Sunday, February 05, 2006

Hamd

Kabay pe pari jab pehli nazer, kia cheez hai dunniya bhool gaya
Youn hosh-o-khirad maflooj huwe ,dil zoq-e-tamasha bhool gaya

Phir rooh ko izn-e-raqs mila,khawabeeda junoon bedaar huwa
Talwon ka taqaza yaad raha, nazron ka taqaza bhool gaya

Ehsaas k perday lehraye, Emaan ki hararat teiz huwi
Sajdon ki tarap Allah Allah, ser apna soda bhool gaya

Jis waqt dua ko haath uthay, yaad aa na saka jo socha tha
Izhar-e-aqeedat ki dhun mai, izhar-e-tamanna bhool gaya

Pohancha jo haram ki chokhat tak, ik abr-e-karam ne ghair lia
Baqi na raha ye hosh mujhey ,kia mang lia kia bhool gaya

Her waqt barasti hai rehmat, Kabay mai Jameel Allah Allah
Khati hoon mai kitna bhool gaya, aasi hoon mai kitna bhool gaya

BY: Jameel Naqvi

No comments: