Sunday, November 06, 2005

Khusi aur Gham

khushi ko kaisay manaya jaey?ye aik aisa question hai jo akser meray zehan mai ubharta hai..her aik ka khushi mananay ka tareeqa mukhtalif hota hai kuch log shor machatay hain halla gulla kertay hain..kuch ghoomnay phirnay jatay hain ..kuch rishtay daron ya doston mai reh ker khush hotay hain ...
Khushi hai kia?meray khayal se ye aik ehsaas hai jo aap ko bohat ziada tamaniat bakhshta hai ya aik aisee kaamyaabi jis mai aap apnay piyaron ko shareek kerna chahein.....khushi ki kayee tareefein ho sakti hain...
isi terah gham bhi khushi k saath wabasta hai jahan khushi hoti hai wahan gham bhi hota hai...
gham kia hai?kia ye wo takleef aur mushkil hai jo halat peda ker detay hain ya ye qanootiat hai jo aap k dil aur ehsasaat ko andheron mai youn lapait deti hai k aap ko roshni ki koi kiran dikhayee nahi deti..
Khalil Jibran kehta hai k
Insaan ki zindagi k 50% gham khud sakhta hotay hain aur baqi 50% un ka rad-e-amal hotay hain....
agar chay din aham nahi hotay log aham hotay hain ..magar phir bhi kuch din aur un se wabasta yaadein aap kabhi zehan se nahi nikal saktay..
aaj 5 november hai aur eid ka doosra din bhi...ye soch meray zehan mai aa rahi hai k agar aap khush bhi hona chahein aur udas bhi hon to aap apnay jazbat kaisay zahir kerein gay?

1 comment:

fairy said...

Wa alaikumusalam

Bohat shukriya ayaz bhai...agar aap ne meray blog se kuch seekh lia to meray blog ka maqsad poora ho gaya..
aap k liay bohat ziyada duaein
Khush rahein
Allahhafiz