Koi pahar ye kehta tha ek gulehri se
Tujhe ho sharm to pani mai ja k doob meray
Zara si cheez hai,is per gharoor!kia kehna!
Ye aql aur ye samajh,ye shaoor! kia kehna
Khuda ki shaan hai na cheez, cheez ban baithein
Jo be shaoor hon,youn ba tameez ban baithein
Teri bisat hai kia?meri shaan k agay
Zameen hai past meri aan baan k agay
Jo baat mujh mai hai tujh ko hai wo naseeb kahan
Bhala pahar kahan janwar ghareeb kahan!
Kaha ye sun k gulehri ne moon sambhal zara
Ye kachi baatein hain,dil se inhein nikal zara
Jo mai bari nahi teri terah to kia perwa
Nahi hai tu bhi to aakhir meri terah chota
Her aik cheez se peda Khuda ki qudrat hai
Koi bara koi chota,ye us ki hikmat hai
Bara jahan mai tujh ko bana diya us ne
Mujhe darakht pe cherhana sikha diya us ne
Qadam uthanay ki taqat nahi zara tujh mai
Niri barai hai,khoobi hai aur kia tujh mai
Jo tu bara hai to mujh sa huner dikha mujh ko
Ye chaliya hi zara tor ker dikha mujh ko
Nahi hai cheez nikammi koi zamanay mai
Koi bura nahi Qudrat k kaarkhanay mai
(Allama Mohamamd Iqbal)
(Iqbal ne go ye nazam bachon k liye likhi... per ye baron k liye bhi utni hi faida mand hai )
2 comments:
nice sharing ...very impressive....
Thank you :)
Post a Comment