Thursday, May 26, 2011

Hujjiyat-e-Hadees-e-Rasool S.A.W

Hadees k lughvi ma'ni baat k hain..sharai istilah mai is ka matlab wo qaul ya fai'el jo Huzoor S.A.W se mansoob ho ya jis ko dekh ker Huzoor S.A.W ne khamoshi ikhtiyar ki ho hadees kehlata hai.

Kia ye hadees deen mai amal k liye hujjat hai?Ya ye Rasool Allah s.a.w ka aisa amal tha jo (nauzubillah) sirf un ki zaat ya zindagi tak mehdood tha?aur kia humaray amal k liye sirf quran hi kafi hai?

aaiye Quran ki roshni mai dekhtay hain

وَمَا يَنْطِقُ عَنْ الْهَوَى (النجم: 3).
إِنْ هُوَ إِلاَّ وَحْيٌ يُوحَى (النجم: 4


"
Aur nabi apni teraf se koi baat nahi kehtay siwaye us k jo un ki teraf wahi kia jata hai"
Kia quran kareem ki roshni mai ye zimmaydari nabi-e-kareem s.a.w per aa'ed hoti hai k wo quran kareem aur shariyat k deegar ahkam hum ko sikhayein?


وَأَنزَلْنَا إِلَيْكَ الذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ
النحل: 44.


"Aur hum ne tumhari teraf ye zikr nazil kia.takay tum insanon k samnay is ki is taleem ko khol khol ker bayan kero jo un k liye nazil ki gai hai.takay wo ghor-o-fikr kerein".


Ab is se aik baat to wazih ho gai k zikr ki taleem huzoor s.a.w k hi zimmay thi.laikin zikr kia hai?Quran mai kai jagah ahl-e-zikr ka lafz istimal huwa hai.

فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِنْ كُنْتُمْ لاَ تَعْلَمُونَ
النحل: 4


"Pas ahl-e-zikr se pooch lo agar tum nahi jantay"


Ahl-e-zikr yahood-o-nasara k wo aalim thay jo ilhami kutab k ilawa Anbiya A.S ki ahadees bhi yaad rakhtay thay.

isi terah Allah tala ne Quran mai fermaya:

إِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّكْرَ وَإِنَّا لَهُ لَحَافِظُونَ
الحجر: 9


"Beshak is zikr ko hum ne nazil kia aur hum hi is k mohafiz hain"

Yahan bhi Allah ne quran ki bajye Zikr ka lafz istimal kiya.Aur is baat ki tareekh gawah hai k Allah tala ne hadees ki hifazat bhi waisay hi fermayee jaisay Quran ki..Hatta k sahaba k wo saheefay jo wo apni zaroorat k liya likha kertay thay..wo bhi aaj tak maujood hain.na sirf maujood hain balkay mukhtalif zabanon mai un k tarajum bhi ho chukay hain.



كَمَا أَرْسَلْنَا فِيكُمْ رَسُولاً مِنْكُمْ يَتْلُو عَلَيْكُمْ آيَاتِنَا وَيُزَكِّيكُمْ وَيُعَلِّمُكُمْ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَيُعَلِّمُكُمْ مَا لَمْ تَكُونُوا تَعْلَمُونَ
البقرة: 151


"jaisa k hum ne tum mai se aik rasool bhaija hai.jo tumhein humari ayat perh perh k sunata hai.aur tumhein pak kerta hai(tazkiya-e-nafs) aur tumhein kitab-o-hikmat ki taleem deta hai aur tumhein wo kuch sikhata hai jo tum nahi jantay thay."
Ab ulma-e-ummat ka is baat per ijma hai k yahan hikmat se murad hadees-e-rasool s.a.w hi hai .
Ab sawal ye uthta hai k jo hadees ko wahi-e-khafi (chupi huwi)ya wahi-e-ghair matloo(jis ki tilwat na ki jati ho) kaha jata hai to kia waqai Huzoor.S.a.w per Quran k ilawa bhi wahi utera kerti thi?

