Tehni pe kisi shajar ki tanha
Bulbul tha koi udaas baitha
Kehta tha k raat ser pe ai
Urnay chugnay mai din guzara
Pohanchoon kis terah aashiyan tak
Her cheez pe cha gaya andhera
Sun ker bulbul ki aah-o-zaari
Jugnu Koi paas hi se bola
Hazir hoon madad ko dil-o-jaan se
Keera hoon agar ch mai zara sa
Kia gham hai jo raat hai andheri
Mai raah mai roshni keroon ga
Allah ne di hai mujh ko mash'al
Chamka k mujhe diya banaya
Hain log wahi jahan mai achay
Aatay hain jo kaam doosron k
(Allama Mohammad Iqbal....Makhooz Az: William Copper)
No comments:
Post a Comment