Kabhi aay haqiqat-e-muntazir nazer aa libas-e-majaz mai
K hazaron sajday tarap rahey hain meri jabeen-e-niaz mai
Turb aashnaye kharosh ho,tu nawaye mehram-e-gosh ho
Wo sarood kia k chupa huwa ho sakoot-e-perda-e-saaz mai
Tu bacha bacha k na rakh issay,tera aina hai wo aina
Jo shakista ho to aziz ter hai nigah-e-aina saaz mai
Dam-e-tof kermak-e-shama ne ye kaha k wo asr-e-kuhen
Na teri hikayat-e-soz mai , na meri hadees-e-gudaaz mai
Na kahin jahan mai amaan mili, jo amaan mili to kahan mili
Meray jurm-e-khana kharab ko teray uffv-e-banda nawaz mai
Na wo ishq mai rahi germian,na wo husn mai rahi shokhian
Na wo ghaznavi mai tarap rahi,na wo kham hai zulf-e-ayaz mai
Jo mai ser basajda huwa kabhi ,to zameen se anay lagi sada
Tera dil to hai sanam ashna , tujhey kia millay ga namaz mai
By: Allama Mohammad Iqbal
No comments:
Post a Comment