إِنَّا أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ كَمَا أَوْحَيْنَا إِلَى نُوحٍ وَالنَّبِيِّينَ مِنْ بَعْدِهِ وَأَوْحَيْنَا إِلَى إِبْرَاهِيمَ وَإِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ وَيَعْقُوبَ وَالأَسْبَاطِ وَعِيسَى وَأَيُّوبَ وَيُونُسَ وَهَارُونَ وَسُلَيْمَانَ وَآتَيْنَا دَاوُودَ زَبُورًا
النساء: 163


"Aur hum ne tum per waisay hi wahi ki jaisay hum ne Nooh A.S aur un k baad anay walay nabiyoun per bhaiji.Aur hum ne Ibrahim aur Ismail Aur Ishaaq Aur aulad-e- Ishaq aur Isa aur Ayub Aur Younas aur Haroon aur Suleman A.S per wahi bhaiji aur hum ne Daood A.S ko zaboor ata ki."

ye hum sab jantay hain k aasmani/ilhami kutub 4 hain.tamam anbiya A.S per kutub nazil nahi ki gain thin.Phir wo apni qaoumon ko kis cheez ki taleem diya kertay thay?ye wohi taleem thi jo Allah tala wahi k zariye rasoolon per alqa kia kertay thay.
Torait k baray mai bhi hum sab jantay hain k Fir'oun k gharq honay k baad jab Hazrat Moosa A.s wadi-e-seena mai muqeem thay to un ko ye ilhami kitab ata ki gai?
To phir app A.s Fir'oun ko kis haq ki tableegh kia kertay rahey?
Allah tala irshad fermatay hain:

وَمَا كَانَ لِبَشَرٍ أَنْ يُكَلِّمَهُ اللَّهُ إِلاَّ وَحْيًا أَوْ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ أَوْ يُرْسِلَ رَسُولاً فَيُوحِيَ بِإِذْنِهِ مَا يَشَاءُ إِنَّهُ عَلِيٌّ حَكِيمٌ
الشورى: 51.


"Aur kisi basher ki ye shaan nahi k Allah us se kalam keray magar wahi k zariye ya perday k peechay se ya wo us ki teraf payaamber bhaijta hai jo Allah k hukam se wo kuch us ki teraf wahi kerta hain jo wo(Allah) chahta hai behsak wo berter aur bari hikmat wala hai."

Quran ziada ter sirf wahi ki teesri qisam jo is ayat mai bayan huwi hai yani farishtay k zariye nazil kiya gay..siwaye Surat Albaqra ki akhri do ayat k jo k huzoor s.a.w ko us waqt di gain jab Mairaj shareef mai Allah tala ne Aap s.a.w se perday ki aar mai kalam kia.Aur wahi ki pehli qisam jo dilon mai alqa ki jati hai wo yaqeenan hadith hi hai.
kyun k huzoor s.a.w. e fermaya tha k" mai haq k siwa kuch nahi kehta."
Allah tala irshad fermatay hain:

قُلْ مَا كُنْتُ بِدْعًا مِنْ الرُّسُلِ وَمَا أَدْرِي مَا يُفْعَلُ بِي وَلاَ بِكُمْ إِنْ أَتَّبِعُ إِلاَّ مَا يُوحَى إِلَيَّ وَمَا أَنَا إِلاَّ نَذِيرٌ مُبِينٌ
الأحقاف: 9


"aay nabi s.aw keh dijiye k mai koi nirala rasool nahi hoon.aur mujhe nahi maloom k meray saath kia kiya jaye ga aur na wo jo tumhray saath (kiya jaye ga)aur mai nahi perwi kerta siwaye us k jo meri teraf wahi kiya jata hai.aur mai to sirf saaf saaf khabardaar kernay wala hoon"
Allah se ziada apni sunnat mai pukhta kaun hai?
so Huzoor s.a.w per bhi hadees ki soorat mai wahi-e-khafi aati rahi hai.is ki kai misalein humaray samnay maujood hain.
Quran is waqt us terteeb mai humaray paas maujood nahi hai jis terteeb mai nazil huwa.is k tadveen baad mai huzoor s.a.w ne ki.to kia nauzubillah huzoor s.a.w ne is ki terteeb apni merzi se tabdeel ker di. Nahi ye to sirf Allah ka hukam tha.

