Saturday, May 21, 2011

الحب لله والبغض لله

Mohabbat bhi Allah k liye aur nafrat bhi Allah hi k liye....

Is k beraks....
Hum mohabbat bhi apni zaat k liye kertay hain aur nafrat bhi apni zaat hi k liye kertay hain.
Mohabbat kia hai?
Kia ye sirf waqti kashish hai ya ye aik aisa jazba hai jo kabhi kam ya khatam nahi hota..
Kia kabhi aisa hota hai k koi shakhs aap ko musalsal zarar pohancha raha ho tab bhi aap us se mohabbat kerein?
Aur koi shakhs musalsal aap k liye zehni-o-qalbi sakoon ka bais ho phir bhi aap us se nafrat kerein?
Kisi shakhs ko sirf is liye maaf ker dein k aap k Allah ne hukam diya hai k koi bura bhi keray to us se acha kero.koi rishtaydar taluq toray bhi to ussay joro?
Kitna mushkil hai apni zaat ki nafi kerna...
Koi aap se mohabbat na bhi keray,aap ki izzat na bhi keray..phir bhi jab Allah ka hukam aa gaya to sab kuch bhoolna hai.
Isi terah kisi se nafrat bhi sirf Allah k hukam k mutabiq kerni hai.
Nafrat kia hai ?
Kia ye wo jazba hai jo kisi ki buri adaat ki wajah se aap k dil mai peda hota hai?ya aap younhi kisi ko bilawaja bhi napasand kertay hain.aur apnay zaati bughz ya anaad k bais aap us shakhs ki her baat ko na pasand kertay hain chahay wo achi ho ya buri..us ki achi baton ko bhool jatay hain aur buri baton ki aabyari kertay hain.
Is k ber aks hona to ye chahiye k aap k dil mai tangi peda ho is baat se k koi shakhs
Allah k ahkamat ko waisay poora nahi kerta jaisay poora kernay ka hukm hai...
Allah ki izzat waisay nahi kerta jaisa kerna ka hukam hai
Allah k saath kisi ko shareek thehranay per waisi ghairat nahi khata jaisa k khanay ka hukam hai.
Khaliq aur makhlooq braber nahi ho saktay
Koi shakhs derjay mai kitna bhi buland ho wo Khuda nahi ho jata
Wo Allah k ahkamat mai koi dakhal andazi nahi ker sakta
Wo abd hi rahay ga...wo abd jo tab tak qabil-e-izzat hai jab tak fermanberdar hai,ibadat guzar hai.
Jab wo abd se nikal ker mabood ki hadood mai dakhil honay ki koshish keray ga to zalil-o-ruswa hi ho ga
Quran aik mukammal aur jamay kitab hai..
So is mai jo Yahood-o-Hanood-o-Nasara k qasas bayan huwe hain..wo sirf qasas nahi hain...balkay un ka bayan is liye kia gaya k takay hum un se ibrat hasil kerein..aur wo kaam na kerein jin k kernay se un qaumon ko Allah ne neest-o-nabood ker diya.

Nauzubillah-e-min zalik

رَبَّنَا لاَ تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِنْ لَدُنْكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنْتَ الْوَهَّابُ (آل عمران: 8).
اے اللہ ہمارے دلوں میں ہدائت دینے کے بعد کجی پیدا نہ کرنا۔اور ہمیں اپنے جناب سے رحمت عطا کر۔بے شک تو بہت ذیادہ عطا کرنے والا ہے۔

No comments: