Saturday, August 23, 2008

Her roz meray mulk mai hotay hain dhamakay
Rehti hai meray des mai shabrat musalsal........

is funny sher k peechay chupa huwa derd shaid ap ko bhi utna hi mehsoos ho jitna k mujhe ho raha hai.....
2 din pehley wah factory k gate per khud kush hamla huwa...Pakistan mai rehnay walay taqreeban her khas-o-aam ko pata hai k wah mai aslahay ki sab se bari factory hai aur wah mai amooman wohi log rehtay hain jo is factory k workers hain...dhamaka chutti k waqt huwa jab log baher aa rahey thay 100/150 k qareeb begunah logon ki janein chali gain..aur jab television k taqreeban her channel se ye khabar nasher huwi k is dhamakay ki zimmaydari Mulla Omar ne qabool ki hai aur kaha hai ye waziristan mai honay walay hamlon ka reaction hai to yaqeen manein dukh mai 4 guna izafa ho gaya......
kitnay gharon k charagh bujh gaye...kitnay gharon k wahid kafeel is duniya se chalay gaye..kitni auratein bewa ho gain aur kitnay hi bachay yateem huwe
sochein to dukh se dil bhar jata hai....
magar is se bari baat ye hai k musalman kyun musalman ka gala kaatnay k der per hai...
Musharraf to aitedal pasanad roshan khayal shakhs tha...us ne waziristan mai jo kuch kerwaya us k nateejay mai sirf waziristan mai hi lashein nahi girin pakistani fauji bhi maray gaye....
Jab k Mulla omar ko to mai deendaar samajhti thi kia usko bhi begunah musalman bhayoun ka khoon bahatay hue laaj na aai??????????
Humaray kitnay fauji bhayoun ne waziristan janay se inkaar kia un k courtmartials huwe...kitnay resign ker k ghar baith gaye k wo apne bhayoun k khilaf hathiar uthna nahi chahatya thay..aur sab se berh ker pakistan ki awam jo musharraf k is faisalay ko ghalat manti rahi...to aakhir saza us k hissay mai kyun aye jis ne jurm kia hi nahi??????????????????
Zara sochein aur mujhe bhi bataen k kia musalam jin k naam se dunniya kanpti rahi ek arsa jo poori dunniya per hakoomat kertay rahe un ki fauji quwatein aur wasail kia sirf is liay reh gaye hain k wo apne hi bhayoun ka gala kaatein aur dunniya mai her jagah un k bhayoun per zulm hota raha hai aur wo un ki madad ko na pohanchein

aay khasa-e- khasan-e-rusul waqt-e- dua hai
ummat pe teri aa k ajab waqt para hai..........
jo deen bari shan se nikla tha watan se..........
perdes mai wo aaj ghareeb-ul-ghurba hai......