Kia khoya? Kia paya?
ye aik aisa sawal hai jo akser meray zehan mai ata hai...
agar mai is ka jawab doon to mai kahoon gi k mai ne sab kuch paya siwaye Allah tala k...
aap heran hon gay k aisa jawab meray zehan mai kyun aya...to is ki bohat si wajoohat hain.un wajoohat ka zikr kernay k baad mai chahoon gi k aap bhi apni raey se mujhey nawazein...
Allama Iqbal se aik dafa kisi ne poocha k kia aap Allah k wajood ko falsafay se sabit ker saktay hain? to unhon ne jawab diya nahi..to us shakhs ne sawal kia k phir aap Allah ko kaisay mantay hain...to Allama iqbal ne kaha k Allah k wajood ko mananay k liay sirf aik hi baat kafi hai k meray piyaray nabi S.A.W jin k mutaliq un k dushman bhi yahi kehaty thay k unhon ne kabhi jhoot nahi bola ne ye kaha k Allah mujh se kalam kerta hai..to is ka matlab hai k Allah maujood hai...
ye to Allama Iqbal ki raey thi ..magar meray khayal se her shakhs zindagi mai khuda k honay ko mehsoos kerta hai..us ki zaroorat mehsoos kerta hai...her shakhs ye chahta hai k koi aisee shakhsiat us ki zindagi mai maujood ho jis ko wo jab bhi pukaray wo dhora chala aye...jab bhi wo koi baat kahay wo us ki baat sunay...jo us se sachi mohabbat keray...
hum sab ye jantay hain magar mantay nahi...k aisee mohabbat sirf Allah hi apnay bandon se ker sakta hai....
Phir bhi hum Allah k ilawa bohat si cheezon ko poojtay hain jaisay apnay aap ko ,apnay kisi dost ko aur bohat se un logon ko jin se hum mohabbat kertay hain....
Jab hum Allah ki teraf nahi jaen gay to wo humarai teraf kaisay aye ga aur jab wo humari teraf nahi aye ga to hum us ko kaisay paen gay?
zara sochein aur mujhey bhi jawab dein.....k agar Allah ko na paya to kia paya?
No comments:
Post a Comment