وَإِذَا تُتْلَى عَلَيْهِمْ آيَاتُنَا بَيِّنَاتٍ قَالَ الَّذِينَ لاَ يَرْجُونَ لِقَاءَنَا ائْتِ بِقُرْآنٍ غَيْرِ هَذَا أَوْ بَدِّلْهُ قُلْ مَا يَكُونُ لِي أَنْ أُبَدِّلَهُ مِنْ تِلْقَاءِ نَفْسِي إِنْ أَتَّبِعُ إِلاَّ مَا يُوحَى إِلَيَّ إِنِّي أَخَافُ إِنْ عَصَيْتُ رَبِّي عَذَابَ يَوْمٍ عَظِيمٍ
يونس: 15


"Aur jab un ko humarai ayaat perh perh ker sunai jati hain.to jo log hum se milnay ki tawaqqu nahi rakhtay(wo) kehtay hain koi quran is k ilawa le aao ya is mai kuch termeem ker do.aay nabi s.a.w keh dijiye k ye mera ikhtiyar nahi k mai is mai apni teraf se koi tabdeeli keroon.mai nahi perwi kerta us ki magar jo wahi kiya jata hai meri teraf.beshak mai aik baray holnaak din k azaab se derta hoon agar mai apnay rubb ki nafermani keroon."

isi terah 17 mahinay hijrat k baad musalman Qibal-e-awwal ki teraf moon ker k namaz perhata thay jab qibla tabdeel huwa to namaz k doran ayat utri..

قَدْ نَرَى تَقَلُّبَ وَجْهِكَ فِي السَّمَاءِ فَلَنُوَلِّيَنَّكَ قِبْلَةً تَرْضَاهَا فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ
البقرة:144

"beshak hum dekh rahey hain.baar baar uthna tumharay chehray ka aasman ki tearf.so phairay detay hain hum tumhein is qiblay ki teraf jis ko tum pasand kertay ho.pas apnay chehray masjid-ul-haram ki teraf mor lo."
ab qiblay ki tabdeeli ka hukam to moujood hai magar qibla-e-awwal k qibla honay ka hukam quran mai moujood nahi.yaqeenan wahi-e-khafi k zariye qibla awwal ki teraf rehnumai ki gai thi.

Quran mai namaz,zakat aur ruku ka hukam kai baar aya hai.


وَأَقِيمُوا الصَّلاَةَ وَآتُوا الزَّكَاةَ وَارْكَعُوا مَعَ الرَّاكِعِينَ
البقرة:43


"Aur namaz qaim kero aur zakat ada kero aur rukoo kernay walon k saath rukoo kero."
Ab namaz kitni perhani hai kab perhani hai,rukko kab kerna hai kaisay kerna hai,zakat kitni deni hai kab deni hai..mukhtalif cheezon per zakat ka nisab kia ho ga ye sab hadees humein batati hai.
isi terah Quran mai umray aur Hajj ka hukam aya:

وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ
البقرة: 196


"Aur Allah k liye hajj aur umrah poora kero."

Hajj kab kerna hai kaisay kerna hai.hajj aur umray k manasik kia kia hain..ye sab hum sirf hadees se jan saktay hai."
aur ye ahadees se sabit hai k jab koi hukam nazil hota tha to hazrat Jibrail A.S aa ker aap s.a.w ko un ki tafseelat samjhatay.jaisay namaz ka hukam anay k baad aap ne teen din tak hazrat Jibrail A.s ki iqtida mai mukhtalif auqat mai namaz perhi.
Isi terah sahaba-e-karam ko arbi zaban ka mahir honay k bawajood huzoor s.a.w ki madad k beghair baaz ayat ki tafseer samajhna dushwar tha.jaisay jab ye ayat nazil huwi

الَّذِينَ آمَنُوا وَلَمْ يَلْبِسُوا إِيمَانَهُمْ بِظُلْمٍ أُوْلَئِكَ لَهُمْ الأَمْنُ وَهُمْ مُهْتَدُونَ
الأنعام: 82.


