi lagaye sooraj jab sham ki dulhan ko
Surkhi liay sunehri her phool ki qaba ho
Raton ko chalnay walay reh jaen thak k jis dam
Umeed un ki mera toota huwa diya ho
Bijli chamak ker un ko kutia meri dikha dey
Jab aasman pe her soo badil ghira huwa ho
Pichlay peher ki koyal,wo subh ki moazzan
mai us ka hamnawa hoon,wo meri hamnawa ho
Kanon pe hona meray der-o-haram ka ehsaan
Rozan hi jhonpari ka mujh ko sehar numa ho
Phooloon ko aye jis dam shabnam wuzoo keranay
Rona mera wuzoo ho, naala meri dua ho
Is khamoshi mai jaein itnay buland naalay
Taron k qafflay ko meri sada dara ho
Her derd mand dil ko Rona mera rula dey
Behosh jo peray hain shayed unhein jaga dey

BY:Allama Mohammad Iqbal

No comments: