Ye Ghazi ye teray purisrar banday
Jinhein tu ne bakhsha hai zoq-e-khudai
Do neem in ki thokar se sehra-o-derya
Simat ker pahar in ki haebat se rayee
Do alam se kerti hai,begaana dil ko
Ajab cheez hai lazat-e-aashnaii
Shahadat hai matloob-o-maqsood-e-momin
Na maal-e-ghaneemat na kishwar kushaii
Khayaban mai hai muntazir lala kab se
Qaba chahiye us ko khoon-e-arab se
Kia tu ne sehra nasheenon ko yukta
Kabar mai, nazar mai,azan-e-sahar mai!
Talab jis ki sadiyoun se thi zindagi ko
Wo soz us ne paya unhin k jigar mai!
Kushad-e-dar-e-dil samjhtay hain us ko
Halakat nahi maut un ki nazer mai!
Dil-e-merd-e-momin mai phir zinda ker dey
Wo bijli k thi nara-e-LA TAZAR mai!
Azaim ko seenon mai bedaar ker de
Nigaah-e-musalman ko talwar ker de
(Allama Mohammad Iqbal)
No comments:
Post a Comment