"Aur jo log iman laye.aur unhon ne apnay eman ko zulm k saath aalooda nahi kiya.yahi wo log hain jin k liye aman hai aur yahi hidayat panay walay hain."
to sahaba-e-karam pareshan ho gaye k hum mai se kon aisa hai jis ne khud per zulm na kia ho to huzoor.s.a.w ne bataya k ye wo zulm hai jis ka zikr Hazrat luqman A.S ne apnay betay se kiya tha.

وَإِذْ قَالَ لُقْمَانُ ِلأَبْنِهِ وَهُوَ يَعِظُهُ يَابُنَيَّ لاَ تُشْرِكْ بِاللَّهِ إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ
لقمان: 13.


"Aur jab Luqman ne apnay betay se kaha aur wo us ko nasihat ker raha tha.Aay betay Allah k saath shirk na kerna beshak shirk zulm-e-azeem hai."

Quran iteba-e-rasool s.a.w k baray mai kia kehta hai..aiyee dekhein



قُلْ إِنْ كُنْتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمْ اللَّهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ
آل عمران: 31


"Aay nabi keh dijiye agar tum Allah se mohabbat rakhtay ho to meri perwi kero.Allah tum se mohabbat keray ga aur tumharay gunahon ko bakhsh dey ga behsak Allah bakshnay wala reham kernay wala hai."
so hasool-e-mohabbat elahi ka sab se bara zariya rasool Allah s.a.w ki ata'at hai.
phir fermaya :


لَقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ لِمَنْ كَانَ يَرْجُو اللَّهَ وَالْيَوْمَ الآخِرَ وَذَكَرَ اللَّهَ كَثِيرًا الأحزاب: 21.

"Beshak tumharay liye huzoor s.a.w ki zindagi mai kamil namoona hai us k liye jo Allah (ki mohabbat) aur youm-e-akhrat (mai achay silay ka)umeedwaar ho.aur Allah ka bohat ziker kernay wala ho."

aur is namoonay per hum amal pera kaisay ho saktay hain jab tak hadees-e-nabwi s.a.w ko deen mai hujjat na tasswur ker lein.

Huzoor s.a.w ne khutba-e-hajjat-ul-wida mai irshad fermaya tha:
"mai do cheezein tum mai choray ja raha hoon agar un ko mazbooti se thamay rakho gay to kabhi gumrah na ho gay.Quran aur meri sunnat"

Aur Allah tala ka irshad hai:

وَمَا آتَاكُمْ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا وَاتَّقُوا اللَّهَ إِنَّ اللَّهَ شَدِيدُ الْعِقَابِ
الحشر: 7.


"aur jo kuch rasool Allah s.a.w tumhein dein us ko le lo aur jis cheez se mana kerein us se ruk jao.aur Allah se daro.beshak Allah shadeed aqoobat wala hai."

So aik sachay musalman k liye sahi hadees bhi ussi terah deen mai hujjat hai jis terah k Quran kareem ka hukam.agar koi hukam hum Quran mai nahi patay laikin sahi hadees mai wo humein mil jata hai to wo waisay hi qabil-e-amal hai jaisa k
Quran ka hukam..
Allah hum sab ko deen ko sahi tareeqay se samajhnay aur us per amal kernay ki toufeeq dey
(Aameen)


وما علينا الا البلاغ

Saturday, May 21, 2011

الحب لله والبغض لله

Mohabbat bhi Allah k liye aur nafrat bhi Allah hi k liye....

