Tuesday, September 28, 2010

dedicated to Mughees and Muneeb

Matti pe tarapta raha Quran ka Qari !!!!!!!!!!
Aur mehv-e-tamasha khari ummat rahi sari

Lagta hai k wo majma-e-islam nahi tha!!!!
Majmay mai khara koi musalman nahi tha

Mujrim hi sahi sahib-e-iman thay aakhir!!!!!!!
Kafir bhi hon to phir bhi wo insaan thay aakhir

Arsh-e-Bareen larza hai koi shor bapa hai
Mola ki adalat mai kisi maan ki sada hai!!!

Ro ro k falak kehta raha ahl-e-zameen ko!!
Ye zulm gawara nahi YUSRUB k ameen ko

Kis simt se ata huwa Mola ka qaher ho!!
Kia ilm k kis haal mai is shab ki sehar ho

Kehtay huwe thamti nahi ashkon ki rawani
Iqbal teray des ki galion ki kahani !!!!!!!!!!!!

Kuch bhi nahi hai ek qayamat ki kari hai
Sab hath uthao k qayamat ki ghari hai!!!

(poet : unknown)

Wednesday, September 01, 2010

Huzoor S.A.W ne fermaya k mujhe bachon ki 5 adaat bohat pasand hain


1.Wo ro ker mangtay hain aur apni baat manwa letay hain.
2.Wo matti se khailtay hain yani gharoor ko khak mai milatay hain.
3.Jaghartay hain phir sulah ker letay hain yani dil mai hasad bughz aur keena nahi rakhtay
4.Jo mil jaye kha letay hain aur khila tay hain,ziada jama kernay ki hirs nahi kertay
5.Matti k ghar banatay hain aur khail ker gira detay hain,yani ye batatay hain k dunniya fani hai