Majnoon ne shehar chora,tu sehra bhi chor dey
Nazzaray ki hawwas ho to laila bhi chor dey
Wa'iz!kamal-e-terk se milti hai yaan muraad
Dunniya jo chor di hai to Uqba bhi chor de
Taqleed ki rawish se to behter hai khud kushi
Rasta bhi dhoondh,Khizr ka soda bhi chor dey
Manind-e-Khama teri zaban per hai herf-e-ghair
Begaana shae pe nazish-e-be ja bhi chor dey
Lutf-e-kalam kia jo na ho dil mai derd-e-ishq
Bismil nahi hai tu,to tarapna bhi chor dey
Shabnam ki terah phoolon per ro,aur chaman se chal
Is baagh mai qayam ka soda bhi chor dey
Hai aashqi mai rasm alag sab se baithna
Buttkhana bhi ,Haram bhi Kaleesa bhi chor de
Sodagari nahi ye ,ibadat khuda ki hai
Aay be khabar,jaza ki tamanna bhi chor de
Acha hai dil k saath rahay paasban-e-aql
Laikin kabhi kabhi issay tanha bhi chor de
Jeena wo kia jo ho nafs-e-ghair per madaar
Shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chor de
Shokhi si hai sawal-e-mukarrar mai aay kaleem
Shert-e-raza ye hai k taqaza bhi chor dey
Wa'iz! saboot laaye jo mae k jawaz mai
Iqbal ko ye zid hai k peena bhi chor de
(Allama Mohammad Iqbal)
1 comment:
Nice please carry on...........
Post a Comment