Is k beraks....
Hum mohabbat bhi apni zaat k liye kertay hain aur nafrat bhi apni zaat hi k liye kertay hain.
Mohabbat kia hai?
Kia ye sirf waqti kashish hai ya ye aik aisa jazba hai jo kabhi kam ya khatam nahi hota..
Kia kabhi aisa hota hai k koi shakhs aap ko musalsal zarar pohancha raha ho tab bhi aap us se mohabbat kerein?
Aur koi shakhs musalsal aap k liye zehni-o-qalbi sakoon ka bais ho phir bhi aap us se nafrat kerein?
Kisi shakhs ko sirf is liye maaf ker dein k aap k Allah ne hukam diya hai k koi bura bhi keray to us se acha kero.koi rishtaydar taluq toray bhi to ussay joro?
Kitna mushkil hai apni zaat ki nafi kerna...
Koi aap se mohabbat na bhi keray,aap ki izzat na bhi keray..phir bhi jab Allah ka hukam aa gaya to sab kuch bhoolna hai.
Isi terah kisi se nafrat bhi sirf Allah k hukam k mutabiq kerni hai.
Nafrat kia hai ?
Kia ye wo jazba hai jo kisi ki buri adaat ki wajah se aap k dil mai peda hota hai?ya aap younhi kisi ko bilawaja bhi napasand kertay hain.aur apnay zaati bughz ya anaad k bais aap us shakhs ki her baat ko na pasand kertay hain chahay wo achi ho ya buri..us ki achi baton ko bhool jatay hain aur buri baton ki aabyari kertay hain.
Is k ber aks hona to ye chahiye k aap k dil mai tangi peda ho is baat se k koi shakhs
Allah k ahkamat ko waisay poora nahi kerta jaisay poora kernay ka hukm hai...
Allah ki izzat waisay nahi kerta jaisa kerna ka hukam hai
Allah k saath kisi ko shareek thehranay per waisi ghairat nahi khata jaisa k khanay ka hukam hai.
Khaliq aur makhlooq braber nahi ho saktay
Koi shakhs derjay mai kitna bhi buland ho wo Khuda nahi ho jata
Wo Allah k ahkamat mai koi dakhal andazi nahi ker sakta
Wo abd hi rahay ga...wo abd jo tab tak qabil-e-izzat hai jab tak fermanberdar hai,ibadat guzar hai.
Jab wo abd se nikal ker mabood ki hadood mai dakhil honay ki koshish keray ga to zalil-o-ruswa hi ho ga
Quran aik mukammal aur jamay kitab hai..
So is mai jo Yahood-o-Hanood-o-Nasara k qasas bayan huwe hain..wo sirf qasas nahi hain...balkay un ka bayan is liye kia gaya k takay hum un se ibrat hasil kerein..aur wo kaam na kerein jin k kernay se un qaumon ko Allah ne neest-o-nabood ker diya.

Nauzubillah-e-min zalik

رَبَّنَا لاَ تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِنْ لَدُنْكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنْتَ الْوَهَّابُ (آل عمران: 8).
اے اللہ ہمارے دلوں میں ہدائت دینے کے بعد کجی پیدا نہ کرنا۔اور ہمیں اپنے جناب سے رحمت عطا کر۔بے شک تو بہت ذیادہ عطا کرنے والا ہے۔

Friday, May 20, 2011

حقيقت حسن

خدا سے حسن نے اک روز يہ سوال کيا

جہاں ميں کيوں نہ مجھے تو نے لازوال کيا

ملا جواب کہ تصوير خانہ ہے دنيا

شب دراز عدم کا فسانہ ہے دنيا

ہوئي ہے رنگ تغير سے جب نمود اس کي

وہي حسيں ہے حقيقت زوال ہے جس کي

کہيں قريب تھا ، يہ گفتگو قمر نے سني

فلک پہ عام ہوئي ، اختر سحر نے سني

سحر نے تارے سے سن کر سنائي شبنم کو

فلک کي بات بتا دي زميں کے محرم کو

بھر آئے پھول کے آنسو پيام شبنم سے

کلي کا ننھا سا دل خون ہو گيا غم سے

چمن سے روتا ہوا موسم بہار گيا

شباب سير کو آيا تھا ، سوگوار گيا


علامہ محمد اقبال