Mai behak sakoon ye majal kia
Mera rahnuma koi aur hai
Mujhe khoob jaan lein manzilein
Ye shikasta pa koi aur hai
Jo tumhari jali se muttassil
Hai satoon k peechay khajil khajil
Nahi mai nahi wo mareez-e-dil
Na meray siwa koi aur hai
Meri iltija hai ye dosto
Kabhi tum jo sooaay-e-haram chalo
To bana k ser ko qadam chalo
K ye raasta koi aur hai
Hai tujhe khabar shah-e-een-o-aan
Meri wajh-e-rahat-e-qalb-o-jaan
Na teray siwa koi aur tha
Na teray siwa koi aur hai
Ye guman tha kai saal se
Ye yaqeen hai kai roz hai
Meray dil se gunbad-e-sabz ka
Ye mamla koi aur hai
Wo Rauf hain wo Raheem hain
Wo habib-e-Rubb-e-kareem hain
Unhein fikr hai meri aap ki
Unhein chahta koi aur hai
Mai jo door arz-e-haram se tha
Huwi khuld-e-gosh haseen sada
Hai isi mai majid-e-benawa
K ye qafla koi aur hai
No comments:
Post a Comment